एक अनोखा बंधन compleet

Discover endless Hindi sex story and novels. Browse hindi sex stories, adult stories ,erotic stories. Visit theadultstories.com
rajaarkey
Platinum Member
Posts: 3125
Joined: 10 Oct 2014 10:09

Re: एक अनोखा बंधन

Unread post by rajaarkey » 13 Oct 2014 13:40

एक अनोखा बंधन--10

गतान्क से आगे.....................

आदित्य को ये ध्यान भी नही था कि वो एक साल बाद होश में आया है. कोमा से उठे व्यक्ति के लिए समय और वक्त का ज्ञान असंभव है. लेकिन आदित्य को इतना ध्यान ज़रूर था कि उसे सनडे को ज़रीना को लेने जाना है. उसे क्या पता था की जिस सनडे को उसे ज़रीना को लेने जाना था वो कब का बीत चुका है और जींदगी एक साल आगे बढ़ चुकी है.

"चाचा जी आज दिन क्या है"

"आज शनिवार है बेटा... क्यों."

"शनिवार... मुझे चलना होगा. मुझे कल हर हाल में देल्ही पहुँचना है." आदित्य धीरे से बड़बड़ाया और उठने की कोशिस करने लगा.

रघु नाथ पांडे समझ नही पाया कि आदित्या ने क्या कहा. उन्होने आदित्य के कंधे पर हाथ रखा और बोले, "बेटा क्या बोल रहे थे तुम. और अभी जल्दबाज़ी मत करो उठने की. एक साल बाद होश आया है तुम्हे. शरीर में जंग लग चुका है.थोड़ा वक्त दो अपने शरीर को."

ये सुनते ही आदित्य भोंचका रह गया. उसका सर घूमने लगा. उसे विश्वास नही हो रहा था अपने कानो पर.

"एक साल बाद होश आया...ये कैसे हो सकता है." आदित्य ये मान-ने के लिए बिल्कुल तैयार नही था.

"हां बेटा तुम कोमा में थे. एक साल बाद उठे हो तुम आज. भगवान का लाख लाख शूकर है कि तुम्हे होश आ गया." रघु नाथ पांडे ने कहा.

आदित्य के दिमाग़ की हालत ऐसी नही थी को वो कुछ भी समझ पाए. उसे तो बस इतना पता था कि आज अगर शनिवार है तो कल उसे ज़रीना को लेने देल्ही जाना है. वो अभी भी बीते कल में जी रहा था. मगर जींदगी उसके चारो और बहुत आगे निकल गयी थी.

आदित्य इतना स्तब्ध था कि कुछ भी नही बोल पाया. उसकी नज़र जब दीवार पर टाँगे कॅलंडर पर गयी तो उसकी आँखे भर आई. 2003 का कॅलंडर था वो.

"चाचा जी कौन सा महीना है."

"20 एप्रिल 2003 है आज बेटा. तुम परेशान मत हो, सब ठीक है. तुम्हारी फॅक्टरी ठीक चल रही है. कोई चिंता की बात नही है."

आदित्य की तो हालत खराब हो गयी. ऐसा लग रहा था जैसे की वो फिर से बेहोश हो जाएगा. "एक साल बीत गया. ज़रीना ने बहुत इंतेज़ार किया होगा मेरा. बहुत रोई होगी मेरे इंतेज़ार में वो. मैं क्यों नही जा पाया...क्यों....हे भगवान क्यों किया ऐसा हमारे साथ." आदित्य चिंता में पड़ गया.

रघु नाथ पांडे नही जानता था कि आदित्य के मन में क्या चल रहा है. आदित्य की हालत वैसे उठने लायक नही थी मगर फिर भी वो उठ गया किशी तरह बिस्तर से और बोला, “चाचा जी मुझे देल्ही जाना है तुरंत.”

प्यार की तड़प और बेचैनी शायद ताक़त भर देती है इंसान के शरीर में. वरना आदित्य नही उठ सकता था.

"क्या बात है बेटा, कुछ बताओ तो सही, तुम बहुत परेशान लग रहे हो."

"मुझे बहुत ही ज़रूरी काम है चाचा जी. मुझे हर हाल में देल्ही जाना है." आदित्य किसी को कुछ नही बताना चाहता था. बात ही कुछ ऐसी थी. वैसे भी अगर वो बताता भी तो शायद ही कोई समझ पाता उसकी बात को.

"आदित्य डॉक्टर को फोन किया है मैने वो आता ही होगा. अगर डॉक्टर सफ़र की इज़ाज़त दे तो तुम बेसक जा सकते हो." रघु नाथ पांडे ने कहा.

"डॉक्टर चाहे कुछ भी कहे मुझे जाना ही होगा." आदित्य ने कहा.

"बेटा ऐसी क्या बात है जो की तुम तुरंत जाना चाहते हो." रघु नाथ ने पूछा.

तभी डॉक्टर आ गया.

"लो डॉक्टर साहिब आ गये." रघु नाथ ने कहा.

"बड़ी ख़ुसी हुई मुझे आपको होश में देख कर मिस्टर आदित्य." डॉक्टर ने कहा.

डॉक्टर आदित्य का चेक उप करने के बाद बोला, "सब कुछ ठीक है अब. चिंता की कोई बात नही है. लेकिन अभी आराम ही कीजिए."

डॉक्टर के जाने के बाद आदित्य ने जाने की बात नही की. उसे पता था कि चाचा जी उसे नही जाने देंगे. मगर उसे हर हाल में देल्ही के लिए निकलना था. वो लेट गया वापिस बिस्तर पर चाचा जी को दीखाने के लिए. शाम घिर आई थी. आदित्य रात को आराम से निकल सकता था. उसने अपना पर्स चेक किया. ज़्यादा पैसे नही थे उसमे. शूकर है एटीम कार्ड था उसमे.

रात को सबके सोने के बाद आदित्य चुपचाप घर से निकल दिया. एक टॅक्सी पकड़ी उसने एरपोर्ट के लिए. रास्ते में उसने एक एटीम से पैसे निकलवाए. एक शोरुम से उसने नये कपड़े भी खरीद लिए, क्योंकि जिन कपड़ो में वो था वो मैले लग रहे थे. ना जाने क्यों उसकी नज़र एक जीन्स पर पड़ी और वो उसने खरीद ली. “ज़रीना को पसंद आएगी ये जीन्स.” शोरुम के ट्राइयल रूम में ही उसने कपड़े चेंज कर लिए. उसने खुद जीन्स ही खरीदी थी और खूब जच रही थी उस पर.

टिकेट आसानी से मिल गयी उसे. सुबह 4 बजे की फ्लाइट थी. आदित्य बोरडिंग पास लेकर सेक्यूरिटी चेक कराने के बाद बैठ गया बोरडिंग के इंतेज़ार में.

rajaarkey
Platinum Member
Posts: 3125
Joined: 10 Oct 2014 10:09

Re: एक अनोखा बंधन

Unread post by rajaarkey » 13 Oct 2014 13:41

“कैसी होगी मेरी ज़रीना, क्या बीती होगी उस पर उस सनडे को. काश मैं अपने गुस्से को शांत रख पाता तो ये नौबत ना आती. मगर मेरी जगह कोई भी होता तो ऐसा ही करता. मुझे माफ़ करदो ज़रीना, तुम्हारा गुनहगार हूँ मैं. आ रहा हूँ अब तुम्हारे पास. जैसे ही होश आया मुझे मैं निकल पड़ा हूँ तुम्हारे लिए. पता नही किस हाल में हो तुम. तुम ठीक तो हो ना ज़रीना ?” आँखे नम हो गयी आदित्य की ये सब सोच कर.

“अगर मैं कोमा में नही होता तो बिल्कुल आता मैं ज़रीना चाहे पत्तिया बँधी होती चारो और मेरे पर आता ज़रूर.” आदित्य बहुत भावुक हो रहा था.

स्वाभिक भी था. जब प्यार आदित्य और ज़रीना के प्यार जैसा हो तो भावुक हो जाना सावभाविक है.

बोरडिंग की अनाउन्स्मेंट हुई तो आदित्य फ़ौरन उठ गया. ये अहसास कि वो अपनी ज़रीना के पास जा रहा है उसके चेहरे पर रोनक आ गई.

2 घंटे में वो मुंबई से देल्ही पहुँच गया. मगर अभी सुबह के 6 ही बजे थे. “उसी होटेल में चलता हूँ जिसमे ज़रीना के साथ ठहरा था.”

आ गया आदित्य टॅक्सी लेकर उसी होटेल में और रिक्वेस्ट करने पर रूम नो 114 ही मिल गया उसे. सुबह के 7 बज चुके थे. फ्रेश हो कर ब्रेकफास्ट किया उसने. कब 9 बज गये पता ही नही चला. रूम से चेक आउट नही किया उसने. “एक बार यही वापिस आ कर उस दिन की लड़ाई को याद करेंगे. कितने तडपे थे हम दोनो एक दूसरे से लड़ कर.”

चल दिया आदित्य ज़रीना से मिलने की उम्मीद दिल में लेकर उसकी मौसी के घर की ओर. दिल में एक अजीब सी तड़प और बेचैनी थी उसके जिसे सब्दो में नही कहा जा सकता. प्यार करने वाले इस तड़प को बखूबी समझ सकते हैं.

आदित्य को याद था अड्रेस ज़रीना की मौसी का. ठीक 10:30 पर वो ज़रीना की मौसी के घर के बाहर था. दरवाजा खड़काया उसने. मौसी ने दरवाजा खोला.

“किस से मिलना है आपको.” मौसी ने कहा.

“मुझे ज़रीना से मिलना है, प्लीज़ बुला दीजिए उसे.”

मौसी तो हैरान रह गयी ये सुन कर, “क्या तुम आदित्य हो?”

“जी हां मैं आदित्य हूँ.”

मौसी के चेहरे पर डर के भाव उभर आए. उन्होने बाहर दायें..बायें झाँक कर देखा और आदित्य को अंदर खींच लिया.

“किसी और से तो ज़रीना के बारे में नही पूछा तुमने.”

“नही मैं सीधा यहीं आया हूँ.” आदित्य ने हैरानी में कहा.

“कितने दिनो बाद आए हो. कैसी मोहबत थी तुम्हारे दिल में ज़रीना के लिए. बहुत तड़पती थी वो तुम्हारे लिए और तुम आज आए हो, एक साल बाद.”

“ज़रीना कहा है, उशे बुला दीजिए प्लीज़.” आदित्य गिड़गिडया

मौसी कुछ बोलने की बजाए खुद फूट-फूट कर रोने लगी. “वही तो पता नही चल रहा कि कहा है मेरी बच्ची.”

“आप ये क्या कह रही हैं.”

“सच कह रही हूँ बेटा, कुछ नही पता कि वो कहा है, कैसी है, किस हाल में है.”

आदित्य तो सुन ही नही सका ये सब. बहुत बेचैन हो गया वो और बोला, “ये सब कैसे हुवा, क्या आप बताएँगी.”

“पहले तुम ये बताओ कि तुम्हे आज अचानक याद कैसे आ गयी ज़रीना की. चिट्ठी में तो तुमने उसे ले जाने को लिखा था. सारा दिन वो बाल्कनी में आ-आ कर पागलो की तरह तुम्हे ढूंड रही थी. क्यों किया तुमने ऐसा मेरी बच्ची के साथ.”

“मैं कोमा में था, नही आ सकता था..अगर होश होता मुझे तो कोई ताक़त मुझे नही रोक सकती थी यहा आने से.” आदित्य मौसी को पूरी बात सुनाता है.

“अल्लाह रहम करे तुम दोनो की महोब्बत पर. मैं तो समझ ही नही पाई थी शुरू में तुम दोनो के प्यार को. ज़बरदस्ती शादी करवा रही थी ज़रीना की एमरान से.”

“एमरान…कौन एमरान.” आदित्य ने हैरानी में पूछा.

“एमरान एक ऐसा बाहरूपिया है जिसे समझने में मैने बहुत बड़ी भूल की थी. सुनो तुम्हे सब बताती हूँ तभी तुम पूरी बात समझ पाओगे.”

“तुम्हारे बारे में पता चलने के बाद, मैने तो ज़रीना को एक कमरे में बंद कर दिया था. एक हफ्ते के अंदर शादी कर देना चाहती थी ज़रीना की एमरान के साथ. ज़रीना बहुत दरखास्त करती थी मुझसे की मेरी बात सुन लो एक बार. पर मैने उसकी एक नही सुनी. पर एक रात जब मैं उसे खाना देने गयी तो वो फूट-फूट कर रोने लगी और सुबक्ते हुवे बोली, “मौसी थोड़ा सा ज़हर दे दो मुझे. मैं जीना नही चाहती. मैं आदित्य से बहुत प्यार करती हूँ. मैं उसके सिवा किसी और से शादी नही कर सकती. मेरा शरीर और मेरी रूह आदित्य की है मौसी. अगर मेरे साथ ज़बरदस्ती की गयी तो मैं जान दे दूँगी अपनी. पर मैं किसी भी हालत में एमरान शी शादी नही करूँगी. ऐसा होने से पहले मैं अपनी जान दे दूँगी.”

मेरा तो दिल बैठ गया ये सब सुन कर. मैने दरवाजा खोला और ज़रीना के पास आकर उस से पूछा, “आख़िर क्या कारण है की तुम उस काफ़िर के लिए अपनी जान भी देने को तैयार हो.”

“प्यार करती हूँ मैं आदित्य से. वो भी मुझे बहुत प्यार करता है. उसके कारण ही जींदा हूँ मैं वरना मर जाती कब की. उसी ने मुझे दंगो से बचाया और उसी ने मुझे जीने की चाह दी. वरना मैं कब की खुद को ख़तम कर चुकी होती.” ज़रीना ने सुबक्ते हुवे पूरी कहानी सुनाई मुझे

मैने कहा, “हाई रब्बा कितना बड़ा गुनाह करने जा रहे थे हम. मेरी बच्ची मुझे माफ़ कर्दे. नही होगी तुम्हारी शादी एमरान से. लेकिन ये बात अपने तक ही रखना. शमीम और उसके अब्बा को भनक भी नही लगनी चाहिए इस सब की.”

“मौसी मेरा वो खत मुझे वापिस दिलवा दो.”

“दिलवा दूँगी….एमरान अछा लड़का है वो दे देगा चुपचाप वो खत. पर एक बात बताओ तुम्हारा आदित्य तो आया नही तुम्हे लेने. उसे तो आना चाहिए था अगर इतनी महोब्बत थी तुमसे.”

“ज़रूर कोई बात रही होगी मौसी वरना आदित्य ज़रूर आता. बहुत प्यार करता है वो मुझे. मुझे जाने दो मौसी. अगर वो नही आ पाया तो मैं चली जाती हूँ. मैं नही रह सकती उसके बिना” ज़रीना रोने लगी थी ये बोलते हुवे

मुझे वो बिल्कुल दीवानी लग रही थी. मैने कहा, “तुम कैसे जाओगी अकेले और मैं साथ चल नही सकती. क्या करूँ.”

“मैं चली जाउन्गि मौसी…मुझे जाने दो…यहा मैं और रही तो घुट-घुट कर मर जाउन्गि.”

“टिकेट भी तो करवाना पड़ेगा. मैं करती हूँ कुछ. कल या परसो का टिकेट करवा देती हूँ. तुम चिंता मत करो. खाना खाओ चुपचाप मैं टिकेट का इंटेज़ाम करती हूँ.”

क्रमशः...............................

rajaarkey
Platinum Member
Posts: 3125
Joined: 10 Oct 2014 10:09

Re: एक अनोखा बंधन

Unread post by rajaarkey » 13 Oct 2014 13:41

Ek Anokha Bandhan--10

gataank se aage.....................

Aditya ko ye dhyan bhi nahi tha ki vo ek saal baad hosh mein aaya hai. Coma se uthe vyakti ke liye samay aur vakt ka gyan asambhav hai. Lekin aditya ko itna dhyan jaroor tha ki ushe sunday ko zarina ko lene jaana hai. Ushe kya pata tha ki jish Sunday ko ushe zarina ko lene jaana tha vo kab ka beet chuka hai aur jeendagi ek saal aage badh chuki hai.

"Chacha ji aaj din kya hai"

"aaj shanivaar hai beta... kyon."

"shanivaar... mujhe chalna hoga. Mujhe Kal har haal mein delhi pahunchna hai." aditya dheere se badbadaya aur uthne ki koshis karne laga.

Raghu nath panday samajh nahi paya ki aditya ne kya kaha. unhone aditya ke kandhe par haath rakha aur bole, "beta Kya bol rahe the tum. Aur abhi jaldbaaji mat karo uthne ki. Ek saal baad hosh aaya hai tumhe. Sharir mein jung lag chuka hai.Thoda vakt do apne sharir ko."

Ye shunte hi aditya bhonchaka rah gaya. Ushka sar ghumne laga. Ushe vishwaas nahi ho raha tha apne kaano par.

"ek saal baad hosh aaya...ye kaise ho sakta hai." aditya ye maan-ne ke liye bilkul taiyar nahi tha.

"haan beta tum coma mein the. Ek saal baad uthe ho tum aaj. Bhagvaan ka laakh laakh shukar hai ki tumhe hosh aa gaya." raghu nath panday ne kaha.

Aditya ke deemag ki haalat aisi nahi thi ko vo kuch bhi samajh paaye. Ushe to bas itna pata tha ki aaj agar shanivaar hai to kal ushe zarina ko lene delhi jaana hai. Vo abhi bhi beete kal mein ji raha tha. magar jeendagi ushke chaaro aur bahut aage nikal gayi thi.

Aditya itna stabdh tha ki kuch bhi nahi bol paaya. Ushki nazar jab deewar par tange calendar par gayi to ushki aankhe bhar aayi. 2003 ka calendar tha vo.

"chacha ji kaun sa mahina hai."

"20 april 2003 hai aaj beta. Tum pareshaan mat ho, sab theek hai. Tumhaari factory theek chal rahi hai. Koyi chinta ki baat nahi hai."

Aditya ki to haalat kharaab ho gayi. Aisa lag raha tha jaise ki vo phir se behosh ho jaayega. "ek saal beet gaya. Zarina ne bahut intezaar kiya hoga mera. Bahut royi hogi mere intezaar mein vo. Main kyon nahi ja paya...kyon....he bhagvaan kyon kiya aisa hamaare saath." aditya chinta mein pad gaya.

Raghu nath panday nahi jaanta tha ki aditya ke man mein kya chal raha hai. Aditya ki haalat vaise uthne laayak nahi thi magar phir bhi vo uth gaya kishi tarah bistar se aur bola, “chacha ji mujhe delhi jaana hai turant.”

Pyar ki tadap aur bechaini shaayad taakat bhar deti hai insaan ke sharir mein. Varna aditya nahi uth sakta tha.

"kya baat hai beta, kuch bataao to sahi, tum bahut pareshaan lag rahe ho."

"mujhe bahut hi jaroori kaam hai chacha ji. Mujhe har haal mein delhi jaana hai." aditya kishi ko kuch nahi bataana chaahta tha. Baat hi kuch aisi thi. Vaise bhi agar vo bataata bhi to shaayad hi koyi samajh paata ushki baat ko.

"Aditya doctor ko phone kiya hai maine vo aata hi hoga. Agar doctor safar ki izaazat de to tum besak ja sakte ho." raghu nath panday ne kaha.

"doctor chaahe kuch bhi kahe mujhe jaana hi hoga." aditya ne kaha.

"beta aisi kya baat hai jo ki tum turant jaana chaahte ho." raghu nath ne pucha.

Tabhi doctor aa gaya.

"lo doctor saahib aa gaye." raghu nath ne kaha.

"badi khusi huyi mujhe aapko hosh mein dekh kar mr aditya." doctor ne kaha.

Doctor aditya ka check up karne ke baad bola, "sab kuch theek hai ab. Chinta ki koyi baat nahi hai. Lekin abhi araam hi kijiye."

Doctor ke jaane ke baad aditya ne jaane ki baat nahi ki. Ushe pata tha ki chacha ji ushe nahi jaane denge. Magar ushe har haal mein delhi ke liye nikalna tha. Vo late gaya vaapis bistar par chacha ji ko deekhane ke liye. Shaam ghir aayi thi. Aditya raat ko araam se nikal sakta tha. Ushne apna purse check kiya. Jyada paise nahi the ushme. Shukar hai ATM tha ushme.

Raat ko sabke shone ke baad aditya chupchaap ghar se nikal diya. Ek taxi pakdi ushne airport ke liye. Raaste mein ushne ek ATM se paise nikalvaaye. Ek showroom se ushne naye kapde bhi kharid liye, kyonki jin kapdo mein vo tha va maile lag rahe the. Na jaane kyon ushki nazar ek jeans par padi aur vo ushne kharid li. “zarina ko pasand aayegi ye jeans.” Showroom ke trial room mein hi ushne kapde change kar liye. Ushne khud jeans hi kharidi thi aur khub jach rahi thi ush par.

Ticket asaani se mil gayi ushe. Subah 4 baje ki flight thi. Aditya boarding paas lekar security check karaane ke baad baith gaya boarding ke intezaar mein.

“kaisi hogi meri zarina, kya beeti hogi ush par ush Sunday ko. Kaash main apne gusse ko shaant rakh paata to ye naubat na aati. Magar meri jagah koyi bhi hota to aisa hi karta. Mujhe maaf kardo zarina, tumhaara gunahgaar hun main. Aa raha hun ab tumhaare paas. Jaise hi hosh aaya mujhe main nikal pada hun tumhaare liye. Pata nahi kish haal mein ho tum. Tum theek to ho na zarina ?” aankhe nam ho gayi aditya ki ye sab soch kar.

“Agar main coma mein nahi hota to bilkul aata main zarina chaahe pattiya bandhi hoti chaaro aur mere par aata jaroor.” Aditya bahut bhaavuk ho raha tha.

Swaabhik bhi tha. jab pyar aditya aur zarina ke pyar jaisa ho to bhaavuk ho jaana sawabhavik hai.

Boarding ki announcement huyi to aditya fauran uth gaya. Ye ahsaas ki vo apni zarina ke paas ja raha hai ushke chehre par ronak bekhair gaya.

2 ghante mein vo mumbai se delhi pahunch gaya. Magar abhi subah ke 6 hi baje the. “ushi hotel mein chalta hun jishme zarina ke saath thahra tha.”

Aa gaya aditya taxi lekar ushi hotel mein aur request karne par room no 114 hi mil gaya ushe. Subah ke 7 baj chuke the. Fresh ho kar breakfast kiya ushne. Kab 9 baj gaye pata hi nahi chala. Room se check out nahi kiya ushne. “ek baar yahi vaapis aa kar ush din ki ladaayi ko yaad karenge. Kitne tadpe the hum dono ek dusre se lad kar.”

Chal diya aditya zarina se milne ki ummeed dil mein lekar ushki mausi ke ghar ki aur. Dil mein ek ajeeb si tadap aur bechaini thi ushke jishe sabdo mein nahi kaha ja sakta. Pyar karne wale ish tadap ko bakhubi samajh sakte hain.

Aditya ko yaad tha address zarina ki mausi ka. Theek 10:30 par vo zarina ki mausi ke ghar ke baahar tha. darvaaja khadkaya ushne. Mausi ne darvaaja khola.

“kish se milna hai aapko.” Mausi ne kaha.

“mujhe zarina se milna hai, please bula dijiye ushe.”

Mausi to hairaan rah gayi ye shun kar, “kya tum aditya ho?”

“ji haan main aditya hun.”

Mausi ke chehre par dar ke bhaav ubhar aaye. Unhone baahar daayein..baayein jhaank kar dekha aur aditya ko ander kheench liya.

“kishi aur se to zarina ke baare mein nahi pucha tumne.”

“nahi main seedha yahin aaya hun.” Aditya ne hairani mein kaha.

“kitne dino baad aaye ho. Kaisi mohabat thi tumhaare dil mein zarina ke liye. Bahut tadpti thi vo tumhaare liye aur tum aaj aaye ho, ek saal baad.”

“zarina kaha hai, ushe bula dijiye please.” Aditya gidgidaya

Mausi kuch bolne ki bajaaye khud phoot-phoot kar rone lagi. “vahi to pata nahi chal raha ki kaha hai meri bachchi.”

“aap ye kya kah rahi hain.”

“sach kah rahi hun beta, kuch nahi pata ki vo kaha hai, kaisi hai, kish haal mein hai.”

Aditya to shun hi nahi saka ye sab. Bahut bechain ho gaya vo aur bola, “ye sab kaise huva, kya aap bataayengi.”

“pahle tum ye bataao ki tumhe aaj achaanak yaad kaise aa gayi zarina ki. Chithi mein to tumne ushe le jaane ko likha tha. saara din vo balcony mein aa-aa kar paaglo ki tarah tumhe dhund rahi thi. Kyon kiya tumne aisa meri bachchi ke saath.”

“main coma mein tha, nahi aa sakta tha..agar hosh hota mujhe to koyi taakat mujhe nahi rok sakti thi yaha aane se.” aditya mausi ko puri baat shunata hai.

“allah raham kare tum dono ki mahobat par. Main to samajh hi nahi paayi thi shuru mein tum dono ke pyar ko. Jabardasti shaadi karva rahi thi zarina ki emran se.”

“emran…kaun emran.” Aditya ne hairaani mein pucha.

“emran ek aisa bahrupiya hai jishe samajhne mein maine bahut badi bhool ki thi. Shuno tumhe sab bataati hun tabhi tum puri baat samajh paaoge.”

“tumhaare baare mein pata chalne ke baad, maine to zarina ko ek kamre mein band kar diya tha. ek hafte ke ander shaadi kar dena chaahti thi zarina ki emran ke saath. Zarina bahut darkhaast karti thi mujhse ki meri baat shun lo ek baar. Par maine ushki ek nahi shuni. Par ek raat jab main ushe khana dene gayi to vo phoot-phoot kar rone lagi aur subakte huve boli, “mausi thoda sa zahar de do mujhe. Main jeena nahi chaahti. Main aditya se bahut pyar karti hun. Main ushke shiva kishi aur se shaadi nahi kar sakti. Mera sharir aur meri rooh aditya ki hai mausi. Agar mere saath jabardasti ki gayi to main jaan de dungi apni. Par main kishi bhi haalat mein emran she shaadi nahi karungi. Aisa hone se pahle main apni jaan de dungi.”

Mera to dil baith gaya ye sab shun kar. Maine darvaaja khola aur zarina ke paas aakar ush se pucha, “aakhir kya kaaran hai ki tum ush kaafir ke liye apni jaan bhi dene ko taiyaar ho.”

“pyar karti hun main aditya se. vo bhi mujhe bahut pyar karta hai. Ushke kaaran hi jeenda hun main varna mar jaati kab ki. Ushi ne mujhe dango se bachaaya aur ushi ne mujhe jeene ki chaah di. Varna main kab ki khud ko khatam kar chuki hoti.” Zarina ne subakte huve puri kahaani shunayi mujhe

Maine kaha, “hi rabba kitna bada gunaah karne ja rahe the hum. Meri bachchi mujhe maaf karde. Nahi hogi tumhaari shaadi emran se. lekin ye baat apne tak hi rakhna. Shamim aur ushke abba ko bhanak bhi nahi lagni chaahiye ish sab ki.”

“mausi mera vo khatt mujhe vaapis dilva do.”

“dilva dungi….emran acha ladka hai vo de dega chupchaap vo khatt. Par ek baat bataao tumhaara aditya to aaya nahi tumhe lene. Ushe to aana chaahiye tha agar itni mahobat thi tumse.”

“jaroor koyi baat rahi hogi mausi varna aditya jaroor aata. Bahut pyar karta hai vo mujhe. Mujhe jaane do mausi. Agar vo nahi aa paaya to main chali jaati hun. Main nahi rah sakti ushke bina” zarina rone lagi thi ye bolte huve

Mujhe vo bilkul dewaani lag rahi thi. Maine kaha, “tum kaise jaaogi akele aur main saath chal nahi sakti. Kya karun.”

“main chali jaaungi mausi…mujhe jaane do…yaha main aur rahi to ghut-ghut kar mar jaaungi.”

“ticket bhi to karvaana padega. Main karti hun kuch. Kal ya parso ka ticket karva deti hun. Tum chinta mat karo. Khana khaao chupchaap main ticket ka intezaam karti hun.”

kramashah...............................

Post Reply