Waqt - time -samay ( Incest + Adultery with pics)

Discover endless Hindi sex story and novels. Browse hindi sex stories, adult stories ,erotic stories. Visit theadultstories.com
User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1587
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Waqt - time -samay ( Incest + Adultery with pics)

Unread post by admin » 29 Jan 2016 08:15

Update 28
(Prem ka Ilaaj )
Jahan jyoti is baat se khush thi ke usko jo chahiye uski taraf badhta uska pehla kadam kamyab raha hai, wahin sheena aur ricky pareshan the, sheena aur ricky ek dusre ke sath waqt bitana

chahte the, lekin woh ho nahin paa raha tha, aur ab sheena yeh bhi nahin keh sakti thi ke woh bhi un dono ko join kare, kyun ki aise kehne se umer ko dikh jata ke sheena jaan bujh ke jyoti ke

plan mein taang ada rahi hai.. isliye ab unhe kuch aur sochna hoga.. lekin woh jante the iska koi rasta nahin hai shayad, isliye dono chupchaap nashta kar rahe the aur ek dusre ko dekh rahe the

maano ke dono ke dil mein ek hi baat chal rahi ho... dheere dheere sab log nashta karke apne apne kam mein lag gaye, umer aur rajvir finally mahabaleshwar ke liye nikal gaye zameen dekhne..

Sneha abhi bhi shock mein thi, lekin usne apne expressions pe control rakha hua tha aur chup chaap apne kamre ke liye nikal gayi.. Jyoti bhi thodi der mein uth gayi



"bhaiya, main tab tak venue dekhti hun ke hum kahan jayenge.. and hey sheena, tum bhi chalo na sath, mazaa aayega.." Jyoti ne dono ke paas khade rehke kaha



"arey no no, thats ok, u guys carry on.. i dont want to be a party pooper.. And bhai aur main toh ghumte rehte hain, tum log jao, i will stay back and resort ke liye kuch kar lungi, after all this is my

life time opportunity.." Sheena ne kuch soch ke jawab diya, woh janti thi ke bhale jyoti ne yeh pucha lekin woh bhi nahin chahti thi ke sheena unhe join kare, agar sheena unhe join karti toh jyoti

itni chalaak hai ke kisi tarah woh sheena se hi kuch der mein naa bulwa deti.. isliye sheena ne use naa karke acha hi kiya, aur jyoti ko resort wali baat bolke fir usne jyoti ko yeh ehsaas dilaya ke

usne kya khoya hai... sheena ka jawaab sun jyoti halke se muskurai, aur wahan se bina kuch bole nikal gayi



"aap jante ho, maine socha tha hum bahamas jayenge aur maze karenge, par yeh dkeho.. beech mein aayi kood ke , i m just hating her now.." sheena ne ricky se fusfusake uske kaan mein kaha



"na na, dont do that.., tum apni nafrat ya toh khatam kar do ya toh use bahar nahin nikalna... agar bahar nikalogi toh usme bhi tum hi doshi niklogi, i mean tumne dekha na usne apni baat kaise

manwa li papa se, ab agar woh aisa kar sakti hai, toh socho tumhe galat saabit karne mein usko kitna time lagega..." ricky ne shanti se sheena ko kaha aur use apne hath se pani pilane laga..



"ummm, kya baat hai, apne hath se pila rahe ho pani..jyoti ki wajah se kuch toh fayda hua mujhe.." sheena ne ricky ke hath ko pakadne ki koshish ki, lekin ricky ne usse hath chudva ke usko

ishara kiya jagah ka aur dono fir nashta karne lage



"lekin bhai, ab kya karein, usko mana kaise karoge.." sheena ne fir ricky se kaha



"ummm... sochna padega, but i dont think yeh aasaan hoga, matlab main filhaal toh free hi hun, toh aisa koi bahana nahin kar sakta, aur tum janti ho ke resort mein woh involved nahin hai jab ki

papa wohi chahte the, isliye use is baat ka dukh hai, aur agar ab main mana karunga toh fir use aur bura lagega.." ricky ne itna hi kaha ke fir sheena bol padi



"i know, is baar rajvir chachu bhi shayad hurt ho, i mean unhe aisa ehsaas hoga na ke woh humare beech nahin rehte isliye hum unke sath aisa behave karte hain.." sheena ne apni plate khali

karke kaha



"exactly, but let me think something else.. tujhe batata hun kuch der mein.."



"nahin bhai, it's ok... aap log jao, but stay away from her ok.." sheena ne apne hath mein chaku utha ke usko dikhate hue kaha



"haha, jealous sis... don't worry, sheena ki jagah koi nahin le payega.... " kehte hue ricky ne uske hath ko halke se chuma aur dono has ke wahan se bahar nikal gaye garden ki taraf



Jyoti kuch der apne kamre mein hi thi, lekin jab usne dekha ke koi nahin aa raha, woh dheere se sheena ke kamre ki or badhi.. uske kamre ke paas jaake usne darwaze ko halka dhakka lagaya

toh woh khul gaya.. jyoti jaldi se andar gayi aur darwaza lock karke kamre ki deewar ke har kone ko dekhne lagi lekin use camera nahin mila, wardrobe ke neche, upar ya kahin aur.. woh har

jagah dekhne lagi lekin use kahin nahin mila camera.. thak haar ke woh bed pe bethi aur apni nazrein chat ki taraf ki, jahan usne dekha ke kuch wires latak rahe hain, woh jaldi se uth khadi hui

aur ek lamba stool leke chadh gayi, wires dekh ke woh samajh gayi ke camera pehle yahan tha, ab nahin hai, iska matlab sheena ne hi nikal fenka hai.. jyoti neeche utri aur sab kuch theek karne

lagi, itne mein uske mobile pe sms aaya



"tum mere kamre mein ho, apne kamre ka rasta bhul gayi ho ya mere kamre mein kuch cheez chupi hai jise itni der se dhundh rahi ho..." sheena ne jyoti ko bheja



SMS padh ke jyoti ki toh maano haalat kharab hui thi, uska chehra paseena paseena ho chuka tha, usne apni nazrein fir ek baar charo taraf ghumayi, agar sheena ke yeh sms hai matlab camera

kahin hai, lekin kahan.. jyoti ye sochte sochte fir idhar udhar dekh hi rahi thi ke fir sms aaya



"koi point nahin hai, tumhe camera nahin milega... behtar hai tum apne kamre mein jao ya bahar garden mein aao, bhai aur main golf course jaa rahe hain, tum aa sakti ho hamare sath.. Bloody

party pooper.."



Sheena ka yeh sms padh jyoti kuch aur kiye bina hi wahan se nikal gayi, lekin apne kamre mein jaane ke badle woh seedha sheena aur ricky ke paas chali gayi.. Agar uski jagah sneha hoti toh

woh sheena se aankh bhi nahin milati, lekin jyoti ki baat alag thi.. bhale hi galti uski kyun na ho, lekin jung matlab jung, use pura karna hi padta hai... isliye jyoti ne khud ko fresh kiya aur kapde

badal ke sheena aur ricky ke paas chal di...



"chalein bhaiya..." jyoti ne garden mein aate hue kaha



jyoti ki awaaz sun, ricky chaunk utha, lekin taajub use is baat ka tha ke jyoti kahan chalne ki baat kar rahi hai...



"hamare sath chalegi bhai, maine hi invite kiya jyoti ko... ghar pe akele bethe bethe insaan ka dimaag kuch zyada hi kaam karta hai jisse pressure badh sakta hai, behtar hai hamare sath rahegi

toh shant rahegi.." sheena ne apna hath jyoti ke paas badhaya aur jyoti ne bhi uska hath thaam liya



"tum aur tumhari baatein, ruko main gaadi nikalta hun..." kehke ricky driver ke paas chala gaya



"waise, mere kamre mein kya dhundh rahi thi jyoti.." sheena ne bina jhijhak ya gusse ke jyti se sawaal kiya aur dono aagey dekh rahe the



"kuch khaas nahin, u see, tumhare kamre ka interior bahut khubsurat hai, isliye main dekh rahi thi ke ise aur khubsurat kaise banaya jaaye" jyoti aur sheena dono ek dusre ka hath pakad ke

dheere dheere aagey badh rahe the, dono ke aankhon pe chadhe aviator glasses, dono ne golf pants pehne the aur polo t-shirt.. dono is waqt aise baat kar rahi thi jaise manje hue khiladi ek

dusre se karte hain kisi badi match ke pehle



"janti ho jyoti, jis cheez ki taareef karo, use badalne ki koshish nahin karni chahiye, nahin toh woh taaref ke kaabil nahin rehti. aur rahi baat mere kamre ki, tum jo dhundh rahi thi woh mere

kamre mein kahin nahin milega.. aur waise bhi, camera se tumhara kya kaam.. tum yahan raho, padho, maze karo, tum yeh sab kyun kar rahi ho, mujhe ab tak samajh nahin aaya ke itni dilchaspi

kyun dikha rahi ho tum yeh pata karne mein ke is ghar mein kya chal raha hai... yeh ghar na tumhara kabhi tha, aur naa hi is ghar ki problems ya khushiyan tumhari thi.. lekin ab tum yahan

rehne wali ho toh jis khushi se humne tumhe accept kiya hai, mujhe umeed hai ke tum humein niraash nahin karogi aur apni padhai mein top karogi.." is baar sheena ne jyoti ko ek nazar dekha

aur apne glasses nikal ke fir kaha



"bhai ke sath jahan jana chahti ho jao, lekin jo cheez tum sunna chahti ho woh suno... main ricky bhai se bahut pyar karti hun, aur shayad yeh pyar bhai behen ke pyaar se bhi badhkar hai.. main

janti hun tum kitne dino se humein observe kar rahi ho, lekin jaise maine kaha, tum aaram se raho, is ghar mein kya ho raha hai kya nahin... yeh sab mein dilchaspi nahin lo, aur haan.. abhi kuch

der mein ricky bhai tumse puchenge ke kahan jana chahti ho.. tum please goa ka naam mat lena.. tumhe lag raha hoga ke wahan beaches pe apni body se bhai ko seduce karke tum unke paas

jaogi, toh i am sorry to disappoint you, aisa kuch nahin hoga... u better think something else.." sheena ne jaise hi yeh baat kahi, un dono ko ricky ki awaaz sunai di



"arey, chalo bhi.. kitni der karogi tum dono.."



"coming bhai, ab chalo nahin toh bhai samajh jayenge ke i have fucked you left , right and center.." kehke sheena ne jyoti ka hath choda aur daud ke ricky ki taraf pahunch gayi.. Jyoti bhi jaldi se

wahan pahunch gayi aur teeno golf course ki taraf chal diye. pure raste mein jyoti sochti rahi ke aakhir sheena ko yeh sab pata kaise chala, aur usne socha tha ke un dono ke rishte ki baat se

woh unhe blackmail karegi, lekin usse pehle sheena ne khud kubul kiya, jiska matlab sheena ko bilkul darr nahin hai is baat se.. main unhe observe kar rahi hun yeh baat sheena bhi dekh rahi

hai, aur fir main ricky ke kareeb jana chahti hun... aakhir sheena ka dimaag itni tezi se kaise chalne laga.. jyoti yeh soch soch ke pagal ho rahi thi aur bas khidki ke bahar hi nazrein jama ke bethi

thi



"toh jyoti, liking mumbai... ? ricky ne uski taraf mirror se dekh ke kaha



"loving it bhaiya.." jyoti ka dhyan toota aur usne ricky ko kaha



"so kahan jana hai tumhe ghumne, batao kuch socha ya nahin.."



"goa bol rahi thi bhai, bolo, " sheena ne beech mein kood ke kaha



"goa.. naa its too crowded, i dont like that place"



"kuch aur sochti hun fir bhaiya..." jyoti ne sirf itna hi kaha aur fir khidki ke bahar dekhne lagi



Udhar sneha jaldi apne kamre se nikli aur suhasni se chupte chupte bahar nikal gayi.. bahar jaake taxi pakdi aur raste se prem ko fone karke use milne ke liye bulaya.. Sneha ne apna mobile

bandh rakha tha kyun ki woh nahin chahti thi ke sheena ka koi call aaye.. Prem aur woh dono colaba ka ek coffee shop mein mile



"kya hua didi, itna urgent mein bula liya" prem ne sneha ke paas beth ke kaha



Sneha ne use sab baatein bata di, sneha ki baat sun prem bhi thodi der ke liye chaunk gaya, lekin agar woh bhi sneha jaise hairan hota toh baat bigad sakti thi, is sthiti mein zaroori tha ke koi ek

apna dimaag shant rakhe aur yeh kaam prem ne chuna.. sneha ki baatein sun kuch der dono khamosh rahe..



"uh, two espressos please.. no cream.." prem ne waiter ko order diya



"didi, waise aap ka mobile milega.. main kuch dekhna chahta hun isme.." prem ne sneha ki taraf hath badhate hue kaha



"haan dekh, but fir on karega tu ise aur sheena ka fone aaya toh fir mujhe mentally torture karegi yaar.." sneha abhi bhi paseena paseena ho rahi thi..



"ruko toh yaar", kehke prem ne mobile on kiya aur sab se pehle use flight mode pe daal diya taaki kisi ka call na aaye.. fir usne mobile mein sab kuch check kiya ke shayad koi aisa app ho jisse

sheena ko yeh sab pata chal raha ho.. lekin jab use aisa kuch nahin dikha, usne bina sneha ko bole mobile ko flight mode se hataya aur wait karne laga sheena ke call ka.. woh dekhna chahta tha

ke sheena kya kahegi call karke, usne mobile apne paas rakha aur sneha ki chinta kam karne ki koshish karne lage.. itne mein coffee aa gayi aur dono dheere dheere kuch sochte sochte coffee ka

anand lene lage... kareeb ek ghanta hone aaya tha dono ko, aur 45 minute hue the prem ko mobile on karke , lekin sheena ki call ab tak nahin aayi thi



"didi ek baat batao, aaj ki hamari is mulaqat mein aur us din jab sheena ne aapko pareshan kiya tha.. kya difference hai dono mulaqaton mein" prem ke dimaag ne kaam karna shuru kiya



"prem main kuch bhi nahin soch sakti...tum paheliyan bhujana bandh karo..." sneha ne coffee khatam karke kaha



"didi, main aapke ghar chalta hun, mujhe kuch kaam hai, aapki saas ko koi dikkat toh nahin hogi.." prem ne sneha se fir has ke kaha



"nahin, chalo, par kya kaam hai.." sneha ne fir pareshaani mein kaha aur prem ke chehre pe ek vijayi muskaan thi



Dono ne jaldi se bill bhara, aur taxi pakad ke raichand's ki or chal diye, jahan pure raste mein sneha baar baar pareshani ke paseene se bheeg rahi thi, wahin prem baar baar sneha ke mobile ko

dekhta , lekin sheena ka call ab tak nahin aaya tha.. woh jaan chuka tha ke aisa kyun.." kareen 20 min mein dono ghar pahunche aur prem suhasni devi se mila.. feeke man se hi suhasni ne usse

baat ki aur fir wahan se chali gayi.. tab tak prem ke kehne pe sneha ne driver se gaadi ki chaabi mangwayi aur prem ko de di.. prem ne bina waqt ganwaye gaadi unlock ki aur bonet khol ke

wirings check karne laga



"mechanical engineering padhi hai iska matlab yeh nahin ke tu mere sasural mein aake gaadi banayega, pehl se hi inke naatak kam hain jo ab yeh kar raha hai tu.." sneha ne aas pas nazrein fer

ke kaha



"ruko yaar.." kehke prem ne fir igniton maara aur kuch check karke bonet bandh kiya...



"hmmm, chalo ab mujhe chod do kahin pe, aur yeh lo apna mobile..." prem ne apne hath saaf karke kaha



Sneha ne bina mobile ko dekhe apne clutch mein daal diya aur prem ko chodne ke liye gaadi mein nikal gayi.. dono bhai behen gaadi mein sea link cross karne lagey tabhi prem ne uska clutch khola aur usme se mobile nikala



"didi, kareeb 2 ghante hue hain aapke mobile ko on kiye hue.. lekin ab tak sheena ka fone nahin aaya, aur ab aayega bhi nahin..." prem ki yeh baat sun sneha ne achanak gaadi side mein roki aur

use gaur se dekhne lagi.. sneha ne apne dimaag pe zor lagaya aur usne dekha prem sahi keh raha hai.. jab sawaliya nazron se usne prem ki or dekha, prem ke chehre pe fir ek aisi muskaan ter gayi jise dekh sneha ko kuch kuch samajh aane laga.
______________________________
Love Me... Or Hate Me....But you cant ignore me .....
[/size]

User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1587
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Waqt - time -samay ( Incest + Adultery with pics)

Unread post by admin » 29 Jan 2016 08:16

Update 29
(Bhai ka Izhaar.. Behen ka Ikraar )
Udhar golf khelte khelte sheena baar baar apne mobile mein dekh rahi thi ke use kuch mil jaaye, ya aisa lag raha tha ke kisi ka call ya msg aane wala hai.. lekin baar baar mobile ki screen pe dekh ke use nirasha hoti, game khatam karke jab teeno bhai behen refreshments ke liye bethe baatein kar rahe the, tabhi sheena ko sms aaya



"missing my track swthrt.." yeh sms sneha ne use bheja tha



SMS padh ke sheena ke dimaag mein do baatein aayi, ek toh yeh ke saamne se sneha ne use sms kiya hai matlab woh jaan gayi thi ke sheena uski khabar kaise rakh rahi hai, aur dusri ke ab woh kuch nahin kar payegi sneha ka... kaafi kuch soch rahi thi lekin dimaag mein kuch na aane se usne sneha ke sms ka reply nahin diya aur ricky se baatein karne lag gayi... ricky aur sheena baaton mein uljhe hue the wahin jyoti apni duniya mein kahin khoyi hui thi..



"hmmm, jyoti.. tumhara drink garam na ho jaaye.." ricky ne glass dete hue kaha aur fir sheena ke sath baaton mein ulaj gaya..



"bhaiya, if it is an international destination, toh koi problem toh nahin hai na aapko.." jyoti ne finally apne dimaag ko apne kabu mein kiya aur ricky se glass lete hue kaha



Jyoti ka sawaal sun ricky ek second ke liye toh maano stumped hi ho gaya tha, koi aur hota toh shayad mana kar deta, lekin ricky jaanta tha ke uske paas mana karne ka koi kaaran nahin hai... naa toh paisa problem hai, naa hi waqt... toh mana karta bhi toh kaise..isliye agle hi pal usne jawaab diya



"of course not yaar, but usse pehle tell me, india chota pad gaya hai ya tumne pura ghum liya hai.."



"nahin bhaiya, nothing like that, but mujhe exotic location pe jaana hai. u know, jahan mast khubsurat beaches ho, water sports ho.. beautiful sunsets ho.. something like that, isliye , goa toh aapne mana kiya, and uske alawa i dont see any such place here.. isliye international, but koi problem hai toh tell me, kuch aur soch lungi" jyoti ne apni drink mein straw ghumate hue kaha aur fir sheena ko dekhne lagi, jo aaram se recliner pe let ke unki baatein sun rahi thi



"nope, that is ok.... koi jagah sochi hai..." ricky ne fir pucha



"thailand ya singapore socha tha, but rehne diya.. i think Bali will be nice, what say.." jyoti ne apna chashma utaara aur ricky ki aankhon mein dekh ke pucha



"Aaahh, indonesia, ummm.. cool, here is my card.. tum booking start kar do wahan ki.. and make sure whatever we do, has to be the best alright.." ricky ne jyoti ko apna card dete hue kaha



"ok, excuse me for a mninute.." jyoti ne card liya aur wahan se nikal gayi



"bhai, kuch zyada hi hoshyar ban rahi hai yeh.. pehle aap ke sath akele mein trip, fir exotic locations... ab bas yeh dekhna reh gaya hai ke shopping list mein kitne swim suits aur bikinis aati hain..." sheena ne apne glasses upar chadha diye aur ricky ko dekh ke kaha



"someone's jealous han..." ricky ne use aankh maarte hue kaha



"not at all...pata nahin kyun, i smell something fishy here... dekho na, suddenly in logon ka aana, fir yahin rehna, jyoti ka humein yun closely observe karna, fir aapke sath vacation... i mean, yeh sab ek sath, kuch zyada hi strange lag raha hai mujhe..." sheena ne apni baat is tarah kahi ke ek pal ke liye ricky bhi pareshan ho utha aur kuch sochne laga, tab tak sheena ne bhi apne pocket se cigarette nikali aur uske kash lene lagi







"tum kya kehna chahti ho sheena.." ricky ne bhi uski cigarette le li aur kash lene laga



"bhai, aap jaane ke liye mana kar do.. simple" bina zyada baat ko ghumaye sheena ne use jawaab diya



"jana toh main bhi nahin chahta yaar, but u know na, papa ke kehne pe jaa raha hun... upar se ab mana karunga toh she will not feel good, and papa ki alag sunni padegi" ricky ki baat galat nahin thi, umer kisi bhi haalat mein yeh nahin seh sakta tha.. agar ricky mana karta toh use khari khoti toh sunni hi padti, lekin jyoti ke liye uske dil mein ek sahanubhuti jaagti jiska fayda use kaise milta woh koi soch bhi nahin sakta tha.. Sheena ne is baat ko samjha isliye usne zyada behes nahin ki aur ricky ke sath beth ke cigarette ke kash leti rahi... kuch hi der mein jyoti wahan aayi aur teeno wapas ghar ki taraf nikal pade... wapas jaate waqt gaadi mein bilkul khamoshi thi, ricky soch raha tha ke kaise jyoti ke sath woh yeh trip ignore kar sakega, sheena sneha ke baare mein soch rahi thi, aur jyoti kya soch rahi thi woh khud bhi confused thi usme.. kabhi bali trip ke baare mein sochti, toh kabhi sheena ki baaton ke bare mein jo subah hi usne kahi thi... sochte sochte ghar kab aaya inhe pata hi nahin chala, driver ko gaadi ki chaabi deke jab teeno andar jaane lage, tab beech mein khadi sneha ko dekh teeno ko bahut ajeeb laga..



"yeh aise kyun khadi hai idhar.." sheena ne aagey badhte hue ricky ke kaan mein fusfusaya jiska jawaab ricky ne kuch nahin diya aur bas kandhe upar kar diye jiska matlab tha ke main bhi nahin janta..



"uh sheena , ek min please ruko, mujhe kuch kaam tha tumse.." sneha ne sheena ko andar jaane se roka, sheena toh wahin ruk gayi lekin jyoti aur ricky bina kuch kahe wahan se aagey badh ke apne apne kamre ki or badhne lagey...



"sheena, ek second mere saath aaja, meri gaadi mein kuch dikhana chahti hun tujhe..." kehke sneha apni gaadi ki taraf badhne lagi aur sheena sochne lagi achanak sneha uske sath tu karke baat kar rahi hai... sheena shock hui lekin usne apne aap ko sambhala aur sneha ki gaadi ki taraf chalne lagi..



Teen mahine pehle imported audi, vikram ne sneha ko uske birthday pe gift ki thi, yeh model ab tak india mein nahin aaya tha isliye sneha ko apni gaadi se bahut pyaar tha, shayad tabhi uski gaadi ghar ki sabi gaadiyon se alag rakhi jaati thi aur uski chaabi bhi sneha apne paas rakhti kyun ki woh nahin chahti thi ke use sneha ke alawa bhi koi haath lagaye...



"sheena, janti hai is gaadi ki khaasiyat kya hai..." sneha ne gaadi ko unlock kiya aur drivers seat pe jaake beth gayi, aur saath hi paas wali seat ka darwaza bhi khol diya jisse sheena bhi andar beth sake... sheena sneha ki baaton ko sunte sunte uske paas jaake beth gayi...



"is gaadi mein kaafi choti choti cheesein hain jo ise unique banati hain, like agar is gaadi ko pre defined unchai se fenka jaaye toh iske safety sensors activate hote hain aur gaadi ko parachute mein tabdeel kar dete hain... dusra, iska gps system... is gaadi mein google maps ke alawa kisi dusri company ke maps bhi hain jo driver ko yeh batate hain ke woh exact kis location pe hain.. aur jaise jaise waqt jaata hai, humein isko net se connect karke update karna padta hai, agar hum aise nahin karte toh humein audi germany se call aata hai ke jald se isko update kar dein, nahin toh yeh unke safety point ka ek breach maana jaata hai.. as a company audi yeh nahin chahti ke unki gaadi mein koi bhi accident ho ya agar koi kahin misplace ho jaaye ya kidnap ho jaaye ya gaadi kahin kho jaaye toh use ek lapse maana jaaye... isliye toh jab gaadi bandh rehti hai tab yeh maps kaam nahin karte , lekin haan special request pe using the engine number and gps system number gaadi ke maps ko offline bhi activate kiya jaa sakta hai..." sneha sheena ko aisi cheesein bata rahi thi jinka tark sheena ko pale nahin pad raha tha, lekin sheena samajh chuki thi ke sneha iske baad kya kahegi isliye woh ab tak khamosh thi



"but tu jaanti hai, ke iska ek chota sa problem hai.. aur probelm yeh hai ke yeh system jitna hi updated hota rehta hai, utne hi bugs isme create hote hain, jisse yeh vulnerable banta jaata hai.. vulnerable to anything, jaise virus ya yeh easily hack bhi ho jaata hai.... maine ise last month hi update karwaya tha workshop se.." sneha itna kehke khamosh ho gayi aur sheena ki aankhon mein dekhne lagi kisi jawaab ki umeed mein lekin sheena ab tak khamosh sneha ko hi dekh rahi thi



"hhaah,. interesting.. sheena, tujhe kya laga, tu agar ise hack kar legi toh kisi ko pata nahin chalega... jab tune yeh socha ke ek mamuli system ko hack karke sneha ko dabati firegi toh woh teri zindagi ki sabse badi bewakoofi thi.. tune socha main toh kahin is gaadi ke bagar aati jaati nahin, isliye kyun na na tu direct iske zariye meri khabar rakhe aur main bas yeh soch soch ke paagal hoti rahungi ke aakhir tu yeh sab kaise kar rahi hai... khair achi koshish thi, mujhe yakeen hai ke itna sab soch ke tere ghutnon mein dard chalu ho gaya hoga.. hai na.." sneha ki aakhri line sun sheena ka khoon garam hone laga, uska chehra laal hote dikh raha tha jise sneha kaafi ache se enjoy kar rahi thi, lekin sheena khamosh rahi



"aur ek baat sun le, kya kaha tha tune vikram wali baat ka.. jaake keh de gharwalon se... mere sab call records check karwa le, lekin galat nikalne par tu hi apne gharwalon ki nazar mein giregi.. aur haan, apne bhai, tere hone wale yaar ki nazron mein toh nahin giregi, itna pyaar jo karta hai tujh se, bas puri zindagi usi ke sahare nikal dena, par afsos woh bhi shayad naa kar paaye.. uske liye toh teri dusri behen, teri sautan banne ko toh taiyar hi hai... hai na.." sneha ne fir sheena ki aankhon mein dekha aur style se apni aankhon ko glasses se cover karke apne liye cigarette jalai aur dhuan sheena ke muh pe chod diya







"ab aur kya sunna chahti hai... get out................. please...." sneha ne ek baar fir dhuan sheena ke muh pe choda aur sheena bina kuch kahe wahan se nikal gayi.. is choti si jeet se sneha kaafi khush hui aur apni cigarette khatam karke apni gaadi ko lock kiya aur wahan se apne kamre ki or nikal padi...



English mein ek kahavat hai, getting a taste of your own medicine.. matlab dushman aapko aapke apnaye hue tareeke se hi hara deta hai.. idhar sneha ne bhi theek wahi kiya jo sheena ne uske sath kiya, nanad aur bhabhi, ab aap aur tum se tu pe aa chuki thi, jahan sheena ne apne dimaag ko itna chala ke yeh sab hath mein kiya tha, woh sab ek hi pal mein zameen pa aa gaya tha, wahin sneha bhi prem ki madat se fir normal hui aur ab har choti baat ka dhyan rakhne lagi... isi liye usne ek mobile aur naya sim card le liya jisse woh pane kaam ke sabhi calls aaram se kar sakti hai.. yeh naya card usne sheena ke naam pe liya tha..sheena ko ab tak yakeen nahin ho raha tha ke sneha ne uski is chaal ka tod nikal diya tha aur ab woh fir se uske saamne apni gardan unchi kar ke chalegi.. yeh chot sheena ke liye bahut badi aur gehri thi, apne kamre mein aate hi room ke chakkar kaatne lagi, cigarette pe cigarette fukne lagi lekin dimaag bilkul nahin chal raha tha..



"hello, haan , ek problem ho gayi hai...." sheena ne kisi ko fone karke kaha aur sab bata diya jo aaj hua



"ummm, sneha itni smart nahin ho sakti... khair ab usne kuch pata lagaya hai toh use iska inaam toh milna chahiye na... theek hai, tum chinta nai karo, yeh inaam kab aur kahan dena hai, i will inform you.." saamne se sheena ko jawaab mila



"but.." sheena ne itna hi kaha ke fir use rok diya gaya



"i told you to relax dear.. bubye.." kehke phone toh cut hua, lekin sheena ab tak pareshaan thi



Sneha raichand's ke peeche padi thi, lekin woh ek baade ki khiladi thi, just a pawn, chaal toh koi aur hi chal raha tha, isme uske sath tha prem.. prem uska bhai aur uska yaar.. sneha jitni shaatir, prem utna hi thanda aur chaalak.. sneha ki gaadi ka system hack hai woh usne ek minute mein pakad liya, kyun ki jab usne sneha ki sab baatein suni aur jab woh coffee shop mein mile, un dono baaton mein sirf ek hi difference tha.. sneha ki gaadi ki maujudgi.. isliye usne turant is baat ko catch kiya aur apna teer choda jo theek nishane pe jaa betha.. Sheena apne bhai ricky se pyar mein thi, use haasil karne ke liye woh kuch bhi kar sakti thi, uski zindagi ki sabse badi bhool ke usne yeh baat sneha ko bata di thi, shayad ab isi bhul ko theek karne ke liye woh kisi teesre ki madat le rahi thi, lekin aaj ki baat ke baad fir uske dimaag mein yeh sandeh hua ke kya yeh teesra uski madat kar payega.. Ricky sheena ki maujudgi ko enjoy karne laga tha, dheere dheere woh khulne laga tha sheena ke sath...ab tak uski zindagi kaafi seedhi thi, sheena ke sath raho aur uski problems ko solve karo jisse unka rishta aur gehra bane... Umer in sab baaton se anjaan ab tak apne bade bete vikram ki maut mein duba hua tha, isliye toh woh akele mein rone lagta aur gharwalon ko dikhane ke liye fir mazbut ban jaata... Suhasni mein ek nayi urjaa paida hui thi apne yaar aur devar rajvir ke aane se.. umer se woh kaafi khush thi aur umer bhi usko aaj utna hi pyar karta jitna ke jawaani mein, lekin khandani rais shayad aiyashi jaan bujh ke karte hain, bina kisi wajah..aur ise woh galti na kehke zindagi ke maze lena bolte hain.. Rajivr ki beti jyoti aaj ki taareekh mein ghar mein sabse zyada chokanni nazron wali thi, uski nazron se kuch nahin chup sakta tha, isliye toh aate hi usne sheena aur ricky ke beech ek panapte pyaar ko dekha, lekin idhar woh apni rah se bhatak gayi.. woh ruki toh thi yahan padhai ke liye lekin padhai ke alawa woh yeh sab baaton ke baare mein sochne lagi thi...



jaise jaise din dhalta waise waise cigarette ke packet se cigarette khatam hone lagi, sheena shayad apne fefdon ko ek hi din mein jala dena chahti thi.. isliye toh baar baar soch rahi thi ke sneha ka ab kya kiya jaaye, aur upar se ab jyoti ki musibat bhi thi.. sheena apne khayalon mein balcony mein khadi cigarette hi funk rahi thi ke peeche se ek hath uske kandhon ke taraf aaya aur usko mehsus karke sheena paseena paseena hone lagi aur peeche mud ke dekha



"phewww.w... dara dete ho bhai..." sheena ne fir apni nazrein saamne ki jahan samandar ki lehren patharon se takrati



"maine daraya ya tumne daraya hai.." ricky ne apne hath mein khali cigarette ka box dikhate hue kaha jiska jawaab sheena ne kuch nahi diya



"ek hi din mein pura box, r u crazy..." ricky ne sheena ke hath se cigarette cheen ke fenk di



"ok now tell me, whats the problem... shayad main kuch madat kar sakun.." ricky ne jaise hi yeh baat sheena se kahi, sheena pehle kuch der toh ricky ko ghurti rahi, lekin fir use sab bata diya, har baat , jahan se yeh shuru hua tha aur jahan pe aaj yeh baat pahunch chuki thi... uski baatein sun ricky bhi kuch der khamosh raha aur fir apni nazrein saamne laga di jahan sheena dekh rahi thi.. samandar ki hawa kaafi tez thi, aaj lehren bhi kuch zyada hi unchi thi, isliye jaise jaise woh patharon se takrati, waise waise ricky aur sheena ke dil challi hone lagte, sheena ki baat sun ricky kuch der toh bas yun hi khada raha jaise woh ek murti ban chuka ho, sheena ki aankh mein aansu aane lage the



"am sorry bhai, shayad maine apni life ki sabse badi galti kar di " sheena ne badi ruandi se awaaz mein ricky se yeh kaha jo abhi bhi ek murat ke samaan khada tha aur samandar ke shor ko mehsus kar raha tha.. apni baat kehke sheena ka rona kuch der mein bandh toh ho gaya, lekin woh abhi bhi subak rahi thi...



"hmmm, sheena.. i never thought ke main yeh baat aise kahunga, lekin ab jab sab pata chal gaya hai toh kehna hi padega.." kehke ricky ne sheena ka hath apne hathon mein liya aur use halke se chum diya, jisse sheena ki aankhon mein ek chamak aa gayi



"chaahe kuch bhi ho, meri aakhri saans tak main tumhara sath kabhi nahin chodunga..main nahin janta yeh sab sahi hai ya galat, yeh jaante hue bhi ke is rishte ke koi maayne nahin, yeh jaante hue bhi ke is rishte ko samaaj mein, duniya mein galat maana jaayega.. lekin main yeh bhi janta hun ke is rishte se hum khush rahenge, hamare dil khush rahenge, aur usse zyada mujhe zindagi mein kuch nahin chahiye... sheena raichand, kya tum apni puri zindagi mere sath bita paogi... main nahin janta kaise, main nahin janta ke kya kabhi hum is rishte ko kuch naam bhi de payenge ya nahin... lekin main yeh zaroor janta hun ke bhale main zindagi mein akela rahun, par hamesha tumhare sath tumhara saya banke chalunga... Sheena raichand... I LOVE YOU.." Ricky ne sheena ki aankhon mein dekhte hue kaha jise sun sheena ki dil ki dhadkane tezi se badhne lagi, aaj use aisa lag raha tha ke use ek nayi zindagi mili hai...



"agar mere sath rahoge, toh akele kaise hue duffer.." sheena ne halke se haske jawaab diya aur dheere dheere ricky ke paas aane lagi aur apne hath mazbuti se ricky ke hanthon mein thaam ke use gale laga liya



"I love you too..Ricky Raichand..." sheena ne jaise hi yeh kaha, ab tak jo hawa tez chal rahi thi woh dheemi hui , jo lehren ab tak kaafi shor macha rahi thi aur pathron se takrake apni maujudgi ka aabhas kara rahi thi, woh bhi ab ek dum shaant ho gayi... aisa lag raha tha maano kudrat ne bhi inke rishte ki mazuri de di thi.. Ricky ka hath pakad ke sheena wahin khadi rahi aur apna sar uske kandhe pe rakh diya.. dono saamne dekh rahe the, koi kuch nahin keh raha tha..



"lekin ab tak meri problem ka solution nahin diya aapne.." sheena ne apne sar ko uncha kiya aur ricky ko dekh ke kaha, sheena jo ab tak "aapne bhai" kehne ki aadi thi, ab baaton se "bhai" shabd ko nikalne lagi thi



"hmmm, ab bhabhi ki problem ka solution toh itna jaldi nahin milega, lekin rahi baat meri aur jyoti ki trip ki.. main usi ka solution leke aaya tha tumhare paas par tumne hi mujhe apni baat se distract kar diya" ricky ne aankh maar ke kaha, jisse sheena halke se sharmaayi aur apni nazrein neechi kar li...



"Solution mil gaya..." sheena ne turant ricky ki baaton pe gor kiya aur apni nazrein unchi kar ke ricky se aankhen mila di, sheena ki aankhon ki gehraai mein ek alag kism ki chamak thi jise sirf ricky hi dekh sakta tha us waqt
______________________________
Love Me... Or Hate Me....But you cant ignore me .....[/size]

User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1587
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Waqt - time -samay ( Incest + Adultery with pics)

Unread post by admin » 29 Jan 2016 08:17

Update 30
(Kuch Purana hisaab hai.. Shayad… )
Mahabaleshwar mein umer aur rajvir pahunch ke zameen dekhne lagey, yeh batane ki zarurat nahin hai ke pahunchne se pehle hi umer ne apne jaan pehchaan ke sabhi brokers aur dealers ko kaam pe lagaya tha.. har dealer janta tha ke zameen pasand aa gayi toh umer kabhi bhaav tol nahin karta.. hill station pe 40-50 acre ki zameen milna koi mamooli baat nahin thi, isliye rajvir ke bhi contacts kaam mein lag gaye.. Subah savere ki thandi hawa mein umer aur rajvir jaise hi apni Land cruiser se utre, wahan ke kuch dealers uska intezaar karte hue dikhe.. Kuch der baad umer aur rajvir ka discussion chalu hua aur shaam hote hote zameene dekh ke lautne lage.. Raichand's mein umer aur rajvir ki na maujudgi
mein kuch khaas nahin chal raha tha, jyoti bali trip ke baare mein planning kar rahi thi aur wahin sheena aur ricky ghar ke theek saamne samandar ki lehron ke paas jaake beth gaye.. woh jaante the ke jyoti unhe aise dekh sakti hai, lekin sheena ne jab ricky ko sab bata diya tha toh ricky aur sheena ka darr nikal chuka tha.. woh log jaante the ke agar unke baare mein jyoti kisi ko bata bhi degi toh koi uspe yakeen nahin karega, isliye dono bekhauff hathon mein hath daale samandar ki lehron ka mazaa le rahe the...



"kitna sukoon hai na idhar, dopahar ke is waqt mein dekho toh koi shor sharaba nahin...bas tum, main aur yeh samandar ki lehren...jee chahta hai ke yeh waqt bas yuhin tham jaaye, patharon se takrati hui lehren ruk jaaye, agar kisi chees ki awaaz ho toh bas hamari dhadkano ki.. aur koi nahin.." ricky ne sheena ke hathon ko apne hothon ke paas laakar kaha aur use badi nazakat se chum liya




aise maahol mein kisi ka bhi dil dhadakne lagey agar sheena jaisi sangini uske sath ho toh, dopahar ki halki dhoop mein sheena ka chehra kaafi khila hua tha, aaj uske chehre ki chamak alag hi thi, uske baal khule hue uski khubsurti badha rahe the, upar se ricky ke hath mein uske hath.. iska romanch sheena ke dil mein kaafi hulchul paida kar raha tha, sheena ka dil kabhi tezi se dhadakta toh kabhi ek dum dheere dheere.. use khud samajh nahin aa raha tha ke aakhir aisa kyun ho raha hai, ricky uski taareef pe taareef kiya jaa raha tha lekin woh bas ricky ke chehre ko ek tak dekhte dekhte usme kho si gayi thi, woh lafzon ko nahin sun rahi thi, bas dekh rahi thi toh ricky ke hilte hue honth.. woh shabdon ko nahin samajh rahi thi, bas dekh rahi thi toh ricky ki badi bhuri aankhein jo har lafz ke sath badi aur choti hoti rehti... sheena bas yeh dekh ke muskurati rehti,

ricky ne jab dekha ke sheena kahin khoyi hui hai, toh usne bolna bandh kiya aur sheena ki aankhon ke aagey ek chutki si baja di jaise ki use apni maujudgi ka ehsaas dilana chahta ho



"main aapke sath hi hun...aaj main bas aap mein hi khona chahti hun, aap jo bhi kahoge main use sun nahin paungi naa hi samajh paungi.. kyun ki kaafi waqt baad dil ko aisa sukoon mila hai, kaafi waqt baad is dil ko aisa laga hai jaise koi apna bahut kareeb hai...kaafi waqt baad mere dil aise insaan ke liye dhadak raha hai jo uske sabse zyada kareeb hai... kaafi waqt baad aaj mehsus hua hai, ke mera koi apna hai aur jiske liye main bahut khaas hun...aaj kehna chahti hun in hawaon se, in takrati lehron se, neele gagan mein udte hue in panchiyon se.. aaj main akeli nahin hun, kaafi waqt baad aaj mera pyaar mere sath aaya hai.... mere paas aaya hai..." sheena ne ricky ko dekhte hue kaha aur use dekhti hi rahi... ricky bhi uski baat sun halka sa sharma gaya lekin dono ne apni aankhein neechi nahin ki, dono mehsus karne lagey us maahol ko, wahan ki shanti ko, wahan pasre aise sannate ko jisme din ke waqt bhi koi bhi darr jaaye, lekin yeh dono aise maahol mein bhi bas ek dusre mein koye hue the.... ricky aagey kuch keh paata isse pehle sheena ne apni baahon mein ricky ko sameta aur use gale lag gayi.. sheena aise gale lagi jaise ricky shayad usse aakhri baar gale lag raha ho, ya yeh uska darr tha ke kahin ricky usse door na chala jaaye.. dono ne ek dusre ko tak tak apni baahon mein se alag nahin kiya jab tak dono ke dil nahin maane... jab dono ke badan alag hue, dil fir keh rahe the ke aao ek sath fir mil jaate hain, lekin dono ne apne dil pe kaabu rakha aur fir hath pakad ke saamne dekhne lage aur lehron mein apne per bighone lage



"Acha sheena, ek baat puchun.." ricky ne apne sar ko thoda upar kiya aur uske forehead pe kiss karke fir uske kandhe pe apna sar rakh diya



"puchiye na, " sheena ne bas itna hi kaha aur abhi bhi uski nazrein saamne pani mein pad rahi suraj kirno pe thi



"agar main naa kehta tumhare proposal ko toh... tum kya karti..." ricky ne yeh sawaal isliye oucha kyun ki woh janna chahta tha ke sheena sahi mein mature hui hai ya yeh bas attraction hai... ricky ko laga shayad sheena gusse mein react karegi aur fir use usko samjhana padega.. kuch der tak sheena ne koi jawaab nahin diya, fir ricky ne same sawaal dohraya



"batao bhi... agar main naa kehta toh, " is baar ricky ne apna sar uthaya aur uski nazron ka peecha karte hue dekha ke woh abhi bhi samandar ko hi dekh rahi thi



"aap jaante hain, yeh lehren roz samandar se yahan tak aati hai aur fir pathar se takra ke mar jaati hain..lekin iski wajah se woh yahan aana chod nahin deti, unhe kudrat ne aisa hi banaya hai ke woh yahan aa sake aur in patharon ko cheer kar aagey badh sake aur kinare se mil sake... agar aap na kehte toh main aap se pyar karna bandh nahin karti, kyun ki mujhe aapke paas aake ehsaas hua hai ke kudrat ne shayad mujhe aapke liye hi banaya hai.. agar aap na kehte mera pyaar bilkul kam nahin hota, balki aur zyada badh jaata kyun ki aapke mana karne pe main aap mein koi khaami dhundhne ke badle apne hi pyaar pe shak karti.. aur aagey bhi agar kabhi hum sath na reh sake toh bhi aapko dosh dene ke badle main yeh samajh lungi ke mere pyar mein hi koi kami reh gayi ho.." sheena ne ek saans mein hi jawaab diya aur ricky ke aankhon mein dekhne lagi... ricky ko sheena se aise jawaab ki umeed bilkul nahin thi, use lagne laga ke sheena sahi mein usse pyar karti hai.. lekin fir bhi ricky ne use thoda gussa dilane ke liye fir ek sawaal pucha



"fir bhi sheena, agar main london se hi kisi ladki ke sath aata toh..tumhara pyaar adhoora reh jaata na, tum mere pyaar ko haasil nahin kar paati.." ricky ne jaan bujh ke yeh line uski aankhon se apni nazrein hata ke kaha taaki sheena ko lagey ke woh serious hai...



"ishq de meree mitra pehchaan kee....mit javay jadoon zid apnan dee.." sheena ka yeh jawaab sun ricky ne turant apni nazrein sheena se milayi , sheena ne bhi halki see muskaan deke ricky ke hathon ko apne hath mein thaama aur dusra hath badha ke ricky ke palkon ko apne honthon ko ehsaas dilaya..



"sache pyaar ka matlab use haasil karna nahin hota... agar aap kisi se pyaar karte ho toh use haasil karne ke badle use khush dekhne ki khwahish rakho, agar aapka pyaar aapse door jana chahe toh use jaane do.. jab woh laut ke aaye tab hi woh aapka hai, agar nahin aata toh kabhi aapka tha hi nahin.." ricky ne sheena ki aankhon mein dekh ke kaha, is baar usne sheena ke chehre ko thaama aur dheere dheere apne honth sheena ke honthon ke paas le jaa raha tha.. sheena bhi bina kisi jhijhak ke apne honth uske honthon ke paas le jaa rahi thi, pathron se takrati hui lehren ab shant ho gayi, halki si tezi se behti hawa ab aur bhi dheemi ho gayi thi... aakash se panchiyon ke chehekne ki awaaz bhi nahin thi, jaise jaise dono ke honth kareeb aa rahe the, waise waise dono ke dil ki dhadkan ki awaaz wahan maujud koi bhi sun sakta tha.. dono ke chehre pe paseena badhne laga tha,
sheena aur ricky ke honthon mein faasla ab zyada nahin tha , dono ki saansein tez chal rahi thi...ricky ne apna hath sheena ki gardan ke peeche rakha tha aur apni ungliyan halke halke ghuma raha tha, sheena ke liye bhi ab rukna mumkin nahin tha, woh taiyar thi apni zindagi ki sabse pehli kiss ke liye.. apni zindagi ke pyaar ke sath uski pehli kiss, isse ache maahol mein nahin ho sakti thi, jahan kudrat bhi unki gawah ban rahi thi.. sheena aur ricky ke liye maano sab kuch tham gaya tha, koi shor nahin, pani sthir ho chuka tha, hawa bilkul nahin thi.. ricky ne dheere se apne honth aagey badhaye aur sheena ke honthon pe halke se rakh diye.. dono ki aankhein bandh thi, jaise hi sheena ko apne honthon pe ricky ke honthon ka ehsaas hua uske dil ki dhadkan dheere hone ka naam hi nahin le rahi thi.. ricky ne fir apne honthon ko sheena ke honthon se halka brush kiya aur thoda peeche
le jaake apne honthon ko, sheena ke chehre ko dekhne laga, sheena ki aankein bandh thi, aur uska chehre ki chamak dugni ho gayi thi jise dekh ricky ke chehre pe halki si muskaan aa gayi aur usne sheena ko gale laga liya... jab sheena ko ehsaas hua ke ricky ne smooch nahin ki balki uske honthon ko bas halka sa chua hi tha, toh woh bhi kuch der ke liye sharma gayi aur apne chehre ko ricky ki baahon mein chupa liya... sheena raichand, zindagi mein pehli baar sharmayi thi, uske chehre ki laali dekhte hi banti thi, ricky ko bhi is baat ka ehsaas hua aur woh sheena ke sar pe hath rakh ke uske baalon se khelne laga



"waise mujhe pata nahin tha ke aapko punjabi aati hai..." sheena ne apna sar ricky ki baahon se nikal ke uski aankhon mein dekhte hue kaha



"ae vi sadda ek rang hai.." ricky ne halki muskaan ke sath kaha, jiske jawaab mein sheena bas muskura di



"hahaha, nothing like that.. london mein mere apartment mein mere do aur frnds hain, dono hardcore punjabi hain, toh thodi thodi unse seekhi hai maine..zyada nai aati.. lekin tumne kahan seekhi, mujhe pata nahin tha tumhare is talent ke baare mein.." ricky ne sheena ko fir apni baahon mein lete hue kaha



"nahin nahin, mujhe nahin aati.. woh toh main bas aapko impress karne ke liye bol rahi thi, kal raat maine ek movie dekhi jisme yeh dialouge tha, jab samajh nahin aaya toh fir rewind rewind karke suna, use likha aur google pe matlab nikala, aur tab jaake aapko sunaya.." sheena ne aisi masumiyat se jawaab diya ke ricky ke dil ko chu gayi sheena ki yeh baat



"lekin main tumhare liye aisa kuch nahin karunga, naa hi main acha likhta hun, aur naa hi ache se express kar sakta hun.." ricky ne jaise ek shikayati tone mein kaha



"koi baat nahin, yehi baat mujhe sabse zyada pasand hai aapki..ur not fake..." sheena ne fir ricky ki aankhon mein dekh ke kaha



"chalo ab chalte hain, kaafi der ho gayi hai, agar dhundhte hue tumhari bhabhi yahan aa gayi toh fir aur mushkilein badha degi" kehke ricky ne sheena ka hath thama aur sheena ki madat ki pathar se uthne mein



"ya right, but waise aapne socha jo baat maine batayi.. ek toh maine use sab bata diya, aur upar se vikram bhaiya wali baat..." sheena ne ricky ka sahara liya aur dono aagey badhne lage



"haan socha hai, zyada mushkil nahin hai.. tumhe waqt aur din yaad hai na jis din unki kisi ke sath baat hui thi vikram bhai ko leke" ricky aur sheena dono apne glasses pehente hue baatein kar rahe the



"haan, ache se yaad hai.. fir kya karein.."



"toh koi baat nahin hai, bhabhi ka jo service provider hai.." ricky ne bas itna hi kaha ke sheena ne use tok diya



"haan vodafone, aur main vodafone mein kuch logno ko janti hun, janti hun like friends of friends.." sheena ne ricky ko dekhte hue kaha



"kitne friends hai yaar tumhare, they r spread everywhere.. anyways, toh unse kehke detailed bill nikalwao , taareekh aur waqt ke hisaab se number nikalo aur us number ki details haasil karo par sath hi sath woh number inspector nikhil ko bhi de dena, taaki woh is baat se anjaan naa rahe.." apni baat kehke ricky ne ek haath aagey badhaya jise sheena ne thaam liya aur hasti hui kehne lagi



"manna padega, chaliye ab chalte hain.. agar dhundhte hue aapki behen yahan aa gayi toh fir aur mushkilein badha degi" sheena ne has ke ricky ka dialouge use hi sunaya



"hmmm, rajvir kya kehte ho.. is zameen ke baare mein.." umer aur rajivr apne saamne pade ek chart paper ko dekh rahe the aur sath hi sath apna jaam pee rahe the.. dono is waqt umer ke usi weekend home mein the jahan kuch waqt pehle unke bache aaye the



"zameen toh badhiya hai bhaisahab, shehre ke beecho beech hai toh har jagah se distance same hi rahega, fir chaahe woh market ho, ya sight seeing places..." rajvir ne bhi apne glass uthaya aur umer ki haan mein haan mila di



"theek hai chalo ise final kar dete hain, kal subah tak close kar dete hain.."



"par bhaisahab, bina kisi bhaav tol ke, matlab agar yeh zameen saste mein milti hai toh isme harz hi kya hai.." rajvir ne bilkul sahi baat kahi thi umer se.. jab dealer ne unhe woh zameen dikhayi toh umer ne bhaav puche bina use keh diya ke agar pasand aayegi toh jaldi nipta denge kaagzat ke kaam ko



"theek hai rajvir, bhaav tol karna meri fitrat nahin, cheez pasand aa gayi toh use kharid lo, agar paise ka baare mein sochoge toh shayad cheez nahin mil payegi tumhe"



"sahi keh rahe hain bhaisahab, lekin aap khud sochiye, ke agar hum is zameen ka bhaav tol karenge toh saste mein milegi aur aisa koi hamara competitor nahin hai yahan jo zameen le jayega cheen ke.. aaj dealer se meri baat hui toh yeh zameen 2000 ke bhaav se de raha hai jiska matlab yeh zameen humein kareeb 28-30 crore ke beech milegi, lekin hum agar usse agar 300 bhi kam r lete hain toh mera kharcha 28-30 crore ke badle seedha 25 ke neeche aa jayega, matlab 5 crore ki seedhi bachat" rajvir ne apni calculation dikha ke kaha



"mujhe nahin dekhna yeh sab rajvir, mere nature mein bhaav tol karna nahin hai, aur naa hi main woh karna chahta hun.. aaj itne brokers aur dealers aye the hamare paas kyun ki woh jante hain ke umer kabhi bhi aurton ke sath sabzi mandi nahin jaata.." umer ne ek thahaka lagate hue kaha aur dono glasses fir bhar diye



Umer ki yeh baat rajvir ko bilkul pasand nahin aayi, lekin usne khamosh rehna theek samjha.. chup chaap dono spne apne glass mein se daru pee rahe the tabhi umer ko us dealer ka fone aaya



"haan jee , deshpandey saab.. aap toh bade busy ho gaye hain.." umer ne phone utha ke kaha



"haan jee zameen toh pasand hai humein, bas ab aap subah aa jaiye, kagazi kaam kaaj niptana chahta hun kal hi.." umer ne apne glass se ek aur chuski lete hue kaha, aur theek uske saamne rajvir uski baatein sun raha tha aur sath hi uski deal karne ke tareeke ko observe kar raha tha



"acha, lekin abhi rajvir ne toh 2000 bataya mujhe.." umer ne rajvir ki or dekhte hue kaha jisse rajvir ne apna glass neeche rakha aur umer ke chehre ke bhaav padhne laga



"naa jee, koi dikkat nai, 2500 mein done karenge...lekin haan is baat ka dhyan rahe, mujhe is zameen pe koi naatak nahin chahiye khareedne ke baad, clearnace aur paper sab theek hoga tab hi pura paisa dunga, papers sign honge, main check karwaunga, sab theek nikla toh aapke paise aapke paas pahunch jayenge..." umer ne apni chaati chaudi karte hue kaha



"theek hai chaliye, " kehke umer ne jaise hi phone rakha rajvir ne bolna shuru kiya



"bhaisahab, dopahar ko meri baat 2000 mein hui, abhi 2500 kaise.. costing 25 % se badh jayegi , ab 28 ke badle humein 35-40 crore dene padenge.." rajvir bina kuch sune apni baat kehne laga



"ab bas bhi karo rajvir, humne faisla kar liya toh kar liya.. ab zyada kich kich nahin chahiye is baat pe mujhe " umer ne apna glass khali kiya aur fir use bharne laga



"maaf kijiyega bhaisahab, agar meri koi baat sunni nahin thi, toh fir mujhe yahan laaye hi kyun aap.. akele bhi aa sakte the, " rajvir ne jhalla ke kaha



"apni tone ko kaabu mein rakho rajvir, mujh se aise baat nahin karo tum" umer ne kadak awaaz mein jaise hidayat dete hue kaha jise sun rajvir kuch der ke liye khamosh ho gaya



"aaj hamare paas jo bhi hai, sab aise hi nahin bana hai, mehnat ke sath sath dimaag bhi lagaya hai.." umer ne fir guroor dikha ke kaha



"janta hun bhaisahab, vikram ne aap se zyada mehnat hi nahin ki , lekin aaj agar property jitni bhi hai, usme kaafi yogdaan vikram ka bhi raha hai, aur aaj agar woh aapki jagah hota toh aise deal nahin karta woh... sher hain aap jungle ke, lekin yeh bhi maan lijiye ke ab sher bhudha ho gaya hai... jab sher bhudha hota hai toh uski taakat kam nahin hoti, par uski chalaaki kam hoti hai, isliye woh kamzori ka bahana banata hai aur use jo milta hai woh khane lagta hai.. aap zyada soch nahin sakte ab, isliye bas jo bhi mil raha hai, jaisa bhi mil raha hai woh le rahe hain..' rajvir ne apni aankhein umer ki aankhon se milate hue kaha. Umer yeh baat sun apne daant peesne laga aur tehesh mein aake ek hi jahtke mein apna jaam khatam kar diya



"yeh bhi tumhari wajah se hai rajvir, agar tum mujhe chod ke akele nahin jaate toh aaj hum bhai sath rehte aur mere bache ko iss betting ke daldal mein nahin aana padta aur shayad uska bhavishya alag hota.. lekin tumhari wajah se main akela hua aur majburan vikram ko mujhe is kaam mein dhakelna pada.."



"main bhi aapki zidd ki wajah se hi gaya tha bhaishab, aapne hi meri zindagi barbaad ki.. aapke rutbe aur shaan shaukat ki wajah se mujhe yahan se jana pada, agar aaj main apni zindagi apni marzi se jee raha hota toh shayad aaj sukhi hota main, lekin.."



"lekin kya rajvir... aaj kis cheez ki kami hai, paisa rutba ek susheel ladki, aur kya chahiye tumhe... sukh ke liye insaan ko in sabse zyada aur kuch nahin chahiye rajvir, vehem se niklo" umer ne rajvir ko tokte hue kaha



"yeh sab aapko lagta hai bhaisaahab.. aaj meri zindagi mein sabse zyada kami hai pyaar ki, jise shayad aap kabhi samajh nahin paaye...aur rahi baat meri ladki ki, toh woh bhi main zidd karke adopt karke laaya, agar aapke kehne pe chalta toh shayad zindagi bhar akela hi rehna padta aur ghut ghut ke jeeta"



"apni zabaan pe kabu rakho rajvir... agar hosh mein nahin ho toh dafaa ho jao yahan se aur jaa ke so jao,. lekin yeh baat jo mujhe kahi, agar kabhi bhul se jyoti ke aagey kahi toh main bhul jaunga ke tum mere bhai ho.." umer ne chilla ke kaha



"bhul toh aap mujhe kab ke gaye hain bhaisahab, aaj agar main akela hun toh sab aapki wajah se.. aapki wajah se.... aap.... kiiiii.. wjahhhhh.." rajvir hosh khone laga sharaab ke nashe ki wajah se aur wahin pade sofe pe behosh sa ho gaya



Behosh hone se pehle aaj rajvir ne apne dil ki kaafi bhadaas bahar nikali, jyoti rajvir ki apni beti nahin balki uski godh li hui beti thi... Umer ne jaise hi yeh baat suni, umer ke dimaag mein waqt ke panne palatne lage aur kaafi purani baatein yaad aane lagi... jo raaz ab tak umer ke seene mein dafn the, shayad ab woh dheere dheere kar bahar niklenge
______________________________
Love Me... Or Hate Me....But you cant ignore me .....

----------------------------------------------[/size]

Post Reply