एक अनोखा बंधन compleet

Discover endless Hindi sex story and novels. Browse hindi sex stories, adult stories ,erotic stories. Visit theadultstories.com
rajaarkey
Platinum Member
Posts: 3125
Joined: 10 Oct 2014 10:09

Re: एक अनोखा बंधन

Unread post by rajaarkey » 13 Oct 2014 13:57

एक अनोखा बंधन--18

गतान्क से आगे.....................

ज़रीना उठ गयी और सुबक्ते हुवे बड़े प्यार से बोली, “मुझे चुंबन लेना आता भी नही है. तुमने अचानक ये बात करके मुझे डरा दिया.”

“अछा ठीक है बाबा. मेरी जान सच में बहुत मासूम है. वैसे चुंबन लेना मुझे भी नही आता. बस यू ही तुम्हारी आँखो में देखते-देखते मन बहक गया. चलो छ्चोड़ो ये सब ये बताओ खाओगि क्या कुछ. मुझे तो भूक लग रही है.”

“तुम खा लो, मुझे सच में भूक नही है.”

“चलो ठीक है. मैं खा कर आता हूँ. तुम आराम करो.”

“यही मंगा लो ना खाना. मेरे पास रहो. मुझसे दूर मत जाओ प्लीज़.”

“अछा ठीक है, यही मंगा लेता हूँ.” आदित्य ने ज़रीना के चेहरे पर हाथ रख कर कहा.

आदित्य और ज़रीना के प्यार की मासूमियत होटेल के उस कमरे में हर तरफ बिखरी पड़ी थी. ये ऐसा मासूम प्यार था, जो कि बहुत कम लोगो को नसीब होता है. और जिनको ये नसीब होता है वो आदित्य और ज़रीना की तरह प्यार के फरिस्ते बन जाते हैं.

आदित्य ने रूम में ही खाना खाया. खाना खाने के बाद दोनो ने खूब बाते की. बातों में हमेशा की तरह प्यार भी था और तकरार भी. ज़रीना बेड पर ही सोई. बिस्तर छ्चोड़ने को तैयार नही हुई वो. खैर आदित्य भी नही चाहता था कि वो नीचे सोए. इश्लीए चुपचाप फर्स पर चादर बीचा कर सो गया.

सुबह 6 बजे उठ गये दोनो. पहले ज़रीना घुस गयी नहाने. नहा कर जीन्स और टॉप पहन कर निकली बाहर.

“वाउ तुम ज़रीना ही हो या कोई और. बहुत प्यारी लग रही हो इन कपड़ो में.” आदित्य ने कहा.

“मज़ाक मत करो. जीन्स थोड़ी सी लूज है. बेल्ट भी नही है मेरे पास. दिक्कत रहेगी चलने में.” ज़रीना ने मायूसी भरे लहज़े में कहा.

“अब अंदाज़ा हर बार तो सही नही हो सकता. तुमने कभी अपनी फिगर बताई ही नही मुझे.”

“बता दूँगी लिख कर. अभी ये बताओ क्या करूँ अब मैं.”

“अपना चुरिदार ही पहन लो. जीन्स पहन-ने के बहुत मोके आएँगे जींदगी में. पहली बार नही घूम रहे हम साथ. आगे भी घूमते रहेंगे. अभी पूरा भारत पड़ा है घूमने के लिए.”

“क्या हम पूरा भारत घूम लेंगे.” ज़रीना झूम उठी ये सुन कर.

“बिल्कुल. मेरी तो बचपन की इच्छा है ये. तुम्हारे साथ घूमने का मज़ा ही कुछ और होगा. चलो जल्दी से चेंज कर्लो. मैं नहा कर आता हूँ. नास्ते का ऑर्डर कर दिया है मैने.” आदित्य ने कहा और वॉश रूम में घुस गया.

ठीक 8 बजे निकल दिए वो दोनो होटेल से. एरपोर्ट बहुत नज़दीक था महिपालपुर से. कोई 20 मिनिट में ही एरपोर्ट पहुँच गये वो दोनो.

बोरडिंग पास लेकर, सेक्यूरिटी चेक करवा कर वो बोरडिंग के इंतेज़ार में बैठ गये.

“जान मुझे विंडो सीट मिली है. पर क्योंकि तुम पहली बार सफ़र कर रही हो प्लेन से इश्लीए अपनी विंडो सीट तुम्हे दे दूँगा.”

“शुक्रिया आपका इस मेहरबानी के लिए. वैसे इस अहसान के लिए मुझे क्या करना होगा.” ज़रीना ने कहा.

“अब आप इतना अहसान मान रही हैं तो घर जाते ही सबसे पहले एक कप चाय दे देना. तरस गया हूँ तुम्हारे हाथ की चाय के लिए.”

तभी बोरडिंग की अनाउन्स्मेंट हुई और वो दोनो बोरडिंग के लिए चल दिए.

आदित्य और ज़रीना के पास एक लेडी आ कर बैठ गयी. बैठते ही वो बोली, “क्या आप वडोदरा में ही रहते हैं.”

“जी हां, हम वही रहते हैं.” आदित्य ने कहा.

“आपका शुभ नाम?”

“जी मेरा नाम आदित्य है.”

“ओह शूकर है. आक्च्युयली मैं पहली बार गुजरात जा रही हूँ. सुना है कि वाहा का माहॉल बहुत खराब है. ये टेररिस्ट लोग पता नही कब बक्सेंगे हम हिंदुस्तानियों को.”

“टेररिस्ट…गुजरात में कोई टेररिस्ट नही हैं.” आदित्य ने कहा.

“अरे यार मासूम मत बनो. तुम जानते हो मैं क्या कह रही हूँ.”

ज़रीना से ये सब बर्दास्त नही हुवा और वो बोली, “क्या आप कृपया करके शांति से बैठेंगी. हमें डिस्टर्बेन्स हो रही है.”

“ये कौन है आपके साथ. रिक्ट तो ऐसे कर रही है जैसे कि मैने इसे कुछ कहा है.”

“ये मेरी पत्नी है और इसका नाम ज़रीना है.”

“हे भगवान.” उस लेडी ने अपने मूह पर हाथ रख लिया. उसने तुरंत एर होस्टेस्स को बुलाया और अपनी सीट चेंज करने की रिक्वेस्ट की.

उस लेडी के जाने के बाद ज़रीना ने कहा, “देखा आदित्य, इस तरह से लेगी दुनिया हमारे प्यार को. कैसे चिड कर भाग गयी यहा से. कितनी नफ़रत है दुनिया में प्यार के लिए लोगो के दिलो में.”

“वो पागल थी और पागल की बातों को दिल से नही लगाते. उसकी मेंटल कंडीशन ठीक होती तो ऐसी बाते ही ना करती. चलो छ्चोड़ो ये सब…बाहर झाँक कर देखो बादल कितनी प्यारी चित्रकारी कर रहे हैं.”

“ओह वाउ…ग्रेट. ये तो ऐसा लग रहा है जैसे की हम जन्नत में उड़ रहे हैं. बहुत सुंदर है ये नज़ारा आदित्य. थॅंक यू वेरी मच.”

“जान ये थॅंक यू बोल कर तमाचा मत मारो मेरे गाल पर. तुम्हारे लिए कुछ भी कर सकता हूँ मैं.” आदित्य ने कहा.

rajaarkey
Platinum Member
Posts: 3125
Joined: 10 Oct 2014 10:09

Re: एक अनोखा बंधन

Unread post by rajaarkey » 13 Oct 2014 13:57

ज़रीना पूरे सफ़र में बस विंडो से बाहर ही देखती रही. बादलों की बनती बिगड़ती चित्रकारी में खो गयी थी वो. कभी हँसती थी कभी मुश्कूराती थी और कभी एक तक बस देखे जाती थी.

अचानक उसने खिड़की से सर लगा कर नीचे की ओर देखा और बोली,“आदित्य देखो…वो नीचे क्या कोई नदी है…” पर आदित्य का कोई रेस्पॉन्स नही आया. वो सो गया था.

ज़रीना ने आदित्य को कोहनी मारी, “मुझे खिड़की पर बैठा कर सो गये, शरम नही आती तुम्हे.”

“ओह…जान नींद आ गयी थी…क्या हुवा” आदित्य ने आँखे मलते हुवे कहा

“कोई नदी दीखाई दे रही थी शायद. अब तो निकल गयी वो…अब क्या फ़ायडा.” ज़रीना ने गुस्से में कहा.

“हाहहाहा…एक नदी नही है भारत में. हज़ारों हैं. दूसरी आ जाएगी…परेशान क्यों हो रही हो.”

“हज़ारों हैं तो क्या एक की अहमियत कम हो जाएगी. पहली बार आकाश से देखा मैने किसी नदी को. कितनी सुंदर लग रही थी.”

“मुझे तो इस वक्त तुम बहुत सुंदर लग रही हो. बिल्कुल बच्ची बन गयी हो. लगता है बच्चो को पढ़ाते-पढ़ाते खुद भी बच्ची बन गयी तुम.” आदित्य ने हंसते हुवे कहा.

“कोई बुराई तो नही है ना इसमें, ज़्यादा हँसो मत वरना दाँत तौड दूँगी तुम्हारे अभी.”

“भाई जो भी है मुझे तो डर कर रहना पड़ेगा तुमसे. एक बार गमला मार चुकी हो सर पर, एक बार हॉकी मार चुकी हो पेट में…अब मेरे दाँतों के पीछे पड़ी हो. भगवान भली करे.”

“मैं क्या इतनी बुरी हूँ. अगर ऐसा था तो क्यों आए थे वापिस मेरे पास.” ज़रीना ने भावुक आवाज़ में कहा.

“अरे मज़ाक कर रहा हूँ जान. तुम भी ना. तुम तो जींदगी हो मेरी. तुम्हारे पास नही आता तो कहा जाता मैं.” आदित्य ने कहा.

तभी प्लेन में अनाउन्स्मेंट हुई कि प्लेन वडोदरा में लॅंड करने वाला है, सभी यात्री सीट बेल्ट बाँध लें.

“हरे हम पहुँच गये अपने घर.” ज़रीना ने कहा.

“हां बस थोड़ी ही देर में हम अपने उसी घर में होंगे जहा हमें प्यार हुवा था.” आदित्य ने ज़रीना का हाथ थाम लिया और दोनो प्यार से एक दूसरे की तरफ देखते-देखते खो गये.

“लॅंडिंग के वक्त खींचाव महसूस होगा जान. घबराना मत” आदित्य ने कहा.

“तुम साथ हो तो डर काहे का. बिल्कुल नही घबरवँगी.” ज़रीना ने कहा.

कह तो दिया था ज़रीना ने की नही घबराएगी मगर लॅंडिंग के वक्त उसके पाँव काँपने लगे और चेहरे पर डर सॉफ दीखाई देने लगा. आदित्य उसे देख कर मध्यम-मध्यम मुश्कुरा रहा था.

प्लेन से उतरने के बाद आदित्य ने ज़रीना को छेड़ा, “तुम तो मेरे होते हुवे भी घबरा रही थी. कितनी डरपोक हो तुम.”

“पहली बार आई हूँ मैं प्लेन से, मुझे नही पता था कि ऐसा होगा. ज़्यादा हासोगे तो लड़ाई हो जाएगी अब.”

“अभी नही जान, घर चल कर लड़ना आराम से.” आदित्य ने कहा.

आदित्य ने एक टॅक्सी की और ज़रीना को लेकर घर की तरफ चल दिया. दोनो बहुत खुश थे. पाँव ज़मीन पर नही टिक रहे थे दोनो के.

“आदित्य आस-पाडोश में किसी ने मुझे तुम्हारे साथ देखा तो, क्या कहोगे उन्हे मेरे बारे में.”

“किसी को कुछ एक्सप्लेन करने की ज़रूरत नही है. और कहना भी पड़ा किसी को कुछ तो बोल दूँगा कि तुम मेरी पत्नी हो… सिंपल.”

“काश हम शादी करके ही घर जाते. फिर कोई उंगली नही उठा पाता.”

“हां ये तो है…पर जान हमें साथ रहने के लिए किसी सर्टिफिकेट की ज़रूरत नही है. और हम एक-दो दिन में ही शादी कर लेंगे, तुम किसी बात की चिंता मत करो.”

“चिंता नही है किसी बात की बस यू ही सोच रही थी.” ज़रीना ने कहा.

लेकिन ये अछा हुवा कि जब वो घर पहुँचे तो किसी ने उन्हे नही देखा. दोपहर का वक्त था और सभी लोग घरो में थे. ज़रीना ने अपने हाथ से ताला खोला और झट से अंदर आ गयी.

“ये ताला नही चाहिए मुझे अब. इसे फेंक दो. बहुत परेशान किया है इस ताले ने मुझे.” ज़रीना ने कहा.

“बिल्कुल फेंक दूँगा. अब जब तुम इसे खोल कर घर में परवेश कर गयी हो तो इसका कोई काम नही है.”

“घर तो चमका रखा है तुमने. इतनी मेहनत करने कि क्या ज़रूरत थी. मैं कर देती ना सफाई.” ज़रीना ने कहा और सोफे पर बैठ गयी.

“मैं अपनी जान को क्या धूल-मिट्टी से भरे घर में लाता.” आदित्य ने कहा.

“छाए लओन तुम्हारे…”

“दूध नही है…चाय कैसे बनाओगी…थोड़ी देर रूको मैं मार्केट से ले आउन्गा. पहले थोड़ा बैठ लेते हैं.” आदित्य ने कहा.

आदित्य बैठा ही था सोफे पर की घर की बेल बज उठी.

“कौन हो सकता है?” ज़रीना ने पूछा.

“तुम अपने कमरे में जाओ. मैं देखता हूँ.” आदित्य ने कहा.

क्रमशः...............................

rajaarkey
Platinum Member
Posts: 3125
Joined: 10 Oct 2014 10:09

Re: एक अनोखा बंधन

Unread post by rajaarkey » 13 Oct 2014 13:58

Ek Anokha Bandhan--18

gataank se aage.....................

Zarina uth gayi aur subakte huve bade pyar se boli, “mujhe chumban lena aata bhi nahi hai. tumne achaanak ye baat karke mujhe dara diya.”

“acha theek hai baba. Meri jaan sach mein bahut maasum hai. vaise chumban lena mujhe bhi nahi aata. Bas yu hi tumhaari aankho mein dekhte-dekhte man bahak gaya. chalo chhodo ye sab ye bataao khaaogi kya kuch. Mujhe to bhuk lag rahi hai.”

“tum kha lo, mujhe sach mein bhuk nahi hai.”

“chalo theek hai. main kha kar aata hun. tum araam karo.”

“yahi manga lo na khaana. Mere paas raho. Mujhse dur mat jaao please.”

“acha theek hai, yahi manga leta hun.” aditya ne zarina ke chehre par haath rakh kar kaha.

Aditya aur zarina ke pyar ki maasumiyat hotel ke ush kamre mein har taraf bikhri padi thi. ye aisa maasum pyar tha, jo ki bahut kam logo ko nasib hota hai. aur jinko ye nasib hota hai vo aditya aur zarina ki tarah pyar ke fariste ban jaate hain.

Aditya ne room mein hi khaana khaaya. Khaana khaane ke baad dono ne khub baate ki. Baaton mein hamesa ki tarah pyar bhi tha aur takraar bhi. Zarina bed par hi shoyi. Bistar chhodne ko taiyaar nahi huyi vo. Khair aditya bhi nahi chaahta tha ki vo neeche shoye. Ishliye chupchaap fars par chaddar beecha kar sho gaya.

Subah 6 baje uth gaye dono. Pahle zarina ghuss gayi nahaane. Naha kar jeans aur top pahan kar nikli baahar.

“wow tum zarina hi ho ya koyi aur. Bahut pyari lag rahi ho in kapdo mein.” Aditya ne kaha.

“majaak mat karo. Jeans thodi si loose hai. belt bhi nahi hai mere paas. Dikkat rahegi chalne mein.” Zarina ne maayusi bhare lahze mein kaha.

“ab andaaza har baar to sahi nahi ho sakta. Tumne kabhi apni figure bataayi hi nahi mujhe.”

“bata dungi likh kar. Abhi ye bataao kya karun ab main.”

“apna churidaar hi pahan lo. Jeans pahan-ne ke bahut moke aayenge jeendagi mein. Pahli baar nahi ghum rahe hum saath. Aage bhi ghumte rahenge. Abhi pura bhaarat pada hai ghumne ke liye.”

“kya hum pura bhaarat ghum lenge.” Zarina jhum uthi ye shun kar.

“bilkul. Meri to bachpan ki icha hai ye. Tumhaare saath ghumne ka maja hi kuch aur hoga. Chalo jaldi se change karlo. Main naha kar aata hun. naaste ka order kar diya hai maine.” Aditya ne kaha aur wash room mein ghuss gaya.

Theek 8 baje nikal diye vo dono hotel se. airport bahut nazdik tha mahipalpur se. koyi 20 minute mein hi airport pahunch gaye vo dono.

Boarding pass lekar, security check karva kar vo boarding ke intezaar mein baith gaye.

“jaan mujhe window seat mili hai. par kyonki tum pahli baar safar kar rahi ho plane se ishliye apni window seat tumhe de dunga.”

“shukriya aapka ish meharbaani ke liye. Vaise ish ahsaan ke liye mujhe kya karna hoga.” Zarina ne kaha.

“ab aap itna ahsaan maan rahi hain to ghar jaate hi sabse pahle ek cup chaaye de dena. Taras gaya hun tumhaare haath ki chaaye ke liye.”

Tabhi boarding ki announcement huyi aur vo dono boarding ke liye chal diye.

Aditya aur zarina ke paas ek lady aa kar baith gayi. Baithte hi vo boli, “kya aap vadodara mein hi rahte hain.”

“ji haan, hum vahi rahte hain.” Aditya ne kaha.

“aapka shubh naam?”

“ji mera naam aditya hai.”

“oh shukar hai. actually main pahli baar gujrat ja rahi hun. shuna hai ki vaha ka maahol bahut kharaab hai. ye terrorist log pata nahi kab baksenge hum hindustaaniyon ko.”

“terrorist…gujrat mein koyi terrorist nahi hain.” Aditya ne kaha.

“arey yaar maasum mat bano. Tum jaante ho main kya kah rahi hun.”

Zarina se ye sab bardaast nahi huva aur vo boli, “kya aap kripya karke shaanti se baithengi. Hamein disturbance ho rahi hai.”

“ye kaun hai aapke saath. React to aise kar rahi hai jaise ki maine ishe kuch kaha hai.”

“ye meri patni hai aur ishka naam zarina hai.”

“hey bhagvaan.” Ush lady ne apne muh par haath rakh liya. Ushne turant air hostess ko bulaaya aur apni seat change karne ki request ki.

Ush lady ke jaane ke baad zarina ne kaha, “dekha aditya, ish tarah se legi duniya hamaare pyar ko. Kaise chid kar bhaag gayi yaha se. kitni nafrat hai duniya mein pyar ke liye logo ke dilo mein.”

“vo paagal thi aur paagal ki baaton ko dil se nahi lagaate. Ushki mental condition theek hoti to aisi baate hi na karti. Chalo chhodo ye sab…baahar jhaank kar dekho baadal kitni pyari chitarkaari kar rahe hain.”

“oh wow…great. Ye to aisa lag raha hai jaise ki hum jannat mein ud rahe hain. Bahut shunder hai ye nazaara aditya. Thank you very much.”

“jaan ye thank you bol kar tamaacha mat maaro mere gaal par. Tumhaare liye kuch bhi kar sakta hun main.” Aditya ne kaha.

Zarina pure safar mein bas window se baahar hi dekhti rahi. Baadlon ki banti bigadti chitrakari mein kho gayi thi vo. Kabhi hansti thi kabhi mushkuraati thi aur kabhi ek tak bas dekhe jaati thi.

Achaanak ushne khidki se sar laga kar neeche ki aur dekha aur boli,“aditya dekho…vo neeche kya koyi nadi hai…” Par aditya ka koyi response nahi aaya. Vo sho gaya tha.

Zarina ne aditya ko kohni maari, “mujhe khidki par baitha kar sho gaye, sharam nahi aati tumhe.”

“oh…jaan neend aa gayi thi…kya huva” aditya ne aankhe malte huve kaha

“koyi nadi deekhayi de rahi thi shaayad. Ab to nikal gayi vo…ab kya faayda.” Zarina ne gusse mein kaha.

“hahahaha…ek nadi nahi hai bharat mein. Hazaaron hain. Dusri aa jaayegi…pareshaan kyon ho rahi ho.”

“hazaaron hain to kya ek ki ahamiyat kam ho jaayegi. Pahli baar aakaash se dekha maine kishi nadi ko. Kitni shunder lag rahi thi.”

“mujhe to ish vakt tum bahut shunder lag rahi ho. Bilkul bachchi ban gayi ho. Lagta hai bachcho ko padhaate-padhaate khud bhi bachchi ban gayi tum.” Aditya ne hanste huve kaha.

“koyi buraayi to nahi hai na ishmein, jyada hanso mat varna daant taud dungi tumhaare abhi.”

“bhai jo bhi hai mujhe to dar kar rahna padega tumse. Ek baar gamla maar chuki ho sar par, ek baar hocky maar chuki ho pet mein…ab mere daanton ke peeche padi ho. Bhagvaan bhali kare.”

“main kya itni buri hun. agar aisa tha to kyon aaye the vaapis mere paas.” Zarina ne bhaavuk awaaj mein kaha.

“arey majaak kar raha hun jaan. Tum bhi na. tum to jeendagi ho meri. Tumhaare paas nahi aata to kaha jaata main.” Aditya ne kaha.

Tabhi plane mein announcement huyi ki plane vadodara mein land karne wala hai, sabhi yaatri seat belt baandh lein.

“hurray hum pahunch gaye apne ghar.” Zarina ne kaha.

“haan bas thodi hi der mein hum apne ushi ghar mein honge jaha hamein pyar huva tha.” aditya ne zarina ka haath thaam liya aur dono pyar se ek dusre ki taraf dekhte-dekhte kho gaye.

“landing ke vakt kheenchaav mahsus hoga jaan. Ghabraana mat” aditya ne kaha.

“tum saath ho to dar kaahe ka. Bilkul nahi ghabraaungi.” Zarina ne kaha.

Kah to diya tha zarina ne ki nahi ghabraayegi magar landing ke vakt ushke paanv kaanpne lage aur chehre par dar saaf deekhayi dene laga. Aditya ushe dekh kar madham-madham mushkura raha tha.

Plane se utarne ke baad aditya ne zarina ko cheda, “tum to mere hote huve bhi ghabra rahi thi. kitni darpok ho tum.”

“pahli baar aayi hun main plane se, mujhe nahi pata tha ki aisa hoga. Jyada hasoge to ladaayi ho jaayegi ab.”

“abhi nahi jaan, ghar chal kar ladna araam se.” aditya ne kaha.

Aditya ne ek taxi ki aur zarina ko lekar ghar ki taraf chal diya. Dono bahut khuss the. Paanv jamin par nahi tik rahe the dono ke.

“aditya aas-padosh mein kishi ne mujhe tumhaare saath dekha to, kya kahoge unhe mere baare mein.”

“kishi ko kuch explain karne ki jaroorat nahi hai. aur kahna bhi pada kishi ko kuch to bol dunga ki tum meri patni ho… simple.”

“kaash hum shaadi karke hi ghar jaate. Phir koyi ungli nahi uthaa paata.”

“haan ye to hai…par jaan hamein saath rahne ke liye kishi certificate ki jaroorat nahi hai. aur hum ek-do din mein hi shaadi kar lenge, tum kishi baat ki chinta mat karo.”

“chinta nahi hai kishi baat ki bas yu hi soch rahi thi.” zarina ne kaha.

Lekin ye acha huva ki jab vo ghar pahunche to kishi ne unhe nahi dekha. Dopahar ka vakt tha aur sabhi log gharo mein the. Zarina ne apne haath se taala khola aur jhat se ander aa gayi.

“ye taala nahi chaahiye mujhe ab. Ishe fenk do. Bahut pareshaan kiya hai ish taale ne mujhe.” Zarina ne kaha.

“bilkul fenk dunga. Ab jab tum ishe khol kar ghar mein parvesh kar gayi ho to ishka koyi kaam nahi hai.”

“ghar to chamka rakha hai tumne. Itni mehnat karne ki kya jaroorat thi. main kar deti na safaayi.” Zarina ne kaha aur sofe par baith gayi.

“main apni jaan ko kya dhul-mitti se bhare ghar mein laata.” Aditya ne kaha.

“chaaye laaun tumhaare…”

“dudh nahi hai…chaaye kaise banaaogi…thodi der ruko main market se le aaunga. Pahle thoda baith lete hain.” Aditya ne kaha.

Aditya baitha hi tha sofe par ki ghar ki bell baj uthi.

“kaun ho sakta hai?” zarina ne pucha.

“tum apne kamre mein jaao. Main dekhta hun.” aditya ne kaha.

kramashah...............................

Post Reply