एक अनोखा बंधन compleet

Discover endless Hindi sex story and novels. Browse hindi sex stories, adult stories ,erotic stories. Visit theadultstories.com
rajaarkey
Platinum Member
Posts: 3125
Joined: 10 Oct 2014 10:09

Re: एक अनोखा बंधन

Unread post by rajaarkey » 13 Oct 2014 09:42

एक अनोखा बंधन--4

गतान्क से आगे.....................

आदित्य और ज़रीना एक दूसरे का हाथ थाम कर चल दिए. पर उन्हे जाना कहा था ये वो तैय नही कर पाए थे. नया नया प्यार हुवा था वो दोनो अभी बस उसमें खोए थे. जींदगी की कठोरे सचाईयों का सामना उन्हे अभी करना था.

“वापिस चले क्या ज़रीना?”

“तुम्हे क्या लगता है लोग हमें वाहा जीने देंगे. मैं वाहा नही रह पाउन्गि अब.”

“पर यहा हमारा कुछ नही है. घर बार सब गुजरात में ही है. यहा पैर जमाना मुश्किल होगा.”

“हम कोशिस तो कर ही सकते हैं.”

“ठीक है ऐसा करते हैं फिलहाल किसी होटेल में चलते हैं और ठंडे दिमाग़ से सोचते हैं कि आगे क्या करना है.”

“हां ये ठीक रहेगा. मैं बहुत थक भी गयी हूँ. बहुत जोरो की भूक भी लगी है.”

“चलो पहले खाना ही खाया जाए. फिर होटेल चलेंगे.”

“हां बिल्कुल चलो.”

दोनो एक रेस्टोरेंट में बैठ जाते हैं और शांति से भोजन करते हैं.

“दाल माखनी का कोई जवाब नही. नॉर्थ इंडिया में बहुत पॉपुलर है ये.”

“हां अच्छी बनी है. मैं इस से भी अच्छी बना सकती हूँ.”

“तुमने घर तो कभी बनाई नही.”

“सीखूँगी ना जनाब तभी ना बनाउन्गि. मुझे यकीन है मैं इस से अच्छा बना लूँगी.”

बातो बातो में खाना हो जाता है और दोनो अब एक होटेल की तलास में निकलते हैं.

“यहा शायद ही कोई अच्छा होटेल मिले. कही और चलते हैं.” ज़रीना ने कहा.

“तुम्हे कैसे पता.”

“जनाब मेरी मौसी के यहा आती रहती हूँ मैं, पता कैसे ना होगा.”

“ओह हां बिल्कुल. चलो कही और चलते हैं.” आदित्य ने कहा.

दोनो ऑटो पकड़ कर लक्ष्मीनगर पहुँचते हैं और वाहा एक होटेल में कमरा ले लेते हैं. रात घिर आई है और प्यार के दो पंछी रात में आशियाना पा कर खुस हैं.

जब अदित्य और ज़रीना कमरे की तरफ जा रहे होते हैं तो ज़रीना कहती है, “तुम्हे नही लगता कि हमें दो कमरो की ज़रूरत थी.”

“क्यों अब तुम क्या मुझसे अलग रहोगी. इस प्यार का कोई मतलब नही है क्या तुम्हारे लिए.”

“प्यार हुवा है शादी नही…हे..हे…हे.” ज़रीना ने हंसते हुवे कहा.

“शादी भी जल्द हो जाएगी. तुम कहो तो अभी कर लेते हैं.”

“नही…नही मैं मज़ाक कर रही थी. चलो अंदर.” ज़रीना ने कहा.

रूम में आते ही ज़रीना बिस्तर पर पसर गयी और बोली, “ये बिस्तर मेरा है. तुम अपना इंटेज़ाम देख लो.”

“बहुत खूब …मैं क्या फर्स पर लेटुंगा.” आदित्य भी ज़रीना के बाजू में आ कर लेट गया.

ज़रीना फ़ौरन बिस्तर से उठ गयी.

“प्यार का मतलब ये नही है कि हम एक साथ सोएंगे. मैं सोफे पर जा रही हूँ. तुम चैन से लेटो यहा हा.”

“अरे रूको मैं मज़ाक कर रहा था. तुम लेटो यहा. सोफे पर मैं सो जाउन्गा.” आदित्य बिस्तर से उठ जाता है.

“पक्का…फिर मत कहना कि मैने बिस्तर हथिया लिया.” ज़रीना मुश्कुराइ.

“मेरा दिल हथिया लिया तुमने बिस्तर तो बहुत छोटी चीज़ है. जाओ ऐश करो.” आदित्य भी मुश्कराया.

ऐसा प्यार था उनका. प्यार और तकरार दोनो साथ साथ चल रहे थे. जब प्यार होता है तो प्यार को तरह तरह से आजमाया भी जाता है. ऐसा ही कुछ ज़रीना और अदित्य के प्यार के साथ होने वाला था. वो दोनो तो इस बात से बिल्कुल अंज़ान थे. नया नया प्यार हुवा था. और नया प्यार अक्सर सोचने समझने की शक्ति ख़तम कर देता है. शुरूर ही कुछ ऐसा होता है प्यार का. लेकिन ऐसे नाज़ुक वक्त में थोड़ी सी भी ग़लत फ़हमी या टकराव प्यार को मिंटो में कड़वाहट में बदल सकती है. प्यार इतना गहरा तो होता नही है कि संभाल पाए. इश्लीए नया नया प्यार अक्सर शुरूवात में ही बिखर जाता है. अभी तक तो सब ठीक चल रहा लेकिन अगले दिन अदित्य और ज़रीना के प्यार का इम्तिहान था. जिसमे पास होना बहुत ज़रूरी था.

अगले दिन दोनो बड़े प्यार से उठे. गुड मॉर्निंग विश किया. नहाए धोए. ब्रेकफास्ट किया और फिर आगे का सोचने लगे.

“अदित्य हमारी पढ़ाई का क्या होगा.”

“तभी तो मैं वापिस जाने की सोच रहा था. अब तो शांति है वाहा.”

“लेकिन मैं अगर वाहा तुम्हारे साथ रहूंगी तो लोग तरह तरह की बाते करेंगे.”

“तो क्या हुवा हम शादी करके रहेंगे एक साथ यू ही थोड़ा रहेंगे.”

“लेकिन वाहा अभी भी तनाव बना हुवा है. ऐसे में हमारे रिश्ते को कोई नही समझेगा.”

“फिर ऐसा करते हैं कि पहले पढ़ाई पूरी करते हैं. फिर आगे का सोचते हैं.”

“मैं कहा रहूंगी. मेरा घर तो बुरी तरह जल चुका है. और वाहा कोई और नही है जिसके पास मैं रुक पाउ.”

“हॉस्टिल हैं ना कॉलेज का दिक्कत क्या है.”

“ओह हां ये बात तो मैने सोची ही नही. हां मैं हॉस्टिल में रह सकती हूँ.”

“चलो छोड़ो ये सब. चलो घूम कर आते हैं कही. आते हुवे वापसी की ट्रेन का टिकेट भी बुक करवा लेंगे.”

“कही हम जल्दबाज़ी में तो फ़ैसला नही ले रहे.”

“फ़ैसला तो हमें लेना ही है. मुझे इस से बेहतर रास्ता नही लगता. तुम कुछ सूझा सकती हो तो बोलो.”

“हां वैसे हमारी पढ़ाई के लिहाज़ से ये ठीक है…चलो कहा घूमने चलोगे” ज़रीना ने कहा

“लाल किला नही देखा मैने अब तक चलो वही चलते हैं.” आदित्य ने कहा.

“मैने देखा है एक बार. तुम्हारे साथ देखने में और मज़ा आएगा चलो.”

दोनो लाल किला घूमने निकल पड़े. जब वो लाल किले से बाहर आए तो दोनो को जोरो की भूक लग चुकी थी.

rajaarkey
Platinum Member
Posts: 3125
Joined: 10 Oct 2014 10:09

Re: एक अनोखा बंधन

Unread post by rajaarkey » 13 Oct 2014 09:42

“अदित्य चलो अब खाना खाया जाए. एक रेस्टोरेंट है यही पास में वाहा हर तरह का खाना मिलता है. चलो.”

आदित्य और ज़रीना एक रिक्सा ले कर उस रेस्टोरेंट पर पहुँचते हैं. लेकिन रेस्टौरा को देखते ही अदित्य सोच में पड़ जाता है. रेस्टोरेंट में वेज और नोन-वेज दोनो तरह का खाना था. आदित्या था पंडित इश्लीए वो थोड़ा सोच में पड़ गया. लेकिन ज़रीना की खातिर रेस्टोरेंट में घुस्स गया.

“ज़रीना तुम ऑर्डर दो मैं वॉश रूम हो कर आता हूँ.”

“क्या लोगे तुम ये तो बताते जाओ.”

“मंगा लो कुछ भी.”

ज़रीना ये तो जानती ही थी कि अदित्य वेजाइटरियन है. उसने उसके लिए वेज खाना ऑर्डर कर दिया और अपने लिए चिकन कढ़ाई और तंदूरी नान ऑर्डर कर दिया. यही से सारी मुसीबत शुरू होने वाली थी. आदित्य जब तक वापिस आया तब तक उसका खाना आ चुका था. जैसे ही अदित्य बैठा ज़रीना का ऑर्डर भी आ गया. जब वेटर ने चिकन कढ़ाई टेबल पर रखी तो आदित्या की तो आँखे फटी रह गयी. उसका मन खराब हो गया.

“ये तुमने ऑर्डर किया है.”

“हां…ये मेरी फेवोवरिट डिश है.”

“अफ…मैं यहा एक मिनिट भी नही बैठ सकता.” आदित्य वॉश रूम की तरफ भागता है. उसे उल्टी आ जाती है. पंडित होने के कारण वो हमेसा नोन वेज चीज़ो से दूर ही रहा था. उसके साथ ऐसा होना स्वाभाविक ही था.

आदित्य वापिस आया और बोला, “उठो मैं यहा खाना नही खाउन्गा.”

“क्या हो गया अदित्य कुछ बताओ तो सही. बैठो तो.”

“ये नोन वेज मेरी आँखो के आगे से हटा लो. मुझे ग्लानि होती है. कैसे खा सकती हो तुम एक जीव को. तुम्हे ग्लानि नही होती”

ज़रीना ने चिकन कढ़ाई पर पलेट रख दी और बोली, “कैसी बात कर रहे हो. इसमे ग्लानि की क्या बात है.”

अदित्य बैठ गया और बोला, “मैं ये सब बर्दास्त नही कर सकता. तुम्हे ये सब छोड़ना होगा.”

“क्यों छोड़ना होगा. ये भोजन है और कुछ नही. आइ लाइक इट.”

“पर ये किसी की हत्या करके बनता है. ये पाप है.”

“पता नही कौन सी दुनिया में जी रहे हो तुम. मैने तो बहुत पंडित लोगो को खाते देखा है नोन वेज.”

“खाते होंगे पर मैं बिल्कुल नही खाता.”

“तो मत खाओ तुम मुझे नही रोक सकते.”

“तुम समझती क्यों नही. अपने खाने के लिए क्या किसी जीव की हत्या ठीक है.”

क्रमशः...............................

rajaarkey
Platinum Member
Posts: 3125
Joined: 10 Oct 2014 10:09

Re: एक अनोखा बंधन

Unread post by rajaarkey » 13 Oct 2014 09:42

Ek Anokha Bandhan--4

gataank se aage.....................

Aditya aur zarina ek dusre ka haath thaam kar chal diye. Par unhe jaana kaha tha ye vo taiy nahi kar paaye the. Naya naya pyar huva tha vo dono abhi bas ushmein khoye the. Jeendagi ki kathore sachaeeyon ka saamna unhe abhi karna tha.

“vaapis chale kya zarina?”

“tumhe kya lagta hai log hamein vaha jeene denge. Main vaha nahi rah paaungi ab.”

“par yaha hamaara kuch nahi hai. Ghar baar sab gujrat mein hi hai. Yaha pair jamaana mushkil hoga.”

“hum koshis to kar hi sakte hain.”

“theek hai aisa karte hain philhaal kishi hotel mein chalte hain aur thande deemag se sochte hain ki aage kya karna hai.”

“haan ye theek rahega. Main bahut thak bhi gayi hun. Bahut joro ki bhuk bhi lagi hai.”

“chalo pahle khana hi khaaya jaaye. Phir hotel chalenge.”

“haan bilkul chalo.”

Dono ek restaurant mein baith jaate hain aur shaanti se bhojan karte hain.

“daal makhni ka koyi jawaab nahi. north india mein bahut popular hai ye.”

“haan achi bani hai. Main ish se bhi achi bana sakti hun.”

“tumne ghar to kabhi banaayi nahi.”

“seekhungi na janaab tabhi na banaaungi. Mujhe yakin hai main ish se acha bana lungi.”

Baato baato mein khana ho jaata hai aur dono ab ek hotel ki talaas mein nikalte hain.

“yaha shaayad hi koyi acha hotel mile. Kahi aur chalte hain.” Zarina ne kaha.

“tumhe kaise pata.”

“janaab meri mausi ke yaha aati rahti hun main, pata kaise na hoga.”

“oh haan bilkul. Chalo kahi aur chalte hain.” Aditya ne kaha.

Dono auto pakad kar laxminagar pahunchte hain aur vaha ek hotel mein kamra le lete hain. Raat ghir aayi hai aur pyar ke do panchi raat mein aashiyana pa kar khus hain.

Jab aditya aur zarina kamre ki taraf ja rahe hote hain to zarina kahti hai, “tumhe nahi lagta ki hamein do kamro ki jaroorat thi.”

“kyon ab tum kya mujhse alag rahogi. Ish pyar ka koyi matlab nahi hai kya tumhaare liye.”

“pyar huva hai shaadi nahi…he..he…he.” zarina ne hanste huve kaha.

“shaadi bhi jald ho jaayegi. Tum kaho to abhi kar lete hain.”

“nahi…nahi main majaak kar rahi thi. Chalo ander.” Zarina ne kaha.

Room mein aate hi zarina bistar par pasar gayi aur boli, “ye bistar mera hai. Tum apna intezaam dekh lo.”

“bahut khub …main kya fars par letunga.” Aditya bhi zarina ke baju mein aa kar late gaya.

Zarina fauran bistar se uth gayi.

“pyar ka matlab ye nahi hai ki hum ek saath shoyenge. Main sofe par ja rahi hun. Tum chain se leto yaha huh.”

“arey ruko main majaak kar raha tha. Tum leto yaha. Sofe par main sho jaaunga.” Aditya bistar se uth jaata hai.

“pakka…phir mat kahna ki maine bistar hatya liya.” Zarina mushkuraayi.

“mera dil hatya liya tumne bistar to bahut choti cheez hai. Jaao aish karo.” Aditya bhi mushkuraya.

Aisa pyar tha unka. Pyar aur takraar dono saath saath chal rahe the. Jab pyar hota hai to pyar ko tarah tarah se aajmaaya bhi jaata hai. Aisa hi kuch zarina aur aditya ke pyar ke saath hone wala tha. Vo dono to ish baat se bilkul anzaan the. Naya naya pyar huva tha. Aur naya pyar aksar sochne samajhne ki shakti khatam kar deta hai. Shurur hi kuch aisa hota hai pyar ka. Lekin aise naazuk vakt mein thodi si bhi galat fahmi ya takraav pyar ko minto mein kadvaahat mein badal sakti hai. Pyar itna gahra to hota nahi hai ki sambhal paaye. Ishliye naya naya pyar aksar shuruvaat mein hi bikhar jaata hai. Abhi tak to sab theek chal raha lekin agle din aditya aur zarina ke pyar ka imtehaan tha. jishme paas hona bahut jaroori tha.

Agle din dono bade pyar se uthe. Good morning wish kiya. Nahaaye dhoye. Breakfast kiya aur phir aage ka sochne lage.

“aditya hamaari padhayi ka kya hoga.”

“tabhi to main vaapis jaane ki soch raha tha. Ab to shaanti hai vaha.”

“lekin main agar vaha tumhaare saath rahungi to log tarah tarah ki baate karenge.”

“to kya huva hum shaadi karke rahenge ek saath yu hi thoda rahenge.”

“lekin vaha abhi bhi tanaav bana huva hai. Aise mein hamaare rishte ko koyi nahi samjhega.”

“phir aisa karte hain ki pahle padhaayi puri karte hain. Phir aage ka sochte hain.”

“main kaha rahungi. Mera ghar to buri tarah jal chuka hai. Aur vaha koyi aur nahi hai jishke paas main ruk paaun.”

“hostel hain na college ka dikkat kya hai.”

“oh haan ye baat to maine sochi hi nahi. haan main hostel mein rah sakti hun.”

“chalo chodo ye sab. Chalo ghum kar aate hain kahi. Aate huve vaapsi ki train ka ticket bhi book karva lenge.”

“kahi hum jaldbaaji mein to faisla nahi le rahe.”

“faisla to hamein lena hi hai. Mujhe ish se behtar raasta nahi lagta. Tum kuch sujha sakti ho to bolo.”

“haan vaise hamaari padhayi ke lihaaz se ye theek hai…chalo kaha ghumne chaloge” Zarina ne kaha

“laal kila nahi dekha maine ab tak chalo vahi chalte hain.” Aditya ne kaha.

“maine dekha hai ek baar. Tumhaare saath dekhne mein aur maja aayega chalo.”

dono laal kila ghumne nikal pade. Jab vo laal kile se baahar aaye to dono ko joro ki bhuk lag chuki thi.

“aditya chalo ab khana khaaya jaaye. Ek restauran hai yahi paas mein vaha har tarah ka khana milta hai. Chalo.”

Aditya aur zarina ek riksa le kar ush reastaurant par pahunchte hain. Lekin restauran ko dekhte hi aditya soch mein pad jaata hai. Restaurant mein veg aur non-veg dono tarah ka khana tha. aditya tha pandit ishliye vo thoda soch mein pad gaya. Lekin zarina ki khaatir restaurant mein ghuss gaya.

“zarina tum order do main wash room ho kar aata hun.”

“kya loge tum ye to bataate jaao.”

“manga lo kuch bhi.”

Zarina ye to jaanti hi thi ki aditya vegitarian hai. Ushne ushke liye veg khana order kar diya aur apne liye chicken kadhaayi aur tandoori naan order kar diya. Yahi se saari musibat shuru hone wali thi. Aditya jab tak vaapis aaya tab tak ushka khana aa chuka tha. jaise hi aditya baitha zarina ka order bhi aa gaya. Jab waiter ne chicken kadhaayi table par rakhi to aditya ki to aankhe phati rah gayi. Ushka man kharaab ho gaya.

“ye tumne order kiya hai.”

“haan…ye meri favorite dish hai.”

“uff…main yaha ek minute bhi nahi baith sakta.” Aditya wash room ki taraf bhaagta hai. Ushe ulti aa jaati hai. Pandit hone ke kaaran vo hamesa non veg cheezo se dur hi raha tha. ushke saath aisa hona swabhaavik hi tha.

Aditya vaapis aaya aur bola, “utho main yaha khana nahi khaaunga.”

“kya ho gaya aditya kuch bataao to sahi. Baitho to.”

“ye non veg meri aankho ke aage se hata lo. Mujhe glaani hoti hai. Kaise kha sakti ho tum ek jeev ko. Tumhe glaani nahi hoti”

Zarina ne chicken kadhaayi par palet rakh di aur boli, “kaisi baat kar rahe ho. Ishme glaani ki kya baat hai.”

aditya baith gaya aur bola, “main ye sab bardaast nahi kar sakta. Tumhe ye sab chodna hoga.”

“kyon chodna hoga. Ye bhojan hai aur kuch nahi. I like it.”

“par ye kishi ki hathya karke banta hai. Ye paap hai.”

“pata nahi kaun si duniya mein ji rahe ho tum. maine to bahut pandato ko khaate dekha hai non veg.”

“khaate honge par main bilkul nahi khaata.”

“to mat khaao tum mujhe nahi rok sakte.”

“tum samajhti kyon nahi. apne khaane ke liye kya kishi jeev ki hatya theek hai.”

kramashah...............................

Post Reply