Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
User avatar
sexy
Platinum Member
Posts: 4069
Joined: 30 Jul 2015 19:39

Re: Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

Unread post by sexy » 19 Oct 2015 14:42

Update 15

"main aaj hi chala jaaun ghar? mummy bhi chinta kar rahi hongi.." Rohan uske khurapati dimag ki karastaniyon ke chakkar mein nahi padna chata tha...

"ye toh aur bhi achchha rahega.. waise bhi mujhe aaj tujhe wapas bhejna hi tha... gadi dekar.. par ab toh tujhe taxi karni padegi..." Nitin ne khush hote huye kaha....

"wo koyi problem nahi hai... bus tu dhyan rakhna.. uska najayaj fayda uthane ki koshish mat karna.. bechari bahut masoom hai.." Rohan ne gadi se nikalte huye kaha...

"tu chup rah na yaar.. main kounsa uska balatkaar karne wala hoon.. kuchh poochhna hi toh hai.. haan.. apni marzi se degi toh fir tujhe koyi problem nahi honi chahiye.. theek hai na..." Nitin hanste huye bola...

Rohan ne koyi jawab nahi diya.. wo chupchap Nitin ki aur dekhta raha... beshak Nitin ne koyi galat kaam na karne ka wada kiya tha.. par usko jabardasti raat bhar roke rakhna bhi toh balatkaar se kam nahi tha.. kitni najuk aur kamsin hai bechari.. soch kar hi Rohan ka mann rah rah kar gadi se utar jane ko kar raha tha.. par 'Neeru' ki sachchayi jaan'ne ki utsukta usko kuchh bhi karne ya kahne se rok rahi thi.. Nitin ne jo tark usko iss mayavi rahasya ko sazish sabit karne ke liye diye the.. kahin na kahin uske mann mein bhi kahin koyi gadbadi hone ki aashanka ghar karne lagi thi....

"fir bhi yaar.." Rohan ab bhi Nitin ki jid ke khilaf tha...

"chinta mat kar yaar.. tujhe pata hai.. main dil ka bura nahi hoon..." Nitin ne Rohan se hath milaya aur gadi start kar di....
----------------------------
college ke gate par ghanta bhar intjaar karne ke baad ussko Shruti bahar aati dikhayi di....

"oye.. aa gayi...." Nitin ne mann hi mann kaha aur gadi start kar di...

"chakk le beta.." badbadate huye Nitin ne Gadi thoda aur aage karke usi taraf le gaya jahan Shruti road cross karke aane wali thi...

shruti ne gate se bahar nikalte huye hi unki gadi pahchan li thi aur Nitin ko bhi apni aur taakte dekh liya tha.. usne apna sir jhukaya aur usko najarandaj sa karke college se thoda aage gayi hi thi ki Nitin ne gadi uski barabar mein rok di,"Hi Shruti!"

Shruti ne tirchhi najar se Nitin ko dekha aur bina kuchh bole aage badh gayi.. Nitin ne ek pal bhi nahi ganwaya.. fatafat gadi se utra aur tezi se chalkar uska raasta rok kar khada ho gaya," main bhi gaanv hi ja raha hoon.. aao na.. baith jao.."

"Shruti ne najrein uthakar Nitin ko ghoora," mujhe jane do.. main bus mein hi chali jaaungi.. hato mere raaste se.."

"tum toh bewajah uss baat ko dil par le rahi ho.. wo sirf hulka sa majak tha.. agar main serious hota toh tumhe yahan kyun chhodta.. maan bhi jao.. main wahin ja raha hoon.. gaanv mein.." Nitin ne usko pyar se mana'ne ki koshish ki..

Nitin ki baat ka hulka sa asar usko Shruti par hota dikhayi diya.. uski aankhon ke jhuk jane se ..

"tum samajh kyun nahi rahe ho? ye mera college hai.. yahan sab mujhe jaante hain.. koyi kya sochega..? pls hat jao aur jahan jana hai chale jao.. main bus mein ja sakti hoon.. roz hi jati hoon... pls mujhe jane do.." kahte huye Shruti ne anunay ki mudra mein hath baandh liye...

Nitin ko bhi uski baaton se baat ban'ti dikhayi di..," Mujhe pata nahi tha ki tum itni komal hriday ho ki jara se majak se tum aahat ho jaogi.. maine toh sirf 'apna' maankar majak kiya tha.. yunhi.. tumhare sweet se chehre par gussa bilkul bhi achchha nahi lagta.. kaho toh main yahan sabke saamne kaan pakadne ko taiyaar hoon.. par pls.. maaf kar do.. aur maan jao.. aayinda kabhi aisi galati nahi karoonga.. tumhari kasam...!" aur Nitin sach mein hi apne kaano ko hath lagakar khada ho gaya...

Shruti sharminda si ho gayi.. halanki Nitin ki kahi baaton ne uska dil chhoo liya tha.. fir bhi.. wahan sabke saamne gadi mein baithna asambhav tha.. pahle hi usko apna tamasha banta najar aa raha tha.. jane kya sochkar Shruti ke munh se nikal gaya," thodi aage aa jao pls.. yahan mera yun tamasha na banao.. kahkar wo uski bagal se nikalkar aage badh gayi..

Nitin khushi se uchhalta hua gadi ki aur badha..

Nitin dheere dheere karke gadi aage badha raha tha...

bus-stand kareeb aate hi Shruti ki chal dheemi pad gayi thi.. shayad usne man bana hi liya tha, gadi mein baithne ka.. uske Nitin ke paksh mein faisla karne mein iss baat ne aham prabhav daala ki unhone subah usko sahi salamat College chhod diya tha...

"aa jao ab!" Nitin ne gadi uski barabar mein rok di...

Shruti ne jhijhakte huye sadak par moujood logon par nigah daali.. kisi ko bhi jaan kar na pakar usne fat se khidki kholi aur andar aa baithi..

"jaldi chalo pls... " ek lumbi saans lete huye Shruti ne kaha aur aage wali seat se sir lagakar baith gayi....

To be continued...

User avatar
sexy
Platinum Member
Posts: 4069
Joined: 30 Jul 2015 19:39

Re: Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

Unread post by sexy » 19 Oct 2015 14:42

Update 16

Nitin ne mouka dekhte hi aage se U-turn liya aur apne pahle se nirdharit thikane ki aur gadi douda di, badkismati se sir ko seat se lagaye aankhein band kiye baithi Shruti uss Disha parivartan ki bhanak nahi pa saki....

"kounsa saal chal raha hai tumhara?" Nitin ne Shruti ke sath baaton ka silsila shuru kar diya...

kuchh der tak Shruti bin bole baithi rahi.. par jab kafi der tak Nitin ki taraf se dusra sawaal nahi daga gaya toh usne munh khol hi diya," 20wan..."

"ha ha ha ha... main tumhari umar nahi poochh raha tha.. fir bhi dhanyawad.. waise kounse year mein ho college mein...?"

"ji, first year...!" Shruti ne najrein jhukaye huye hi jawab diya...

"shadi kab kar rahi ho..?" Nitin ne pahle sawaal ka jawaab milte hi dusra daag diya.. par Shruti ne iska jawab dena jaroori nahi samjha....
"koyi ladka dekh rakha hai ya main apne liye koshish karoon...?" Nitin ne romantic lahje mein agla sawaal kiya...

Shruti iss tarah ki baatein sunkar laja si gayi.. usko iss tarah ki baaton ki aadat hi nahi thi shayad...

"kya baat hai? abhi tak naraj ho kya?" Nitin ki agli baat bhi sawaal hi thi...

"kitna time lagega ghar tak pahunchne mein..." Shruti ne iss baar palatkar sawaal kiya.. wah Nitin ke bedhange sawaalon ka rukh mod dena chahti thi.. beshak wah apni marzi se gadi mein baith gayi thi.. par abhi tak bhi apne iss nirnay ko lekar wo asamanjhas mein lag rahi thi.. pata nahi kis mansik dabav ne usko Nitin ki baat maan'ne par majboor kar diya tha... uske gore chitte chehre par shikan iss baat ka saboot thi ki wo apne aap se khush nahi thi...

"bus utna hi jitna tumhe bus se lagta hai...." kuchh rukte huye nitin ne adhuri baat poori ki...," agar sab kuchh sahi tareeke se ho gaya toh....!"

Shruti ka matha thanka.. usne turant chehra uthakar backview mirror se uski hi aur dekh rahe Nitin se najrein milayi," kkya matlab?"

"tum ghabra bahut jaldi jati ho.. kabhi kuchh aisa waisa kiya nahi hai kya?" Nitin ke chehre par shararati muskaan ubhar aayi...

Shruti ko ahsaas bhi nahi tha ki wo uske gaanv se ulti disha mein kisi agyaat sthan ki aur ja rahi hai..," pls aisi baatein mat karo.. mujhe bahut darr lagne lagta hai.. jaldi se mujhe ghar pahuncha do..." sach mein wah dari huyi thi.. baar baar apne rumaal se chehra ponchhti huyi wah man hi man khud ko kos rahi thi...

"kounse ghar..? purane teele par...?" Nitin ne abki baar toh uski jaan hi nikal di.. " aise majak na karein.. mujhe rona aa jayega..."

"pahli baar toh har ladki roti hai.. khaskar tumhari tarah kachchi umar mein ***** karna pad jaye toh.." Nitin thahaka lagakar hans pada...
Shruti ke chehre par bhay ki boonde chhalak uthi," yye.. ye kya... bakwas kar rahe hain aap..? maine aap par visvas karke bahut badi galati ki.. mujhe kisi bhi stand par neeche utaar do.. main apne aap chali jaaungi bus pakad kar..." Shruti ke shabdon mein gussa tha.. par jubaan uski darr ke maare ladkhada rahi thi...

"dont worry sweet heart.. galati toh hamne ki tum par visvash karke... Rohan ke sath tumne jo karne ki koshish ki.. ab kya uska badla hi na lein.. aaj raat tum mere bister ki shobha banogi.. aur tumhari kasam.. tere jaisi ladki bister mein kitna maja degi.. mera toh soch soch kar hi bura haal hai... dum nikla ja raha hai.. mera" Nitin baat baat par ashleel tipanniyan karne se baaj nahi aa raha tha..

Shruti ki halat subah ke jaisi hi ho gayi.. pahli baar usne najron ko khidki ke paar kiya.. sab kuchh anjaana tha.. anjaan raaste.. anjaan mard.. aur anjaan bhavishya.. Shruti andar tak kaanp gayi...," kahan ja rahe ho tum ?.. mujhe utaar do pls.. main tumhare hath jodti hoon..." ab uski aawaj mein rukhapan aur kathorta nahi bulki dayaneeya aur kampkampata hua lahja tha...

"ab tumhe hamara maksad jaan'ne mein jyada samay nahi lagega jaaneman.. manjil bahut kareeb hai..." Nitin ke chehre par kadwi si muskaan lagataar Shruti ke liye mahoul ko aur bhi bhayawah bana rahi thi...

"mujhe nahi chalna tumhare sath.. jahan bhi abhi main hoon.. yahin utaar do.. mera bapu mar jayega.. agar main samay par nahi pahunchi toh....!" Shruti ne gidgidate huye Nitin ke kandhe par hath rakh diya..

"aaaaha.. kitna meetha touch hai tere hathon ka.. teri ye jawani toh sach mein... haye.. kya cheej hai tu..? mere office mein noukri karegi..? dono ko rakh loonga sath mein.. aur toh koyi tumhara hai nahi.. baap beti ka... soch le..."

Shruti fafak fafak kar rone lagi... usko ahsaas ho chuka tha ki wo bahut bade khatre mein aa gayi hai.. kum se kum uski jawani aur ijjat toh khatre mein thi hi.. ye usko visvas tha...

Nitin ne gadi ko chhote raaste par douda diya.. highway se utaar kar.. Shruti ke hath mein kuchh nahi tha.. sivay subakne ke.. usko maloom tha ki agar wo chillane ki koshish bhi karti hai toh gadi ke tej music mein hi uski aawaj ghut kar rah jayegi.. aur fir usko Nitin ke aur jyada kroor hone ka bhi darr tha.. filhaal apni nasamjhi par aansoo bahane ke alawa uske paas koyi raasta hi nahi tha.. so wah kar hi rahi thi....

Achanak hi gadi teji se mudi aur hulki si chadhayi chadh kar ek purani jarjar si imarat mein ghus gayi... Shruti ki chhatiyan uske dil ke dhadkane ke sath sath kharaab raaste par bade hi kamuk andaj mein uchhal rahi thi....

Gadi imarat mein kafi andar jakar bane gairaaj si dikhne wali jagah par jakar ruki.. Nitin turant gadi se utar gaya.. utarne ke sath hi usne apni pant mein aa chuke ubhar ko chhupane ke liye theek kiya...

" aaja meri jaan.. sharma kyun rahi hai...? kahte huye Nitin ne khidki kholkar Shruti ko gadi se bahar kheench liya....

"aao.. neeche chalte hain...!" Nitin Shruti ke hath ko pakde huye aage badh gaya.. bechari nireeh masoom janwar ki tarah uske hathon ki kathputli bani uske sath sath khinchti chali gayi...

bahut hi tang aur bina roshni wale chhote se tukde ko paar karke Nitin Shruti ka hath pakde neeche ki aur ja rahe ek jeene par utarne laga.. kareeb kareeb 13-14 ghumavdaar paidiyon se hote huye wo dono ek lobby mein aa gaye.. jiske dono aur kamre bane huye the... aascharyajanak roop se uss jarjar imarat ke neeche bani ye jagah kafi nayi prateet hoti thi.. uska har kona kritrim prakash se damak raha tha...

"tumhe jo chahiye main de doongi.. jo poochhoge, sab bata doongi.. pls.. mujhe hath mat lagana..." Sath chalte huye Shruti rah rah kar gidgida rahi thi.. par Nitin ko uss waqt baat karne mein interest nahi tha.... lobby paar karke wo dayi taraf muda aur sabse aakhir mein jakar ek vishal aur adbhut roop se susajjit shayankaksh si dikhne wali jagah par aa gaya..

"kisi baat ki chinta mat karo.. jab tak tum mera kaha manogi.. tumhe kuchh nahi hoga... lekin chalak ban'ne ya nakhre karne ki koshish ki toh tumhara bhi yahi haal hoga, jo inka hua tha... kahte huye Nitin ne ek jagah chabi fansayi aur Bedroom ke andar bani deewar ke ek khas hisse ko khiskakar aaram se khol diya..

"aaa...aaaaaa!" badhawas si aankhein failaye Shruti sirf itna hi bol payi thi ki behosh ho gayi.. usne toh kamre ke andar padi 5 ladkiyon ki nangi laashon ko dhang se dekha bhi nahi tha.. unke shareer se nikal kar kamre mein faili huyi tej durgandh ne hi usko itna lachar kar diya ki wah apne pairon par khadi na rahi saki aur Nitin ki baahon mein jhool gayi.....

"bahut maja aayega... tere ang ang mein itna ras bhara hua hai ki tera katra katra pine mein mujhe mahine lag jaayenge..." Nitin ne usko baahon mein uthaya aur bed par lejakar patak diya.... aur uske paas baithkar uske najuk gulabi honton par apni ungali firane laga.....

User avatar
sexy
Platinum Member
Posts: 4069
Joined: 30 Jul 2015 19:39

Re: Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

Unread post by sexy » 19 Oct 2015 14:43

Update 17

Nitin hushn ki bepanah doulat ko apne kamsin anchhuye badan mein samete bister par achet awastha mein leti Shruti ko dekh apne honton ko apni hi jeebh se baar baar tar karta raha.. Wah uske paas hi baitha uski youvan prakastha ka prayay madmast chhatiyon ko ektak dekhe ja raha tha... Par Aascharyajanak dhang se unhe chhoone ki koyi koshish usne nahi ki... Achanak wah utha aur kamre se bahar nikal gaya...

Kamra band kiye jane ki aawaj aate hi Bhay se charmara si uthi Shruti ne dheere se apni aankhein khol di.. apni saanson par kabu paane ki asafal koshish karti huyi Shruti ne Gardan ghumakar kamre mein dekha.. Wahan koyi nahi tha... Par wahan pasra sannata hi wahan kisi ki moujoodgi se bhi bhayanak tha.. Shruti ki aankhon ke saamne kuchh hi minute pahle ka amanushik manjar rah rah kar koundh raha tha.. Uss deewar ki taraf dekhne tak ki himmat nahi kar pa rahi Shruti achanak uthi aur bahar nikalne ke darwaje ki aur lapki.. par uski ye teji vyarth hi thi; darwaja bahar se band tha...

"Hey Bhagwan.. Main kya karoon?" Ghutno ke bal wahin baithkar subakne lagi Shruti ke paas aur koyi chara bhi nahi tha...

"abhi aaya mem'saab!" achanak kamre mein goonji ek mardani aawaj ne lagbhag usko uchhal hi diya..,"kkkoun.. Koun hai?" bhay ke maare Shruti ka kaleja aur aankhein dono bahar nikalne ko ho gaye.. Par uske baad koyi aawaj usko sunayi nahi di...

Inn halat mein toh bade se bade teesmarkha bhi tharrane ko majboor ho jate.. Shruti toh fir bhi ek ladki thi.. Badhawas si kamre mein idhar udhar dekhti wo ek deewar ke sath chipak kar khadi hokar haanfne lagi...

Achanak darwaja khula aur kareeb 35-40 saal ka Bhaddi si shakal ka lamba tagda aadmi kamre mein dakhil hua.. Shruti dahsahat ke maare simat kar kone mein ja khadi huyi...

"Kuchh chahiye mem'shaab!" aadmi ki aawaj mein atyadhik vinamrata thi.. Par Shruti ke liye uss pal koyi bhi aawaj kisi yamraaj ki dahad se kam nahi thi...

"Koun ho tum?.. Mujhe yahan se jane do pls.." Shruti kone mein chipke huye hi apne dono hath prarthna ki mudra mein aage le aayi..

"Main bhagwan ho mem'shaab.. Bhagwandaas.. Sahab ka sewak hoon.. Aur unke mehmaano ka bhi.. Abhi sahab yahan nahi hain.. Kuchh chahiye toh fir se mujhe aawaj laga dena.. Kuchh chahiye kya aapko abhi..?"

"Mujhe jaane do pls.. Mujhe jana hai yahan se...!" Shruti gidgidate huye boli...

"Par yahan se toh koyi jata hi nahi wapas.. Jab sahab ka kaam ho jayega toh wo aapko mujhe gift kar denge.. He he he.. Tab tak aap meri malkin hain.. Par mere saamne dobara jane ka jikar mat karna mem'shaab.. Sahab ne bata rakha hai mujhe kya karna hai, agar aap jaane ki koshish karo toh.. he he he.." bhagwandaas ne kaha aur bahar nikal gaya.. Darwaje ki kundi lagakar...

Post Reply