Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story
Re: Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story
Update 21
"samay ki pabandi toh koyi tumse seekhe.. kitne baje ka time diya tha tujhe?" Rohan Ravinder ke aate hi uss par gurraya...
"oye hoye.. kya baat ho gayi yaara...? tension na le.. aa toh gaya na main.. dekh teri khatir bina nahaye hi bhag aaya hoon uthte hi... khali dryclean ki aur perfume laga liya..," Ravinder ne agli baat dheere se uske kaan mein kahi," maile kapdon mein hi.. dhule huye mile hi nahi yaar.. tune kal raat ko hi bataya..."
"tu nahi sudhrega...! train nikal di na.. train se chalne ka program tha.. ab bus se jana padega.." Rohan ne munh banaya...
" aisi bhi kya jaldi hai? aane wali apne aap sudhar degi.. koyi iss jaisi sohni.." paas se gujar rahi sunder si mast figure wali ladki ko dekhkar Ravinder ne jumla fainka... Ladki ne shayad baat sun li.. apni chal ko dheemi karke ladki ne Ravinder ko ghoora aur aage nikal gayi..
"dekh kaise dekh rahi thi.. mujhe aisi hi kisi ki jarurat hai.. laal mirchi jaisi.. jo mujhe sudhar sake.. hai na!.. he he he" Ravinder ne thodi aur tej aawaj mein baat kahkar ladki tak apni fariyaad pahuncha hi di....
"apni juban ko fevicol se chipka kar rakha kar.. nahi toh kisi din aisi dhulayi hogi ki.." Rohan ne wapas mudkar dekh rahi ladki ki taraf dekh kar aankhon hi aankhon mein khed prakat kiya..
"oye dhulayi wulayi chhod.. chal bus stand dhoondhte hain.. nahi toh bus nikalne ka theekra bhi mere hi sir fodega tu... baki ladki patakha thi yaar... nahi?" Ravinder ab bhi baaj nahi aaya...
"abey ye kya hai chacha... bus stand hi toh hai ye!" Rohan chilla utha...
"oh my God.. I'm so sorry.. main toh bhool hi gaya tha ki tune mujhe dobara fone karke bus-stand par aane ko bola tha.. par hum ja kahan rahe hain.. ye toh bata de..." Ravinder ka bolna badstoor jari tha...
"jahannum mein.. ab tu chup chap khada rah.. thodi der.. bus aane wali hai..."
"dekh bhai.. jannat mein chal ya jahannum mein.. par khatara bus mein mein nahi jaaunga.. nayi si bus honi chahiye koyi... express!" Ravinder ne kaha...
"humm.. tere baap dada ne airport banwa rakha hai yahan... khair.. uski chinta mat kar.. A.C. coach hai.."
"fir theek hai.. dekh bhai.. jahan bhi chalna hai.. mujhse baat mat karna.. raaste bhar sota jaaunga.. aaj 5 ghante pahle uthna pad gaya.. teri wajah se... waise chalna kahan hai yaar.. bata na..."
"tu chup hoga tabhi toh main baat karronga....yahan se amritsar chal rahe hain.. aage ki aage bataunga.. ab aur kuchh mat poochhna...!" Rohan ne usko kaha...
"Amritsar? Amritsar mein toh ek baar meri dadi kho gayi thi yaar... Swaran mandir ke aage kulchhe khane ke liye gadi se utar gayi.. aur mere dada ji ko yaad hi nahi raha ki unke sath dadi ji bhi hain.. bus.. fir kya tha.. gadi start karke chalte bane... baad mein dhyan aaya toh bade pareshan huye.. pata hai dhoondhte huye wapas aaye toh dadi kya karti mili...?" Ravinder tufan mail ki tarah tha....
"kya yaar?" Rohan ne khijkar kaha...
"kulchhe khate mili.. aur kya? kulchhe khane hi toh utari thi.. he he he"
"bus ab chup ho ja... bus aa gayi.. chal bag utha...." Rohan ne uska bhonpoo band karwaya aur bag uthakar wo bus ki taraf chal pade....
"aaha.. agar bus ki seat aisi hon toh fir ghar ka petrol kyun foonkna....! sach mein.. mast neend aayegi yahan toh.." Kahte huye Ravinder ne apne pair upar karke aage wali seat par rakhkar sone ka program set karna shuru kar diya..
aage wali seat se ek sardaar ji ne pichhe munh nikal kar Ravinder ko ghoora," oye! poori bus ko khareed liya hai kya tune... pair toh neeche kar le...!"
"abhi kahan sardar ji.. abhi toh test drive par ja rahe hain... ha ha ha.." kahte huye Ravinder ne pair neeche rakhe aur apni belt dheeli karne laga....
"kya hua ji? kyun sara din seeng pinaye ghoomte rahte ho?.. seedhe nahi baitha jata kya?" sardarni apne sardaar par hi sawaar ho gayi...
"maine kya kaha hai lado.. mere kandhe par pair rakhega toh kya main boloon bhi nahi..... dekh.. teri gifted shirt par mitti laga di... bus.. isiliye gussa aa gaya tha..." Sardaar ji ne kheense niporte huye sardaarni ke aage ghutne tek diye..
achanak bus mein chadhi ek ladki ko dekh Rohan ki saanse wahin ki wahin tham gayi.. khule baalon ko suljhati huyi si wo ladki najrein neechi kiye huye apni seat ka no. dhoondhti huyi aa rahi thi... gore rang aur sammohit kar dene wale nayan naks ne Rohan ko kuchh palon ke liye baandh sa diya.. grey colour ki dharidar jean aur round neck ki white T-shirt ke upar collar wali light violet colour ki bina button ki jacket pahne uss ladki ki aankhon mein aisa jadu tha ki bus mein baitha har sakhs usko niharne laga...Rohan ka kshanik sammohan tabhi toota jab wo unke paas aakar khadi huyi..,"Excuse me! ye hamari seat hai...!"
Ravinder Rohan ko kahan bolne deta," achchha.. seat sath lani padti hain kya ghar se? maine socha bus mein hi mil jati hongi.... koyi na ji.. aap bhi aa jao.. kafi choudi seat hai.. wo kya hai ki hum seat lana bhool gaye.. kyun Rohan?" kahkar Ravinder ek taraf ko khisak liya....
Ladki ko uski baat par hansi bhi aayi aur gussa bhi.. uski bedhangi baat se saham si gayi ladki ko achanak samajh nahi aaya ki kya bole.. wo kuchh bolti, iss'se pahle hi Rohan bol pada...," Sorry miss! ye kabhi bus mein baitha nahi hai.. isiliye.. par mere khayal se ye hamari hi seat hai....!"
"achchha.. mere majak ko meri nasamajhi bata kar tu mera hi majak uda raha hai saa.." fir ladki ki aur dekhkar munh se nikal gayi gali ko wapas kheenchte huye bola," wo kya hai ki.. jaise mard kabhi apni juban nahi badalte.. waise hi seat bhi nahi badalte.. par jao.. hamari seat dhoondh kar uss par baith jao.. hum bade hi naram dil wale hain.. kuchh nahi kahenge.. Kyun Rohan?" kahkar Ravinder ladki ki aur aankhein faad kar dekhne laga...
ladki ko achanak jane kya soojha.. usne khidki se bahar jhanka aur aawaj lagayi..," Rituuuuuuuu.. jaldi aaaaaaaa!"
"kya hua?" ladki kuchh iss andaj mein upar chadhi jaise aapat sthiti mein kisi ne usko madad ke liye pukara ho... ladki wahi thi jis par Ravi ne bus-stand par khade hokar baaton hi baaton mein jumle kase the...," Kya hua? koyi problem hai kya?"
Ritu se apne liye itni humdardi pakar ladki subakne lagi," ye hamari seat nahi chhod rahe..."
"tum? " Ritu Ravi ko pahchan kar gusse se aag baboola ho gayi...
"ohh.. hum ek dusre ko jaante hain kya? meri yadast thodi kamjor hain.. par dekh lo.. tumhara naam abhi bhi mujhe yaad hai.. Ritu!.. waise.. kahan mile hain hum pahle..?" Ravi ne seena taante huye batteesi nikal di..
"abhi batati hoon... chalo.. utho yahan se.. nahi toh abhi police uncle ko bulati hoon..." Ritu ne taish mein aakar baanh chadha kar kulhon par hath jama liye...
"police mama tumhare uncle hain kya? hamari toh waise hi rishtedari nikal aayi... he he he.." Ravi kahan kabu mein aata....?
"chal uth na yaar.. pichhe wali seat hogi hamari.. sorry.. miss.. don't mind pls.." kahte huye Rohan ne khada hokar Ravi ko kheench liya... majbooran ravi ko uthna pada... aur dono pichhe wali seat par jakar baith gaye...
"yeyyy.." ladki ne pichhe dekh kar Ravi ko apne najuk hathon ke doley bana kar chidaya," pata hai Ritu.. mard kabhi apni seat nahi badalte... ha ha ha ha..."
Ravi kuchh bolta, iss'se pahle hi Rohan ne uske munh ko apne hath se daba diya," kuchh mat bol yaar.. ladkiyan hain.. khamkha panga ho jayega..."
becharon ko baithe poora 1 minute bhi nahi beeta hoga ki ek joda aakar unke paas khada ho gaya," Excuse me.. ye hamari seat hai..."
Ravi se raha na gaya... amitabh ki aawaj ki nakal karte huye bola," jao.. pahle wo seat dekh kar aao jis par hamara no. likha hai.. ye lo hamari ticket... hayein.."
Mariyal se uss aadhe ganje ho chuke ladke ne chupchap tickets pakad li.. aur no. dekhte hi bola..," sir yahi toh hain aapki seat.. aagey wali..."
"kya? kya kaha? fir se bolna mere yaar.. pls..." Ravi uchhal kar seat se khada ho gaya..
"haan sir.. yahi toh hain.. 13-14 no.. ye ladkiyan galati se baith gayi lagti hain.." ladke ne dohraya..
"oye hoye.. laale di jaan.. ji karta hai tera sir choom loon.." Ravi ne ek pal bhi nahi lagaya aage wali seat tak pahunchne mein," A.. uthti hai ya police mama ko bulaaun? ha ha ha ha ha.. mard kabhi apni seat nahi chhodte..."
Ab ladkiyon ko bhi thoda shak hua.. Ritu ne kaha," dhang se dekh ek baar.. hamari seat ka no.."
ladki ne apni jeb se tickets nikali aur boli," yahi toh hain.. 8-9 no."
"chal uth yahan se.. 8-9 no. agli seats ka hai... seat no. seat ke pichhe likha hota hai pagal..." aur dono ladkiyan jhenpte huye seat chhodne lagi...
"wah wah wah wah.. aajkal ladkiyan bhi dole shole dikhane lagi hain.. kya baat hai.. wah wah!" Ravi se iss mouke ka fayda uthaye bina raha na gaya...
"chup kar yaar.. bahut ho gaya.. galati kisi se bhi ho sakti hai..." Rohan ne usko shant rahne ki salah di....
bechari dono ladkiyan sardaar ji ke paas pahunch gayi," Excuse me uncle.. ye seat hamari hai..."
"oye kamaal kar rahi ho kudiyo.. abhi inn bachchon ke pichhe padi thi.. ab hamein pareshan karne aa gayi.. sari seat tumhari hain kya? ye dekho hamare no. 8-9. seedhe bhatinda tak ki hain..." Sardaar ne seena thonk kar kaha...
Ravi jo unki baatein bade gour se sun raha tha, tapak se bola," par tau.. bus toh amritsar ja rahi hai...."
"hain? kya?" Sardaarji ne chounkte huye poochha...
"aur kya? " kahkar ladkiyan bhi hansne lagi....
"oh teri.. hamari toh bus hi nikal gayi.. main bhi kahoon aaj bus itni laye kaise hai...?" Sardaarji sakpakakar khade huye aur apna saaman utaarne lage....
"le.. kab seekhega tu seedhe raste chalna.. mere toh karam hi foot gaye tere sath byah karke.." Sardaarni sardarji ko kosti huyi uske pichhe pichhe bus se utar gayi...

Update 22
Sari raat Shruti bed ke ek kone mein simti leti rahi.. Nitin uski barabar mein hi chain se soya pada tha... par Shruti ne ek baar bhi jhapki nahi li.. sone se pahle Nitin ne wada kiya tha ki kal usko wo college chhod dega.. Nitin ke dwara sunayi gayi kahani uske dimag mein kisi picture ki tarah chal rahi thi.. lete lete usne kayi baar Rohan ke baare mein socha.. shakal se ek dam shareef aur cute se dikhne wale Rohan se usko poori humdardi thi.. agar uss'se pyar karne aur shadi karne tak ki hi baat hoti toh Shruti isko apna soubhagya hi maan'ti.. Nitin ke kahe anusar Rohan uska deewana tha bhi.. par Nitin usko jis raaste par lekar jana chahta tha uske baare mein toh Shruti ko sochna bhi paap lagta tha.. dhokha dena toh usne kabhi seekha hi nahi.. ya yun kahein ki uske khoon mein hi nahi tha.. bachpan mein hi uski maa ke gujar jane ke baad uske bapu ne dusri shadi tak nahi ki.. ye sirf uski maa ke prati uske bapu ki wafa nahi toh aur kya thi.. warna vansh chalana koun nahi chahta.. na.. wo aisa nahi kar sakti.. aur karegi bhi nahi..
raat bhar karwat badalte badalte Shruti ne yahi faisla liya tha, ki wo Nitin ki har haan mein haan milayegi.. jab tak ki ek baar uske changul se aajad nahi ho jati.. par ghar jane ke baad wo sab kuchh apne bapu ko bata degi.. sirf apna koumarya bhang hone ki baat chhodkar.... sath hi koshish karegi ki iss kaminey aadmi ki mansha kabhi poori na ho.. chahe iske liye usko police mein khabar karni pade.. chahe usko college hi kyun na chhodna pade..
inhi vicharon ki uthal puthal mein kab sawera ho gaya, Shruti ko ahsaas tak nahi hua... achanak Nitin ke karwat badalkar uske seene par hath rakhte hi wo uth baithi..
"jaag gayi tum?" Nitin ne uthkar angdayi lete huye kaha...
"Ji.." Shruti ne ghutno ko modkar apni chhati se laga rakha tha.. wo bhool gayi thi ki usne skirt pahan rakhi hai aur uski chikni jaanghein ghutne modne ki wajah se kafi upar tak nangi ho gayi hain... jaise hi najrein uthakar usne Nitin ki aur dekha.. wah sakpaka gayi.. Nitin ki aankhon ka nishana uski jaanghein hi thi..
Shruti ne turant apne pair seedhe karke skirt neeche kheench li...
"tumhari isi ada ka deewana hoon main", Nitin wapas bed par latekar skirt ke upar se uski chikni jaanghon par hath ferne laga," kya cheej ho yaar tum.. tumse kabhi dil nahi bharega..."
Shruti ko had se jyada ajeeb lag raha tha.. par majboori thi ki seedhe tour par mana nahi kar sakti thi," pls.. mujhe der ho rahi hai.. college bhi jana hai.."
"haan haan.. chhod doonga.. chinta kyun karti ho meri jaan.. par tumne ye toh bataya nahi ki tumne kya faisla kiya" Nitin ne usko bechain hote dekh apna hath hata liya...
"theek hai!" Shruti ne itna sa jawaab diya...
"kya theek hai? uske baare mein batao na.. 10 karod ke baare mein kya socha..?" Nitin ki ghagh aankhon mein uska anmana sa jawab chubh gaya...
"haan.. kah toh rahi hoon ki jaisa tum kahoge.. main waisa hi karoongi.." Shruti ne iss baar shabdon mein kuchh ijaafa karke bola...
"kahin aisa toh nahi ki tum sirf yahan se wapas jane ke liye hi aisa bol rahi ho.. ye bhi toh ho sakta hai na.." Nitin ne paini nigaahon se uske man ko tatolne ki koshish ki..
Shruti ko uski baat mein chhipi dridhta ko bhaanp kar mahsoos hua ki jaise uska jhooth pakda gaya ho.. par wah sambhalte huye boli.. ," 10 karod ke liye toh main 10 logon ka ulloo banane ko bhi taiyaar hoon.. aur fir ye toh koyi kaam bhi nahi hai.. mujhe uss'se pyar ka natak hi toh karna hai.. ya fir wahi karna hai jo jo tum kahoge.."
"gud.. that's like an intelligent girl.. aksar khoobsoorat ladkiyon mein dimag ki kami hoti hai.. mujhe khushi hai ki tumhare andar bepanah hushn ke sath sath dimag bhi hai.. dekhna hum dono milkar kaise Rohan ko jaal mein faanste hai..." fir kuchh rukte huye bola," fir bhi.. ho sakta hai ki kal ko tumhara dil uski nadani aur sharafat dekhkar pighal jaye.. isiliye main ye pakka kar dena chahta hoon ki ab tumhara apne beech huye iss karar se mukarana tumhari poori jindagi ko mout se bhi badtar bana sakta hai... ek minute"
Nitin uthkar kone mein rakhe LCD TV ke paas gaya aur sath rakhe DVD mein CD daal di.. aur wapas aakar bister par baith gaya...," ye kuchh haseen pal hain jo tumne mere sath gujare hain..."
T.V. par tasvir ubharte hi Shruti ka kaleja munh ko aa gaya.. shuruaat wahan se huyi thi jahan Shruti apna skirt utha, kamar tak khud ko naga karke.. siskiyan leti huyi Nitin ki jaanghon ke beech baith gayi thi.. yahan se toh Shruti ki marzi bhi wasna ke uss gande khel mein shamil ho gayi thi jismein wo anyatha apni jaan ganwane ke darr se shamil huyi thi.. shuruati sahmati uski majboori thi par baad mein anchhuye youvan par wasna hawi ho jane ki wajah se wo bhi paagal si hokar uska sath dene lagi thi.. uss'se lipatne lagi thi... video mein kahin bhi aisa nahi lag raha tha ki usmein shruti ko daraya gaya hai ya jabardasti ki gayi hai..
kuchh der baad hi Shruti T.V. se najrein hatakar Nitin ki aur nireeh aankhon se dekhne lagi.. uski aankhon se aansoo ludhakne lage," yye.. mujhe de do ...pls..!"
"ha ha ha ha!" Nitin thahaka lagakar hansne laga... fir ruk kar bola," kya itna pyar hai mujhse.. ya fir apne pahli raat ko sahej kar rakhna chahti ho.. dont worry darling.. ab toh hamara milna laga hi rahega.. iski ek copy tumhe de dunga.. ye bhi wada raha.. ek minute.. Rohan aaj hi batala jane ki baat kar raha tha.. main usko fone milata hoon.. usko bolo ki tumhara aaj hi uss'se milna bahut jaroori hai.. sapne ke baare mein..." kahkar Nitin ne Rohan ka no. dial kiya...
-----------------------------------
sardarji wali seat, jahan ab wo dono ladkiyan baithi thi, ke neeche pada mobile hilne laga... fone 'Vibrations' par set kiya hua tha.. Nitin ne kayi baar no. try kiya aur ant mein gusse se apne cell ko bed par patak diya..," lagta hai abhi tak so raha hai saala.. chalo.. baad mein try karte hain.. tum jaldi naha lo.. nahi toh college mein late ho jane par mujhse naraj ho jaogi.. he he he!"

Update 23
"Ek minute ruk ja na yaar.. unko utarne de" Amritsar bus stand par utarte hi Ravi ne Rohan ke kandhe par tanga bag pakad kar kheench liya...
"kyun? ab kya kasar rah gayi hai? jaldi chal aur pata karke aa Batala ke liye bus kahan se milegi.." Rohan ne usko lagbhag ghaseet'te huye kaha," Sare raste tune unki naak mein dam rakha.. ab unka ilaka aa gaya hai.. yahan tujhe chhodengi nahi..dekh le!"
"aaye haye.. kya baat kahi hai mere yaar.. ilaaka hi nahi, sach poochho toh main bhi ab unka hi ho gaya hoon.. khas tour par uss laal mirchi ka.. dekha nahi tune.. pichhe mudmud kar aise dekh rahi thi jaise kha jayegi wahin.. uff ye punjab ki ladkiyan..." Ravi ne pichhe mudkar bus ki aur dekhte huye kaha...
ladkiyan abhi bus se utari nahi thi.. jaise hi Ritu uthne lagi.. usko pair ke neeche kuchh mahsoos huaa.. ye mobile tha," oh.. ye kiska rah gaya..?"
"driver ko de do Ritu.. shayad bichare sardar ji ka hoga.. wapas aayega toh driver se hi poochhega..." Dusri ladki ne Ritu se kaha...
"tu pagal hai kya? itna mahanga fone.. koyi wapas nahi karega isko.. jiska bhi hoga wo iss no. par fone toh karega hi... tabhi hum bata denge ki fone hamare paas hai.. aakar le lo..." Ritu ne samajhdari ki baat kahi...
"haan.. ye baat bhi theek hai.. A? uss ladke ka toh nahi hai ye fone..? dekh.. hamari aur hi aa raha hai.." ladki bus se utarte hi Ravi ki aur ishara karte huye boli...
Ritu Ravi ko dekh aag baboola ho gayi...," aane de usko.. usko toh main aisa fone doongi ki sapne mein bhi yaad karega mujhko.. tu chup rahna bus.." Ritu ne fone apni back pocket mein daal liya...
Ritu ke paas aate hi Ravi uske tewar dekhkar sakpaka sa gaya.. wah lagataar usko ghoore ja rahi thi.. Ravi ki tone achanak badal gayi," aap toh bura maan gayi.. maine toh yunhi apna sa mankar kah diya tha.."
pahli baar Ravi ke munh se aisi baat sunkar Ritu ke swar mein bhi narmi aayi," achchha.. ek hum hi apne se lage aapko poori bus mein?"
"aji mera kya hai.. main toh abhi bilkul kunwara hoon..," Ravi ne 'bilkul' par kuchh khas jor diya," abhi toh sabhi 'apni' hain.. jab tak koyi lapet'tti nahi... waise ye batala ke liye bus kahan se milengi..?"
"batala? tum.." dusri ladki bolne lagi thi ki Ritu ne uska hath pakad kar doboch diya," pahli baar aaye ho kya yahan..?" Ritu ne rahasyamayi dhang se muskurate huye poochha...
" aur nahi toh kya? bus yun samajh lo ki bhagwan ne tumse milane ke liye hi yahan kheench liya.. uss Rohan ki wajah se... mera naam Ravi hai.. aapka?" Ritu ke meetha bolte hi Ravi seedha linebazi par utar aaya...
"Anarkali.. achchha hai na.." Ritu kahkar hansne lagi..
"Ji bahut pyara hai.. kash mera naam saleem hota.. aur inka.." Ravi dusri ladki ko niharte huye poochha..
"Gulabo! tum raasta poochhne aaye the ya..?" Ritu ab pak gayi thi...
"ji pls.. i'll be obliged!" Ravi ne adab se jhukte huye kaha..
"tumhe intjaar karna padega.. ghante bhar ka.. uske baad wo saamne milegi.. ho gaya..?" Ritu ne munh banakar kaha..
"Aji hamein toh pahli najar mein hi ho gaya tha.. bus aapki inayat ki jarurat hai.." Ravi jate jate bhi maskhari karne se baaz nahi aaya..
gulabo ne jate hi Ritu ko ghoora..,"tune unko jhooth kyun bola.. bus toh chalne hi wali hogi.. uske baad jane kab aaye..?"
"kya baat hai.. kya baat hai.. badi chinta ho rahi hai.. kounsa pasand aa gaya?" Ritu ne majak kiya..
"tujhe pata hai Ritu.. mujhe aisi baatein bilkul pasand nahi.. fir kyun?" Gulabo naraj si hote huye boli...
"arey yaar.. majak bhi nahi kar sakti kya? khair main agar uska ulloo nahi banati toh fir se wo hamein pakate huye chalte.. sath sath.. chal ab jaldi chal.. bus nikal gayi toh..." aur dono jakar chalne ko taiyaar khadi bus mein jakar baith gaye... aur bus chal padi... Ritu ne bus mein baithe huye hi Ravi ko thainga dikhakar chidaya aur khilkhilakar hansne lagi...
"yaar.. agar inki bus nahi chalti toh ye anarkali toh pati patayi thi..." Ravi ne apne hath masalte huye kaha...
"hunh.. tujhe lagta hai ki tu iss janam mein koyi ladki pata payega..?" Rohan ne muskurate huye vyangya kiya...
"arrey.. kya baat kar raha hai yaar..? tune wo.. kya kahte hain.. wo shlok nahi suna kya 'ladki hansi toh fansi.. dekha nahi kya tune.. meri taraf usko hanste huye..' Ravi ne taal thonki...
"humm hans rahi thi?.. chal chhod.. yaar ab ghanta bhar intjaar kaise hoga.. aur koyi vehicle nahi jata kya batala?" Rohan ko batala pahunchne ki jaldi thi...
"yaar ye Amritsar tak ki baat toh samajh mein aati hai.. par ye batala patala mein teri kounsi appointment hai..? jahan basein bhi nahi jati..." Ravi ne kaha aur door newpaper wale ko aawaj di... paper wala bhaga bhaga aaya," ji sahab.. kounsa doon?"
"ye batala ke liye bus kab aayegi.. aur kuchh nahi jata kya wahan..?" Ravi ne poochha...
"abhi aapke saamne hi toh gayi hai sahab yahin se.. pathankot wali.. udhar se hi jati hai.. waise bahar jakar kisi ko bhi lift ke liye tok lo.. hum punjab wale bade dil ke hote hain sahab.. he he he.. akhbaar kounsa doon..?"
"humm.. bahut bade dil ke hote hain punjab wale.. agar teri kisi newspaper se setting ho toh ek khabar chhapwa dena.. ek sukdi si punjaban hamara ulloo bana gayi... chal la.. koyi bhi de de ek.." Ravi ne kahte huye Rohan ki aur mayusi se dekha...
"samajh gaya?.. kyun hans rahi thi wo..?.. bolta hai.. 'hansi toh fansi..' chal aaja bahar.. ab latak kar chalte hain.. lift lekar.." Rohan khada ho gaya...
"meri kya galati hai yaar...?" Ravi sanjeeda hote huye uske sath chalne laga..
"nahi nahi.. galti toh meri hai.. jo tujhe sath le aaya.. abe unse hi raasta poochhna tha tujhe?" Rahan aur Ravi bahar aakar khade hi huye the ki ek lambi si gadi aakar unke paas ruki.. Gadi ka sheesha neeche hua aur andar baithe ek bahut hi smart yuvak ne unse poochha..," bhai sahab.. ye batala aur kitni door hai?"
Rohan bolne hi wala tha ki Ravi ne jhat se andar hath dekar khidki ko unlock kiya aur tapak se andar baith gaya...
"kya hai bhai sahab?" yuvak ne apne goggles aankhon se hatate huye poochha...
Ravi ne uski baat par koyi dhyan nahi diya aur pichhli khidki bhi khol di," Baith na Rohan.. bhai sahab bhi batala ja rahe hain.."
Rohan ne uss yuvak se najrein milayi toh usne apne kandhe uchka diye... Rohan pichhe ja baitha... Yuvak ne gadi douda di...
"kitni door hoga batala yahan se...?" Yuvak ne fir poochha..
"aage chalkar poochh lete hain na.. tension na le bhai.. ab main sath hoon.." Ravi ne muskurakar uski aur dekha...
"matlab tumhe bhi nahi pata..?" yuvak ne chehra ghumakar Ravi ki aur gour se dekha...
"ummm.. aisa hai bhai sahab.. actually hum bhi pahli baar hi aaye hain... maine socha.. ek se bhale teen.. aapki bhi madad ho jayegi.. aur ham bhi pahunch jayenge..." Ravi ne jawab diya...
"ha ha ha.. kamal ke aadmi ho yaar... lo.. cigarette peete ho?" Yuvak ne cigarette nikalte huye poochha...
"na bhai na.. aur jab tak hum gadi mein hain.. isko sulgana bhi mat.." Ravi ne gadi par hi kabja sa kar liya...
Yuvak ne achanak break laga diye.. aur Ravi ko ghoor kar dekhne laga..
"kya hua bhai..? aage chalkar poochhte hain na..." Ravi ne uske hath se cigarette lekar wapas packet mein daal di...
Gadi mein baitha wo yuvak achambhit sa tha.. achanak thahaka lagakar jor jor se hansne laga aur gadi chala di...