love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 04 Jun 2016 08:41

UPDATE25-

Renu ke man me dwand chal rha tha ...ek taraf use lagta ki nhi jo kuchh hua usme meri koi galti nhi h aur dusri taraf ye bhi ki wo ye sab bardast q karti rahi ...rohan ke hatho ka sparsh use bura laga to usne rohan ko itna aage q badhne diya ..inhi khyalo me uski aankh lag gyi.


subah renu uthi aur fir se apne dialy ke kamo me lag gyi...sahil uthkar kheto par apne papa ke sath chala gya tha ..jabki aarti aur rohan abhi bhi so rhe the..


9.00am ke aas pas sahil kheto se wapas aata h..renu sab logo ko chai aur breakfast de chuki thi aur rohan ko usne aonu ma ke hatho bhijwa diya tha ...wo rohan ka samna nhi karna chah rhi thi aur uske man me abhi bhi whi dwand chal rha tha .


sahil breakfast krke ,nahata ha aur fir ready hone lagta h ...


sahil ki didi : are sahil tu kahi ja rha h ?"



"ha didi wo mujhe university jana h apna certificate niklwane"



"mama, m bhi aapke sath chalungi ,,,sab log to apne kam m lag jate h aur m bore ho jati hu ..plzzzzz"



aarti ne itne pyar se kaha tha ki sahil ko mana karte nhi banta...par wo khud se ha bhi nhi kar sakta tha ..wo chup chap hokar didi ki or dekhne lagta h...



'le ja use bhi , ab wo kaun sa man jayegi mana karne par bhi ...teri ladali h ..har bat uski manta h tu tabhi itni farmaise karti h madm"



didi thoda muskurate huye aarti ko gussa karti h...



"ha ladali to hai ye meri aur hamesa rahegi" sahil bhi muskura deta h ...aarti khusi se uchhal padti h ..thank u mama, u r the best mama in the world"



sahil nsa muskura kar rah jata h ..


rohan aarti aur sahil ko jata dekh man hi man khus hota h.

User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 05 Jun 2016 16:42

UPDATE 26-

"aarti abhi kitni der lagegi tumhe ..." sahil ne ghadi par nazar dalte huye tisri bar aawaz lagayi .


"aa rhi hu na,, aapne kya itni jaldi macha rakhi h "

''ek ghante lagenge wha pahuchane me ..jayad late hone par bhid bhi badh jati h counter par ...jaldi karo " sahil ne kafi dhary rakhte huye jwab diya ..


aarti kamre me taiyar ho rhi thi ur sahiil bahar uska wait kar rha tha ...


aarti lagbhag 15 min bad baher niklti h ...sahil us par ek nigah dalta h aur aage badh jata h ...

"ek to tum ladkiyo ko pta nhi taiyar hone me itna time q lagta h "


"achchha to kya hme ladko jaise bas shirt pant pahnkar nikal jana hota h " aarti ne fauran jawab diya lekin fir apni bat par hi sharm se nazre jhuka liya ...



sahil uski bat ko sunkar chup ho jata h..use pta tha uski aarti ke kahne ko wo matlab nhi tha .. ..aur bike lekar gate par aa jata h ..


"didi hm ja rhe h " sahil gate par se hi aawaz deta h .



"thik h jao aaram se jana aur kisi se ladai jhagda mt karna , bike dhhere chalana"


mummy hm koi bachhe h ..aap bhi na "aarti sahil se pahle hi bol deti h ...


"haa,haa tu to badi sayani h meri ma..jaa ab" didi aarti ki bat par har mankar bolti h ..


aarti ne jeans aur top pahna hua tha ..balo ko khula hi chhoda tha ..jawani ki chanchalta aur alhadhpan se uska khubsurat mukhda jagamaga rha tha ..behad khubsoorat lag rhi thi ..leki aarti ne ye note kiya tha ki sahil kuchh ukhda ukhda sa lag rha tha ...


aarti bike par baith jati h ..dono taraf pair karke ..sahil kafi aage khisak kar baitha tha .



aarti kuchh kuchh bole ja rhi thi lekin sahil hu ha me hi jawab de rha tha ...

aarti ko kafi gussa aa jata h



"nhi sath lana tha to pahle hi bol dete " aarti gusse me boli .
"
maine kab bola ki mai nhi lana chata tha "



"to fir gussa q ho "

"m q gussa hone lga tumse "


"ha.... haa..mujhse q gussa hoge... mai hu hi kya tumhari ..mujhe nhi jana chalo wapsa mujhe chhodkar joa fir "



"hey bhagwan ...tu chahti kya h ..achcha sorry "

"nhi fir aap batao ki kya bat h "

"aarti wo...wo...wo..""

"
kya ..bolo bhi ."



"mujhe tumhara gaon me jeans pahn na pasand nhi h..tum nhi janti yha university ka mahol thik nhi hota ...agar kisis ne kuchh bol diya tumhe to m bardasht nhi kar paunga "



aarti ko kuchh pal samjh me nhi aata ki wo khus ho ya udas ..



"sirf isliye ki log comments karte hya fir aapko jeans paahn na hi nhi pasand "


" aarti m koi dakiyanusi khyal ka nhi hu ..lekin mujhe sach me tum paar suit jyada achchaa lagta h ...lekin mere achchha lagne se kuchh nhi hota ...bas jab tum gaon me aaya karo to jeans ghar me hi pahna karo "



"to ye ghar par hi bol dete ..ab mai jeans nhi pahnungi...aur aapse kis ne bol diya ki aapke achchha lagne se koi fark nhi padta ...huu..batao to jara "



"sach me to tumhe fark padta h " sahil ko bahut anjani si khusi ka ahsas hota h ..pahle bar kisi ko uski pasand napsand ki fikar thi



"aur nhi to kya ..." aarti bina jhijhak ke bol deti h ."



aise hi halki fulki bate karte wo university pahuch jate h.



sahil ne us sal apna college top kiya tha ..so usko jan ne wale kafi the..lekin sahil kafi reserve rhne wala banda tha jyada kisi ko lift nhi deta ...aur kuchh use dost bhi aise hi mile jo sirf uska fayada uthate ..



aart ko lekar sahil university ke andar chala jata h ..form bhar kar counter par jma karne ke bad use 2 hr bad aane ko kaha jaat ah ..



sahil aarti ko lekar cantene ki taraf chal deta h ...kafi sare ladko ki nighahe aarti ki taraf uth rha thi..kcuhh use ghoor kar dekhte aur kuchh sahil ki kismat par rask karte ..



sahil ka bas nhi chal rha tha ki ek ek ki aankhe noch le ...wo aarti ko kahi chhupa lena chahta tha ki ko use dekh bhi na paye ..



aarti aur sahil cantene ke andar kakar baith jate h sahil aarti ki pasand ki kuchh cheeje order kar deta h



sahil aarti ke sath cantene me baitha tha lekin use achchha bilkul nhi lag rha tha qki kuchh ladko ki nighahe use chubhti huyi si aarti ke jism par padti dikh hri thi aur anayas hi uska sar aarti ki chehre ki tarf uth jata h jo chowmin khane me msat thi ...aarti kitni khoobsoorat h ..uske dil ke tro ko chhed jati h uski ye soch ..



aarti use apni or dekta dekhkar " kya hua ,,khao na ,,kya dekh rhe ho ? "



"aaan..kuchh nhi " aur sahil bhi isi plate me se khane me lag jarta h ..
wo sahil ko jaldi se jaldi wha se le jana chah rha tha.



" kya mast mal h bhai" unke table ke bagal wale table par baithe ek ladke ke comments sahil ke kano me padte h..uska hath ruk jata h ..



"haye kya hoth h lal lal...kya kismat h spoon ki jo sala andar baher ja rha h ..oh hoye "



"abe sale to abhi hotho tak hi pahucha ...uski neeche ki himalaya ki pahadiya to dekh..jan hi le lengi aaj to ye "



sahil ka khun khaul uth ta h unki bate sun kar ...aarti samjh chuki thi ki ab yha bahut jyada bat bigad jayegi ..wo sahil ka hath pakda leti h jo gusse se khada ho chuka tha



"plzzzz....tumhe merri kasam "



aarti sahil ko jabardasti khich kar wha se le jati h ...sahil ka mood bahut kharab ho chuka tha ...



ab aarti use normal karne ki kosis me lag jati h ..



"jane do mama ...unka yhi kam hi hota h ..har ladki ko dekh kar aise hi bolte honge ..aise logo ke muh nhi lagte.."



"sale har ladki ko dekh kar bole chahe ...tumhe koi bol de ye mai nhi sahung aur tumhe kya ye bat bat par ksasm dene ki aadat pad gyi h ..tumhe q lagta h ki tum kasam dogi aur m man jaunga .."



sahil apna sara gussa us massom ladki par nikal deta h jo use sabse pyari thi ..aarti ki ankho se aansu ki do bunde uske galo par ludhak jate h .sahil aarti ko kabhi nhi dant ta tha ...aarti suki chhed chhad chalti aur fir roothna manana
...jisme jyadatar sahil hi aarti ko manata ..par usne itni buri tarah kabhi use nhi bola tha ..



"sorry ..pata nhi q lagta h ki aap man jaoge meri ksam dene par ...sorry ..ab kabhi apni ksam nhi dungi"


aarti ko rota aur sorry bol ta dekh sahil ka sara gussa gayab h jata h ...



"mai bhi kitna gadha hu ,,ise rula diya .bhala iski kya galti thi ...."sahil man me bahut jyada pachhtane lagta h..



"aarti plz chup ho jao sab log dekh rhe h " aarti apne aansu ponchhti huyi sahil ke sath aage badh jati h . ab dono me bat chit band thi ...aarti naraz thi aur sahil sharminda.



"are sahil aap ...certificate lene aaye h kya ?"sahil is aavaz par mudkar dekhta h ..



"hello shashi , kaisi ho aap ,,,ha usi liye aaya hu..summet nhi aaya h kya "



"aaya h ..common haal me h ..bas aata hi hoga .....ye kaun h? "
shashi nam ki us ladki ne puchha ,aankho me kafi shararat thi.



"ye...meri bhanji h .aarti aur aarti ye h shashi meri classmate ""



aur mai hu summet ..sahil ka classmate, dost......aur apni shashi ka eklauta boyfriend" peeche se aate ladke ne haste huye kaha.



"hello,nice to meet u all " aarti ne jabardsti ki muskan chehre par late huye kaha .


"hmmm to sahil jee...bhanji ko university ghuma rhe h ...hm bhi soche itni khubsoorat ladki itne bore bande ke sath ..impossible..ha... ha.. ha.." summet ne tanj karne ke andaz me kaha ..



"sumeet ??" sahil ne thode sakht lahje me kaha . aarti ko uskia sahil ko bor kana bilkul bhi psand nhi aaya tha aur wo janti thi ki sahil ko dost sab sirf matlab ke liye bolte h.



"tu bhi na sumeet ..sahil par to kitni ladkiya apni class ki hi fida thi ...aur yad h apni sonam to sahil ko jee jan se chahti thi ..lekin sahil ne hi kabhi...."
shashi ne sahil ek nagawari ko dekhkar bat adhuri chhod di .



aarti ko jane q behad khusi ka ahsas ho rha tha ab aur sahil par fakr bhi .



"hme niklna chahiye...tum logo ne to apne certificate le liye h ...mujhe abhi lena h ..chal aarti ..exuse me."




sahil sabko bye bolta hua nikal jata h ..counter par uska nam bulaya ja rha tha ..sahil jaldi se jakr apna leaving certificte collect karta h aur aarti ko lekar parking ki or chal padta h .



aarti abhi bhi sahil se thoda naraz thi .wo janti thi ki sahil ne kisi aur ka gusa uspar nikal diya tha lekin jis sahil ne aaj tak uski koi bat nhi tali thi , bachpan se jisko wo pure hak se apna samjhti thi ...aaj usne use buri tarah se dant diya tha... is bat ka use dukh ho rha tha ..wo jab bhi sahil ki or dekhte sahil nazre chura leta ..use pta tha sahil kafi sharmindaa h bas bol nhi pa rha ..lekin wo ek bar sahil ke muh se sun na chah rhi thi.



sahil ki shakhsiyat ka ek aur rang aaj khula tha uspar ..uska majboot character.


sahil ke peeche bike par baithe arti kafi chup thi .


"aarti, naraz ho mujh se "

aarti kuchh nhi bolti ..

wo university se thodi door aur aage aa jate h ..ab bhid bhad kafi kam ho chuki thi aur sahil bhi kafi aaram se bike chala rha tha .


"aarti ..plz kuchh to bolo "


aarti fir bhi chup rhti h ..sahil jan chuka tha ki aarti us se sach me naraz h ..wo bike mod leta h aur pas ke ek khubsoorat park ki or chal deta h.


"ye kaha chal rhe h ...mujhe ghar jana h "


bas thodi der..mere liye ..plzz"


aarti sahil ko mana nhi kar pati..

sahil bike park karta h aur park ki or badh jata h ..kuchh kadam aage badhne ke bad wo dekhta hi aarti abhi whi khadi h ..wo wapas jata h aur uska hath pakad leta h



"..plzz" sahil ne pahli bar is tarah se aarti ka hath pakda tha ..arti apna hath chhuda leti h ..


"thik h ..chaliye "

User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 05 Jun 2016 16:42

UPDATE 27-

sahil aarti ko lekar park me pahuchata h..park kafi khubssorat tha par is samy jyada log nhi the wha .sahil aarti ko lekar ek ped ke neeche baith jata h.aarti use ruthi ruthi si kafi pyari lg rhi thi ...ek aisa ruthna jisme ye chahat chhupi hoti h ki koi aap ko manaye aur aap jante h ki wo jarur manayega .


sahil aarti ko ek tak dekhe ja rha tha jabki aarti sar niche kiye huye ghaso ko ukhad rhi thi .



"mera gussa masoom ghaso par q nikal rhi ho " sahil ne use thoda sa aur chhed diya .


aarti ne sar uthakar use ghura lekin boli kuch nhi .



sahil " pta h tum jab naraj ho jati ho to aur bhi khubsoorat lagne lagti ho "



aarti ne hairat se uthe sar uthakar dekha ..sahl ne kabhi uski tarif itne khule lafjo me nhi ki thi ...aur wo to kisi ki bhi sundarta ki tarif nhi karta tha.


aarti ko ab sahil ko chheden me mja aa rha tha .wo janti thi ki sahil use manane ki kosis kar rha h ..wo use satane ke liye fir kuchh nhi bolti ...


"aarti kuchh bolo na ..achchha i m sorry"



"sorry kis bat ki .galti to meri hi thi ..kuchh jyada hi haq samjh liya tha apna aap par....jane q sochati thi apni kasam dungi aur aap man loge mera kaha ..mai hu hi kaun aapki..apko kya fark padta h bhala"



''aarti plz ..aisa to mat kaho .... tumse jyada mai kisi ko "manta " hu kya ...tu to meri gudiya h ...tum janti ho m gusse me tha ..tumhe koi gandi najro dekhe le to mn karta h uski aankhe noch lo ..aur wo kamine ...jane do ..chhodo un sab bato ko ..achchha maf nhi karogi to koi saza de do ..plzz.."



aarti ko sahil ki bato par bahut pyr aa rha tha ..naraz to wo pahle se hi nhi thi qki wo janti thi sahil ne gusse me bol diya tha basss usko sataana tha ...jo wo hamesa karti ..sahil se apne naj uthwana use behad pasand tha ...bachpan se hi wo sahil par apna sabse jyada haq samjhti thi ...kis riste se ???? ye shayd use khud nhi pta tha ...lekin mama_ bhanji ke rishte se to nhi .


"m aapse q naraj hone lagi bhala "



"mujhe pta h tum naraz ho ..aur tum ye janti ho na ki mujhe kisi ko manane nhi aata...ab man bhi jao sorry bol rha hu na ..dekho kan pakdkar sorry "
sahil badi masumiyat se kano ko pakad leta h aur yachna bhri aankho se aarti ki or dekhne lagta h .


aarti ko hasi aa jati h aur wo muskura deti h .."thik h par aapko mujhe ice cream khilani padegi "



"abhi hajir h " sahil khus hota hua icecream wale ki taraf badh jata h .



thdi der bad dono icecream kha rhe hote h ..dono ek dusre ke sath baithe the lekin thodi doori thi unke bich me .


"mama ek bat puchhu"


"ha puchho "


"wo ladki bol rhi thi kisi sonam nam ki ladki ka aap pr crush tha ...kya usne aap ko propose kiya ???.fir kya aapne use mana kar diya "



"are chhodo wo to aise hi bol rhi thi "


"nhi mujhe batao "


"ha mana kar diya tha "

:kyu"


"kya matlab q ?? kya ladke kisi ladki ko mana nhi kar sakte "



"ha bilkul kar sakte hai ..par kuchh to vajah rhi hogi ...??"


"hmmm...wo meri type ki nhi thi "


"oh ooo...aapke type ki nhi thi ...dekhne me to itne bhole lagte ho ..aur ladkiyo ke type ka pta h aapko " aarti ko ek achcha point mil gya tha sahil ko chhedne ka .



"ab tu meri tang mat khich ..tuu mere pichhe pad gayi to maine uhi bol diya tha "



"achcha ..sorry...mama vaise aapki ki type ki ladki kaisi hogi ..matlab kis type ki ldaki aapko psand aayegi "



"tu kya bol rhi h ...kya meri sadi ho rhi h jo tu mujhse meri pasand na psand puchh rhi h " sahil ne harat se aankhe chaudi karte huye puchha .



plzz batao na ..mai kisi ko nhi bolungi ..promise ." aarti badi masoomiyat se bol deti h .



"'koi aisi ladki jo mera sath kabhi na chhode ...mai aaj kya hu kal kya ban paunga ...kya achieve kar paunga ya nhi kar paunga ..in sab bate se jise koi fark na pade .."
--sahil jaise sapno ki duniya me khio jata ha---



"aarti tujhe ek bat bolu.....pata nhi kaise log hote h jo kahte h ki ""break up"" ho gya ...fir kabhi kisi ur ke sath ""patch up"' ho gya ..yar pyar kya koi khel hai jisme har jeet ho ki ek bar har gye to fir se khelo aur jeet jao ..mujhe to ye lagta h ki jo sachha pya karte h wo ek dusre ko puri life pyar karte h chahe kabhi mile chahe na mile ..aur unka pyar kabhi nhi harta ..aur jisne pyar me dhokha de diya wo haar gya ...fie chahe kitni bar bhi pyar ka dawa kar le uska payr kabhi nhi jeet sakta ... pyar to ek bar hi ho saktta h aur usi ek bar me ya to wo haar kar hamesa ke liye mar jata h ya fir jeet kar amar ho jata h ...to fir log aisa q bolte h ?"'



Post Reply