Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
User avatar
sexy
Platinum Member
Posts: 4069
Joined: 30 Jul 2015 19:39

Re: Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

Unread post by sexy » 19 Oct 2015 14:45

Neeche mahfil jam chuki thi.. Kuchh der Ravi ka intjaar karne ke baad Aman ne wahin program jama liya.. Gilason ko khadkhadate ab kareeb aadha ghanta ho chuka tha.. Sharab ke nashe mein Rohan wo sab kuchh bolne laga tha jisko batane mein ab tak wo hichak raha tha...

"oh teri.. fir kya hua?" Aman jigyasu hokar aage jhuk gaya...

"chhodo yaar.. kyun time khota kar rahe ho.. I don't believe in all these foolish things.. ek sapne ko lekar itna serious aur emotional hone ki jarurat nahi hai.. " Shekhar superstitious kism ki baaton mein visvash nahi kar pa raha tha...


"poori baat toh sun le damroo... Rohan ne Shekhar ko daanta aur kahani sunane laga....

"koun damroo.. main.. ha ha ha...!" Shekhar jor jor se hansne laga...," Damroo.. ha ha ha!"

"tujhe nahi sun'ni na.. chal.. jakar saamne baith.. aur apna munh band rakh.. main maanta hoon.. aur mujhe sun'ni hain..." Aman aakar saamne wale sofe par Shekhar aur Rohan ke beech mein fans gaya.. Shekhar utha aur badbadata hua Saamne chala gaya," damroo.. ha ha ha!"

baatein abhi chal hi rahi thi ki Muskurate huye Ravi ne kamre mein pravesh kiya..," achchha.. akele akele..!"

Shekhar uske aate hi khada ho gaya," Saale Damroo! tu tha kahan pahle toh ye bata... unke pichhe gaya tha na?"

"bhai tu mere ko damroo kaise bol raha hai.. wo toh Rohan bolta hai..." Ravi ne uske paas baithte huye kaha...

"kyunki mere andar Rohan ka bhoot ghus aaya hai.. he he ha ha ho ho!" Shekhar ne Bhooton wali baat ka majak bana liya....

"chup kar oye jaleel insaan.. aisi baaton ko majak mein nahi lete.. kisi ke sath bhi kuchh bhi ho sakta hai..." Aman ne pyar se usko dutkara...

"kis ke sath kya ho gaya bhai? mujhe bhi toh bata do.." Ravi ne apna gilas uthaya aur sabke sath cheers kiya...

"wo baat baad mein shuru se shuru karenge.. ab sabko serious hokar sun'ni hain.. pahle tu bata.. mili bhi ya nahi.. sali ne nakhre bahut kiye the shuru shuru mein... main aisi nahi hoon.. main waisi nahi hoon.. ..." Aman ne apna anubhav sunaya....

Ravi ne chhati choudi karke apne collar upar kar liye," arey meri setting ho gayi hai.. !"

"arey... sach mein.. chal aa gale lag ja.. badhayi ho badhayi.." Aman ne khada hokar usko gale lagaya aur wapas Rohan ke paas baith gaya...

"par ye hain koun? aur tere paas kaise aayi.." Ravi ne poochha.....

"haan.. chal chhod yaar.. lambi kahani hai.. uske baare mein baad mein baat karenge... pahle Rohan bhai ki sunte hain.. chal bhai rohan.. ab sab ikatthe ho gaye hain.. Shuru se shuru karke aakhir tak suna de.. pahle bol raha hoon shekhar.. beech mein nahi bolega.. dekh le nahi toh...!" Aman shekhar ko chetawani si dete huye bola..

"nahi bolunga yaar... chalo sunao!" kahkar shekhar bhi Rohan ki aur dekhne laga....

Rohan ne kahani sunani shuru kar di.....

User avatar
sexy
Platinum Member
Posts: 4069
Joined: 30 Jul 2015 19:39

Re: Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

Unread post by sexy » 19 Oct 2015 14:45

" oh my God! matlab tumhare liye koyi ladki sadiyon se tadap rahi hai.. aaj tak!" Aman ne poori kahani sun'ne ke baad hi pratikriya di..," maine toh aisa sirf kahaniyon mein hi suna tha.. aaj pahli baar jeeta jaagta saboot dekh raha hoon..."

"abey ghonchoo! ye bhi toh kahani hi hai.." Nashe aur masti mein jhool rahe shekhar ne paneer ka tukda plate se uthakar uske munh par de mara...

"matlab? ... ye kahani hai rohan?" Aman ne Rohan ki aur achraj se dekha...

Rohan kuchh nahi bola.. pichhli baatein yaad karte karte uske chehre par pasina chhalak aaya tha.. Shareer mein rah rah kar anjaan si siharan si doud jati thi.... wah sir jhukaye baitha raha....

"arey yaar.. sapne kahaniyan hi toh hote hain.. sapne mein hi toh aati hai na wo.. aur jo kuchh jeete jaagte mein hua hai.. uske baare mein Nitin bhai theek hi kah raha hai.. wo jaroor uss buddhe aur loundiya ki sazish hai.. jaroor kisi mantra tantra ka sahara lekar iske sapne mein aa jati hogi... tu kya kahta hai Ravi?" Shekhar ne sabke liye ek ek paig aur bana diya.....

"sala! kutta! kamina.... 2 mahine se aise hi roni si soorat banaye huye hai.. kabhi mujhe dost nahi samjha... mujhe aaj tak kuchh bhi nahi bataya isne..!" ab tak chup chap gour se sari baatein sun raha Ravi utha aur Rohan ke paas baithkar uski chhati se lag gaya...," pahle kyun nahi bataya yaar... main chalta tumhare sath.. har jagah.. tune mujhe apna nahi mana yaar... mujhe apna nahi mana oye!"

"ab chup bhi kar yaar.. jara si chadhte hi shuru ho jata hai.." Rohan ne bhi uske gale lag kar uski kamar thapthapayi....

"aaj main uss tarah se shuru nahi hua hoon yaar.. kitna hansta tha tu.. kitni masti karte the hum dono.. par do mahine se tu pata nahi kaisa ho gaya hai.. na kahin ghoomne chalta.. na kabhi fone uthata.. aur milta bhi hai toh dilip kumar ki style mein.. main sochta toh tha ki kahin tera kuchh chakkar toh nahi chal gaya hai.. par ye toh maine sapne mein bhi nahi socha tha ki ye sara chakkar sapne ka hai... par ab chinta mat kar.. yahan Batala mein hi hai na wo...?" Ravi bhavuk hote huye bola...

"hummm.." Rohan ne hami bhari...

"usko dhoondhna hi hai na bus.. baki kaam toh tu kar lega?" Ravi ne poochha...

"sirf dhoondhna nahi hai yaar... usko wahan lekar bhi jana hai.. usi teele par.." Rohan ne sapast kiya...

"toh wo toh chal hi padegi na... jab tujhse itna pyar karti hai.. tere liye toh wo sari duniya ko chhod sakti hai bhai.. fir batala mein kya rakha hai? Purane teele par rahenge chalkar.. ek chhota sa makan bana lenge yahan..." Ravi ne apni bater jaisi moti aankhein Rohan ke saamne poori khol di....

"tujhse toh baat karna hi bekaar hai yaar.. bheje mein toh murgiyon ne ande de rakhe hain tere mein.. kuchh samajh mein toh aata nahi .. tere ko kya ghanta batata mein...." Rohan uski ool-jalool baatein sunkar jhalla utha...

"aise kyun bol raha hai yaar.. chal achchhe se ek baar aur suna de poori kahani.. iss baar mein jaruri baatein note karta rahoonga apni diary mein.. meri diary kahan gayi?" Ravi ne bholepan se kaha aur sabhi thahaka lagakar hans pade..

"tujhe kahani sun'ne ki koyi jarurat nahi hai.. aage ki sun le bus.. pahle Neeru ko dhoondhna hai.. fir uss'se dosti karni hai.. fir sari baatein usko batani hain aur usko apne sath ek baar purane teeley par chalne ke liye manana hai... samajh gaya! aur ab wahan makaan banane ki planning shuru mat karna.. wahan rahna nahi hai hamein..." Rohan ne khas khas baatein dohra di....

"Rahna nahi toh fir kyun chalna hai wahan.. kyun bechari bhabhi ko dara rahe ho yaar.." Ravi ke dimag mein ek aur sawaalon ka lattoo jagmaga utha...

"abey damroo.. wahin chalkar usko sab kuchh yaad aayega.. samjha.." Rohan ne gusse se kaha...

"oohh.. achchha...... theek hai...Ek minute.....par tujhe kaise pata ki usko wahin sab kuchh yaad aayega..." Ravi ne ek aur sawaal daga...

"khud Neeru ne hi bataya hai mujhe, sapne mein.... yaaar.." Rohan samjhate samjhate thak gaya....

"jab usko pata hi hai toh yaad dilane ki kya jarurat hai.. ? bus ye ek last baat aur clear kar de..."

"saale.. tere dimag mein chadh gayi hai daru.. yahan wali Neeru ko kuchh pata nahi hai... wo teeley par jo hai.. wo kayi janam pahle ki priya ka dil hai.. jo kahti hai ki main dev tha aur wo priya.. ham ek dusre se bahut pyar karte the.. iss janam mein Priya Neeru hai aur aur Dev Rohan.. yani ki main.. iss'se jyada mujhe kuchh nahi pata.. main sirf dekhna chahta hoon ki ye sab sach bhi hai ya nahi.. kal subah Neeru ko dhoondhne chalenge.. ab iske baad koyi sawaal kiya na toh... dekh le fir.." Rohan bolte bolte thak gaya....

"ek minute Rohan..maan lo tera sapna haqeekat hai.... shahar mein toh kayi Neeru ho sakti hain.. tu usko dhoondhega kaise...?"

"uska ghar govt. college ke paas hai.. wahin pata karenge koyi Neeru wahan hai bhi ya nahi...." Rohan ne jawab diya....

"Govt. college ke paas? wahan ka toh main abhi pata laga sakta hoon.. Actually Salma aur Sana wahin rahti hain...!"

Rohan aur Ravi ek sath bol pade," pata kar na yaar..!"

"haan.. abhi pata karo yaar.. pata chal jayega ki sapna haqeeqat hai ya fasana...!" Shekhar bhi utsuk hokar mobile nikal rahe Aman ki aur dekhne laga...

User avatar
sexy
Platinum Member
Posts: 4069
Joined: 30 Jul 2015 19:39

Re: Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

Unread post by sexy » 19 Oct 2015 14:46

Aman ne unke beech baithe baithe hi Salma ko call ki or speaker on kar liya.. kafi lambi bell jane ke baad Salma ne phone uthaya," Janu.. Ammi yahin par hain.. main upar jati hoon.. 5 minute baad fone karna" khusphusati huyi aawaj mein kahte huye Salma ne jhat se fone kaat diya..

"Ammi! Sana kahan hai?" Salma ne phone apni jeb mein daala aur kitchen se bahar aate huye boli..

"upar padh rahi hogi.. kyun?" Ammi ne kaam karte karte hi jawaab diya...

"maine doodh gas par rakh diya hai Ammi.. ek baar dekh lena.. main abhi aati hoon.." Salma ne seedhiyan chadhte huye kaha...

"kya kar rahi hai banno.. chal darwaja khol!" Salma ne upar jakar darwaja khatkhataya...

"kkuchh nahi.. wo padh rahi thi..!" Sana ne darwaja kholte huye kaha...

"theek hai... thodi der mujhe disturb mat karna.." Salma jakar bister par diwar ke sath sirhana lagakar baith gayi aur apna mobile nikal liya...," Aman ka fone aaya tha.. main uske paas call kar rahi hoon.. ek baar...!"

"main nahi jaaungi wahan.. aaj ke baad!" Sana ne uske paas baithte huye kaha...

"kyun? hua kya?" Salma ne hanste huye poochha...

"mujhe nahi achchha lagta ye sab.... hum dono.. chhhiiii !" Sana ne nischay sa karte huye bola...

"kyun.. ? pyar ho gaya kya uss'se?" Salma ne uski aankhon mein aankhein daalte huye poochha....

"Mujhe uss'se kya matlab? chhod.. mujhe neend aa rahi hai.." Sana ne kaha aur dusri aur karwat lekar late gayi.....

Salma kuchh pal usko ajeeb si nigahon se dekhti rahi.. tabhi Aman ki call dobara aa gayi...

"Aman.. tumhe pata hai? aaj tumhare dost ne hamein raaste mein rok liya tha....

"kisne? kab" Aman ne phone par aascharya aur gussa sa dikhate huye wahan sabki aur dekh kar batteesi nikali....

"mujhe naam nahi pata... par par pata nahi kaisi kaisi baatein kar raha tha.. hamne badi mushkil se pichha chhudwaya apna.."

" .. chal chhod abhi.. isko baad mein dekhenge.. mujhe tumse ek baat poochni hai..." Aman ne kaam ki baat karte huye kaha....

"humm.. bolo janu!" Salma ki tone achanak badal gayi....

"ye.. tumhare aaspaas koyi 'Neeru' naam ki ladki rahti hai kya?" Aman ne kaha...

"bade besharm ho tum.. mujhse kaam nahi chalta kya?" Salma ne aawaj mein gussa sa laate huye kaha...

"kyun? ladkiyan kya sirf isi kaam ke liye hoti hain..? tum batao na jaldi...." Aman chidta hua sa bola....

"hummmmmm... ok! kis age ki hai..?" Salma ne poochha...

Aman ne hath se ishara karke Rohan se age ka idea poochha.. aur Rohan ke 'na' mein gardan hilane par bola," yahi koyi.. tumhari umar ki hogi...!"

Salma ne apna dimag charon aur doudaya aur boli," Na.... hamari umar ki kya? mere khayal se toh kisi bhi umar ki ladki iss naam ki nahi hai yahan...!"

Salma ka jawaab sunkar Rohan ke Armaano par pani sa fir gaya.. ," pakka ye govt. college ke paas hi rahti hai na...!"

Salma ne uski aawaj sun li...," haan yaar.. kul milakar 40-50 ghar hi toh hain yahan.. sab ek dusre ko jaante hain... koyi iss naam ki nahi hai yahan par..."

"chal theek hai.. abhi rakhta hoon.. kal baat karoonga... ok! Bye" Aur Aman ne uski baat sune bina hi fone kaat diya...

"maine bola nahi tha.. sapne sapne hi hote hain yaar.. just chill and enjoy the life!" shekhar ne kaha....

Ab kisi ke paas bolne ko kuchh bacha nahi tha.. Rohan ne sofe par sir tikaya aur aankhein band kar li... wahan ekdum sannata sa pasar gaya....

Post Reply