Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story
Re: Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story
"Kya Poochh raha tha wo..?" Sana ne Salma ke fone kaat'te hi poochha...
" kisi ladki ke baare mein poochh raha tha Aman?"
salma ne bataya..
"Kis ladki ke baare mein...?" Sana ne uski aur karwat badal li....
"wo!.. pata nahi.. yaad nahi aa raha.. par apne liye nahi poochh raha tha.. kisi aur ne puchhwaya hoga.. par apni colony mein toh koyi Neeru... haan.. Neeru naam ki ladki poochh raha tha... apne yahan nahi hai na koyi...?" Salma ko bolte bolte naam yaad aa gaya...
"arey.. wo Sheenu.. jo kone wale bade se ghar mein rahti hai.. usi ka toh naam hai Neeru..!" Sana kahte kahte baith gayi...
"achchha! ... par tujhe kaise pata? usko yoh sab Sheenu hi kahte hain... wo toh bahut pyari hai yaar.. kiski kismat jaag gayi? ... na! .. mujhe nahi lagta ye baat hogi.. wo toh ghar se hi bahut kam nikalti hai.. aur ladkon ki aur toh dekhti tak nahi.. wo Neeru nahi hogi.. ya fir koyi dusri hi baat hogi.. iss chakkar mein toh katayi nahi poochha hoga aman ... pakka Neeru hi hai na wo?" Salma ne bolte bolte fone nikal liya....
"arey haan... pakka pata hai mujhe.. apni colony mein toh bus wahi ek Neeru hai.." Sana ne jor dekar kaha....
"theek hai.. ek minute.. main Aman ko bata doon.." kahkar Salma ne aman ka no. dial kar diya.....
Aman ne fone uthakar dekha aur wapas rakh diya....
"kya hua? kiski call hai?" Shekhar ne Aman ko call receive na karte dekh poochha...
"wahi yaar.. Salma.. ye ladkiyan paka deti hain fone kar kar ke.. nahi? kayi baar toh raat ke 2-2 baje fone karke poochhengi," kya kar rahe ho janu? ha ha ha..." Aman hanste hanste Rohan ka gamgeen sa chehra dekh kar chup ho gaya," toh kya ho gaya yaar...? ho jata hai.. tu itna senti kyun ho raha hai? tere ko ek se ek achchhi ladki mil jayegi.. time paas ke liye bhi aur permanent bhi.. kaho toh aaj hi bulaaun ek time paas.. mast ladki hai.. dekhte hi ghoonghroo bajenge dil mein..."
"haan.. bula le yaar..!" Ravi chahakte huye bola...
"Tera nahi bharega kabhi .. bol rohan! kya kahta hai..?" Shekhar ne Ravi ko dutkarte huye Rohan se poochha....
"Sona hai mujhe..!" Rohan ne itna hi kaha tha ki Aman ka fone fir baj utha...
"kya hai yaar? tumhe pata hai na ki aaj yaar dost aaye hain.. dobara fone mat karna.." Aman ne call receive karte hi kaha...
"Ek minute.. Ek Minute... wo Neeru hai ek hamari colony mein.. kya karna tha uska..? Salma ne kaha hi tha ki Aman aascharya aur khushi se uchhalta hua khada ho gaya," Whhhat? Neeru mil gayi?"
Aman ki pratikriya sun sabke chehre khil uthe.. aur wo sab bhi Aman ke sath khade ho gaye.. Rohan ka chehra apratyashit roop se chamak utha...
Salma uske aascharya ko samajh nahi payi," aisa kya ho gaya?"
"par pahle tumne mana kyun kar diya tha.. ?" aman ne uski na sunte huye apna sawaal kiya...
"wo yahan sab usko Sheenu kahte hain.. mujhe nahi pata tha ki uska asli naam Neeru hai.. abhi Sana ne bataya..." Salma ne apni baat poori bhi nahi ki thi ki Rohan ne Aman ke hath se fone chheen sa liya," kkkaisi hai wo.. matlab dikhne mein..?"
"koun ho tum?" aawaj badli dekh Salma ne poochha...
"Main.. Rohan!" Rohan ka kaleja uchhal raha tha.. bolte huye...
"kyun? Rishta aaya hai kya uska.. tumhare liye?" Salma ne serious hokar poochha...
"Nahi.. wo.. par..!" Rohan ki samajh mein nahi aa raha tha ki wo kya bole...
"Nahi? toh aisa karo uska khayal bhi apne dimag se nikal do.. wo aisi nahi hai.. bilkul alag type ki hai.. sari ladkiyon se alag.. tum samajh rahe ho na... wo kabhi kabhar hi ghar se nikalti hai.. seedhi college jati hai.. seedhi aati hai... ladkon ki taraf dekhti bhi nahi.. aur na hi kabhi unhe apne paas fatak'ne deti... wahan koshish karoge toh apna time hi barbaad karoge.. samajh gaye..?" Salma ne apni taraf se koyi kasar nahi chhodi.. Rohan ko samjhane mein...
"humm.. par dikhti kaisi hai? ye toh bata do..?" Rohan ka man ab bhi na mana...
"ladkiyan ladkon ke saamne dusri ladkiyon ki taareef nahi kiya karti.. khas tour se jab wo uss'se upar ho.. he he he.. all the best! Aman ko fone dena..." Salma ne kaha..
Rohan ne fone aman ko pakdaya aur sofe par jakar baith gaya... Aman ne fone lete hi kaan se laga liya," haan...!"
"kya maamla hai? meri toh kuchh samajh mein nahi aaya..." Salma ne Aman se kaha...
"tum iss baat ko chhodo.. tumhe mera ek kaam karna hoga..." Aman ne Salma se kaha..
"kya?" Salma ne poochha...
"Neeru ko batana hai ki uss'se koyi milne aaya hai.. aur ho sake toh usko bulakar lana hai..." Aman ne kaha....
"nahi yaar.. main bata toh rahi hoon.. bulakar lana toh door.. agar usske saamne iss tarah ki baat bhi kar di toh baat ghar tak pahunch jayegi..... main kuchh nahi kar sakti... sorry..!" Salma ne mayoos sa hokar kaha...
"sorry ka kya main aachar daaloonga ab!" Aman ne gussa hote huye fone kaat diya.....

"oye dekho oye.. mere yaar ke chehra kitne dino baad fir se khila hai... ab toh Neeru bhabhi ko yahan se lekar hi jayenge.. teele par.." Rohan ke chehre par khushi dekhkar Nashe ne Ravi ka suroor aur badha diya...
"par yaar, Salma ne toh saaf mana kar diya.. hum uss tak pahunchenge kaise? I mean.. baat kaise karenge.. waise bhi Salma bata rahi thi ki wo toh nihayat hi shareef ladki hai.. koyi na koyi toh link dhoondhna hi padega...!" Aman ne apne dimag par jor dete huye kaha...," Chalo chhodo.. ab aaram se so jao.. kal subah dekhenge..!"
"Aman bhai.. ek baar uska ghar poochh lete toh.. abhi jakar dekh aate...!" Rohan utawala sa ho gaya...
"kamal karta hai yaar.. raat ke 9:00 baje.. aur wo bhi aisi ladki jo bewajah bahar nikalti hi nahi.. tujhe ghar ke bahar milegi.. tujhe shakal dikhane ke liye..?" Aman ne apni baat jor dekar kahi....
"nahi wo... bus aise hi.. bahar se yunhi dekh aate..." Rohan ne apna sir khujate huye Shekhar aur Aman ko dekha....
"chalo bhai.. gadi bahar nikalo.. bhabhi ji ka ghar dekh kar aayenge... abhi ke abhi.." Nashe mein jhoomte huye Ravi khada ho gaya...
Shekhar ne bhi kandhe uchka diye toh Aman khada ho gaya," chalo fir.. bahar ki hawa khakar aate hain...
Gadi mein chalte huye Aman ne Salma ko fone kiya...," Salma!"
"ab kaise aa gayi meri yaad janu? Dost gaye kya?" Salma ne angdayi lete huye seedhe late kar kitab apni chhati par rakhi aur masti si karne lagi.. Sana paas hi baithi thi...
"mujhe thodi jaldi hai.. wo Neeru ke ghar ki location batana..?" Aman seedhe matlab ki baat par aa gaya...
"yahan aa rahe ho kya?" Salma khushi se uchhal padi...
"humm.. batao bhi.."
"hamara ghar yaad hai na?"
"haan...!"
"usi gali mein jab tum hamare ghar ki taraf aaoge toh jo chounk dusre no. par hai.. uss chounk ke upar hi unka ghar hai.. bada sa.. dark grey colour ka paint hai.. par abhi wahan jakar karoge kya?" Salma ne ghar batane ke baad sawaal kiya...
"ok, Bye thanx" Aman ne kaha aur fone kaat diya....
Chounk par jate hi Aman ko Salma ke bataye anusar ghar mil gaya.. do galiyon se lagte huye khoobsoorat 2 manjila ghar ke dono aur gate the..," Le bhai Rohan.. mil gaya Neeru ka ghar.. ab bol kya karna hai?" Aman ne gadi chounk se pahle hi rok di...
Neeru ka ghar milne ki baat sunte hi Rohan sihar sa gaya.. uski dhadkane badhne lagi.. usko man hi man aabhas hua jaise wo purane teele par khada hai aur Neeru door se usko pukar rahi hai.. Rohan ne ghar dekhte hi aankhein band kar li.. par Neeru ki uske dimag mein jo tasvir ubhari, wah shruti ki thi..," Wapas chalo..!" Rohan ke mathe par pasina chhalak aaya...
"ab kya hua?" Shekhar ne poochha...
"kuchh nahi.. bus ghar dekhna tha.. dekh liya.. chalo ab!" Rohan ne kaha aur Aman ne chounk se gadi ghuma di....

" kahan hai tu yaar? kal subah se tera phone try kar raha hoon.. phone off kyun kar rakha hai?" Nitn ke paas jaise hi Subah uthte hi Rohan ne Ravi ke no. se fone kiya toh wah khushi se jhoom utha...
"Wo.. fone kho gaya hai bhai.. maine aapko bataya toh tha ki main Ravi ke sath batala ja raha hoon.. wahin hoon main abhi..." Rohan ne jawab diya...
"haan.. bataya tha.. par Ravi ka no. mere paas kahan hai.. ghar bhi gaya tha.. wahan se bhi nahi mila.. tu pahle bhi toh fone kar sakta tha.. pata hai kitna pareshan hoon main tere liye.." Nitin ne dheeli aawaj mein Rohan ke liye fikarmand hone ka natak kiya...
"pata hai bhai! par yahan aane ke baad samay hi nahi mila.. abhi subah uthte hi sabse pahle aapko fone kiya hai... pata hai..." Rohan chahakti huyi aawaj mein bolne laga tha ki Nitin ne usko tok diya..," Sun.. Wo maine shruti se sab ugalwa liya hai.. darasal tere sapne ke pichhe aur koyi nahi.. wahi hai.. main uss tantrik se bhi mil aaya hoon, jisne uski madad ki.... tu apna waham chhod aur wapas aaja..!"
Nitin ki baat ne rohan ko jhatka sa diya.. wah boukhlata hua sa bola," par... ye kaise ho sakta hai...?"
Nitin ne ek baar fir usko beech mein hi rok diya," ho sakta hai nahi yaar.. yahi hua hai.. tu wapas aayega toh main tujhe sab samjha doonga... par yaar uski niyat galat nahi hai.. wo tujhse be-intaha pyar karti hai.. sach mein... tujh par jaan deti hai wo.. kal jab bol rahi toh bilakh bilakh kar ro rahi thi.. tumhare liye... ab tu jaldi wapas aakar uss'se mil le.. fir main ghar walon se baat kar loonga.. aa raha hai na.."
"par bhai.. mujhe yahan Neeru mil gayi hai.. aur jaisa mujhe sapna aaya tha.. theek usi jagah.. !" Rohan ki iss baat ne Nitin ke plan par jaise ghadon pani daal diya..," ye kaise ho sakta hai?" wah aascharya chakit toh hua hi tha....
"haan.. bhai.. bilkul usi jagah uska ghar hai.. ek baat aur bataoon.. mujhe sapne mein bhi aksar yahi ghar dikhayi deta tha.. ek dum ditto.. mujhe toh pasina aa gaya tha wo ghar dekha jab kal...!" Rohan ne apni baat poori ki...
"dikhne mein kaisi hai?" Nitin man masos kar bola...
"maine dekha nahi hai bhai.. par sab pata kar liya hai.. Uska naam Neeru hi hai.. par sab yahan usko Sheenu kahte hain.. bahut shareef ladki hai.. kabhi ghar se bahar nahi nikalti bewajah.. aur kahte hain ki bahut sunder bhi hai..." Kahte huye Rohan ki aankhein chamakne lagi....
"Dekh.. tu mujhe bhai kahta hai.. isiliye bade bhai ke naate samjha raha hoon.. abhi ke abhi wapas aa ja.. warna kisi bade pange mein fans jayega... Shruti kam sundar hai yaar? aur main dawa kar sakta hoon ki teri Neeru uss'se sunder nahi ho sakti.. tujhe itna pyar karti hai ki kya bataaon... aur uski Sharafat toh tu dekh hi chuka hai.. uska kusoor sirf itna hi hai ki wo tujhse paaglon ki tarah pyar karti hai.. bus kahne se sharma rahi thi....." Nitin apni baat ke paksh mein tark deta hi ja raha tha ki Rohan ne usko tok diya...," par bhai.. usne toh mujhe pahle kabhi dekha bhi nahi tha.. fir wo mujhse pyar kab karne lagi.. aur maan lo mujhe kahin dekha bhi hoga toh bina jane mere liye tantrik wantrik ke paas kyun jayegi.. bata..!"
Nitin ne inn baaton ka koyi jawab taiyaar nahi kiya tha.. uske man mein toh yahi tha ki Rohan ko koyi neeru milne wali nahi hai.. aur jaise hi usko wah batayega ki shruti hi wo sab kar rahi thi.. wah uss par visvas karke douda chala aayega wapas..
"tu aayega tabhi toh bataaunga na.. yahan fone par kaise samajhaoon.. bahut lamba maa'mla hai.. chal raha hai na aaj hi...?"
Rohan ki samajh mein kuchh nahi aa raha tha," main.. main tohdi der baad fone karta hoon bhai.."
"jaisi teri marji.. par main intjaar karoonga tere fone ka..." Nitin ne fone kata aur gusse aur hatasha mein bed par patak diya..," usko aaj fir Shruti se milne jana tha...
"kya hua bhai!" Rohan ke chehre par asamanjhas ke bhav dekhkar Ravi ne uss'se poochha...
"kya bataaun yaar.. kuchh samajh mein hi nahi aa raha" aur Rohan ne usko Nitin ke sath huyi poori baat ka sar suna diya....
"Ek baat boloon?" Ravi sanjeeda hokar bola....
"haan.. bolo na!" Rohan uski aur dekhne laga...
"dekh.. dil se bada kuchh nahi hota.. tu apne dil ki baat sun.. aur khud decide kar.. Nitin bhai ki baat maan bhi lein toh fir bhi ek sawaal ka jawaab toh nahi milta na!" Ravi ne kaha...
"wo kya?" Rohan ne gour se uski taraf dekha...
"wo ye ki agar maan bhi lein ki Shruti tumhare pyar mein ye sab totke karwa rahi thi.. toh wo apna naam Neeru kyun batati.. shruti na batati.. aur batala ka address kyun deti.. bol.. sochne ki baat hai ki nahi.. aur yahin batala mein hamein Neeru mil bhi gayi hai.. aur uska ghar.. sabse badi baat toh uska ghar milna hai.. jiske baare mein tune kal aakar batay tha ki tujhe sapne mein wahi ghar dikhayi deta tha.. isiliye tujhe darr kar pasina aa gaya..." Ravi ne baat poori karke kaha," ab bol.. kya kahta hai tera dil...?"
"Apna fone off kar de!" kahkar Rohan muskurane laga...," tujhmein itni akal aayi kahan se yaar.. maine toh ye sab socha hi nahi.. fone off kar de.. abhi hamein wahin chalna hai.. naha dho le...!"
"kahan chalna hai?" Ravi ne poochha...
"wahin yaar.. meri sasural.. teri bhabhi ko dekhkar aayenge aaj.. chahe poora din wahin beet jaye..." Rohan hansne laga.. uske chehre ki khoyi huyi rounak lout aayi thi...