love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip
Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip
UPDATE 46-
sahil apne room tak pahuchate pahuchate poori tarah se bhig gya tha ...darwaze par ek bar dastak dete hi aarti darwaaza kholti h mano wo usi ka wait kar rhi ho ...
aap bhig kaise gye ?"
wo thoda door nikal gya tha...barish suru ho gyi aur aate aate bhig gya " sahil ne dsuri taraf dekhte huye kahaa.
kya jaroorat thi door jane ki ...badal to dikh rhe the na aasman me ...sardi lag jayegi aapko ...aaiye andar au kapde bada lijiye ..." aarti ke man se mano sara bojh hat gya tha .ab wo sahil ke sath pure adhikar se bat kar rhi thi ...jaise koi premika apne premi ke sath ya koi patni apne pati ke sath karti hai ...lekin sahil abhi bhi us se nazre chura rha tha ..aarti aaj roj se jyada khili khili aur khus lg rhi thi aur uske chehre ki raunak ne uske sundarta me char chand lga diye the.
sahil andar se kapde badal kr aaakr sofe par baith jata hai..aarti hath me towel lekar uska sar se pani pochhane lagti hai ...sahil ko bahut sukoon mil rha tha aarti ko apne pas pakar ...aarti ke liye apne dil me basi chahat ko wo kabhi nahi nikal paya tha lekin jab bhi uske apne karib aate dekhta ya khud uske karib aane ki kosis karta ,aarti ke sitam use yad aa jate aur uske man me fir whi sawal aa jata
" aakhir meri galti kya thi ????????"
aarti bade pyar se sahil ke sar kko pochh rhi thi ...thodi der bad dono baith kar chai ki chuskiya le rhe the ...aarti T.V delh rhi thi aur sahil aarti ko ...aarti ne yellow colour ka full sleeve suit pahna hua tha aur ek bada sa dupaat uske vaksh sthal ko dhake huye tha ...kano me blue gereen jhumke aur gale me ek patli si neckless...sahil ne notice kiya ki aaj is 5 barso ke bad ki mulakat me pahli bar aarti ne ek chhoti si bindi apne mathe par lagayi thi ...aarti nazar lag jane ki had tak pyari lag rhi thi ...sahil uske saundarya me khoya hua sa ektak use hi nihare ja rha tha ...achanak aarti sahil ki or mudkar dekhti h aur sahil ko apni or takta pakar thodi nervous si ho jati h ....
"aise kya dekh rhe h???" aarti sharmate huye puchhati h ..barso bad aaj use sahi ki aankho me pyar nazar aaya tha ...
jwab dene ki bajay sahil jor se chhink deta h...aur fir bahut bari chhinke aati hai aur rat hote hote sahil ko tej bukhar aur common cold pure tarah se jakad chuka tha..
sahil halka phulka khana kha kar apne bed par let jata hai ..aarti bhi kha kar sahil ke pas aa jati ahi....sahil ko saans lene me thodi dikkat ho rhi thi aur fever ki vajah se sar dard bhi ho rha tha ...aarti sahil ki halat se bahut chintit ho jati h ...use sahil ko bhiga hua dekhakr hi aashanka ho gyi thi ki sahil ko sardi lag sakti h aur fir wo ek Dr ban ne wali thi to use itna knowledge to tha hi ..usne sahil ko kuchh medicine diya aur garam oil se sahil ke sar ki massaj karne lagi ..
sahil ki aankhe band thi aur aarti uske sirhane baithi uske sar ki masaj kar rhi thi ...
"mujhe thand lag rhi hai " sahil bolta hai .
barish fir se suru ho chuki thi aur is bar pahle se jayda tej thi ...tej tej hawaye bhi chal rhi thi .....aarti ne pahle hi kuchh kambal manga liye the ..use pta tha ki pahado par barish ke sath barf bari bhi ho jati hai aur fir thand lagti hai ...
aarti ne ek kambal lakar sahil ko udha diya aur fir se sahil ke sar dabane lagi ..
sahil kambal odhane ke bad bhi kaap rha tha lekin dusre kambal ke liye nhi bol rha tha ..use pta tha ki rat me aarti ko bhi kambal ki jaroorat padegi qki thand sach me lag rhi thi ..ha use fever ki vajah se thodi jyada lag rhi thi ...
sahil apne ghutano ko mod kar sar ki or kar leta hai ..arti samjh jati hai ki use abhi bhi thand lag rhi hai ...wo dusra kambal bhi la kar sahil ko udhane lagti hai ..
"nahi rahne do ...tum kya odhogi ???...mai thik hu ..itani bhi thand anhi hai ..."
"chup rahiye aap aur chup chap lete rahiye " aarti ki pyar bhari ghudaki use bahut achchhi lagi thi..bahut dino bad kisi ka itna apnepan se bhare hua pyar mila tha aur sahil kuchh fever ki vajah se aur kuchh aarti ki nazdiki ki vajah se usme khota ja rha tha ...sare shikwe gile mano kahi pichhe chhoot gaye the ..

UPDATE 47-
sahil chup ho jata hai aur aarti uske sar ki masaj karne lagti hai aur dhhere dheere uske balo me hath pherne lagti ahi...aarti ko lagta ahi ki sahil so gya ahi aur wo uthakar jane lagti hai ...
"thodi der aur karo na ..bahut sukoon mil rha hai "
sahil ki aavaj par aarti ke kadam whi rrok jate hai..aarti ki chre par khusi saf jhalak rhi thi ...barso bad sahil ne pyar se use apne liye kuchh karne ko kaha tha ..nhi to wo ya to khud sabkuchh kar rhi thi ya fir sahil majboori me use bolta ..lekin is bar aisa nhi tha ..
aarti dobara sahil ke pas baith jati hai aur is bar sahil ka sar apne god me rakhkar uske sar ko pyar se sahlane lagti hai aur fir si apni anguliya halki halki uske balo me fene lagti hai ...dono ke dilo me ek sukoon tha....ye lamha dono ko hi kuchh yad kara rha tha ...aise kitne hi lamhe jiye the dono ne lekin wo 5 sal pahle ki bat thi ...sahil ki aankho se aansu ki ek boond uske galo par chhalak jati hai ...aarti uske aansu dekhkar tadap utha ti hai ...wo apne hatho se uske aansu pochh deti hai ..
" nahi sahil plzz ab aur nahi ...plzz...meri khatir " aarti ki apni khd ki aavaz aansuo me bhigi si lag rhi thi
sahil ki aankhe abhi band thi par ab uska chehra ek dam shant tha ....aarti uske sar me hath fer rhi thi aur sahil dheere dheere need ke aagosh me sama rha tha ...
aarti ko sahil pr behad pyar aa rha tha ....usne apne chehre ko niche late huye sahil ke mathe par ek pyara sa chumban kar diya ...sahil abhi bhi purit arah se need me nahi thi ...lekin wo puri tarah se jagaa hua bhi nhi tha ..kuchh fever ki vajah se aur thodi need ki vajah se bhi ,,use thik se hosh na tha ..lekin aarti ke narm hotho ka sparsh use apne mathe par mahsoos hota hai aur usi kuchh soyi aur kuchh jagi huy si usi halat me wo aarti ko khich kar apni baho me bhar leta hai......
" kahaa chali gayi thi tum mujhe chhodkar ..hummm bolo ..kitna akela ho gya tha mai ..ab nahi jaogi na chhodka r ..ab meri baho me rahogi na ....." aarti sahil ki baho me puri tarah se samaa chuki thi ..wo janti thi ki sahil pure hosh me nahi hai lekin wo fir bhi sahil ko nhi rok rhi thi ...usne khud ko sahil ke baho me pighal jane ke liye chhod diya tha ...sahil ke jism ki garmi , baher hoti dhuandhar barish ,mausam me halki si thand , barso ki doori aur dher sara pyar - sab milkar aarti ko sahil ki baho me bikhar jane ko kah rhe the mano .
is pahle aari kuchh bolti sahil ne apne dahkte lab aarti ke narm mulayam aur najuk galo par rakh diye ..apne dilbar ki judai ke gam me taraste aarti ke pyase jism ko mano barso bad barish ki ek boond naseeb hogyi thi.

UPDATE 48-
sahil aarti se chipka hua uske gal par pyar se kiss kar leta hai..aarti ko aaj barso bad sukoon mil rha tha ...wo bhi sahil se chipak jati hai...sahil hosh me puri tarah se nhi tha kintu aarti ki nazdiki use mahsoos ho rhi thi ....
""mai akela bahut thak gya hu aarti ...bahut roya hu mai tumhare liye ....bahut si rate tumhari yad me ro ro ka r gujari hai maine... ab mujhe chhod ke mat jana ... mai tumhare bina jee nhi paunga aarti ...tumhe kisi aur ka hota nhi dekh paunga ...plzz mujhe mat chhod ke jana ....kabhi bhi mat chhod ke jana"" sahil aarti ke seene me sar chhupaye bole ja rha tha...
sahil aarti se whi bate bol rha tha jo uske dil me aarti ke liye thi ..jo wo rato ko uski tasweer se bola karta tha ...jo wo uske yad karke rote huye bola karta tha ....tabhi pure hosh me na hone ke bavjood whi bate wo aarti se kah rha tha ....sahil ki ek ek bat se uski tadap pta chal rhi thi ..aarti ka dil kirchi kirchi bikhar rha tha ...wo sahil ko kisi chhote bachche ki tarah apne seene se chipka leti hai ...
'nhi meri jaaan..tumhari aarti ab tumhe chhod kar kabhi nhi jayegi ...bahut door rh liye ham ekdusre se ...tumne meri raho me phool bichhaye aur maine har kadam par kante bichha diye tumhare liye ...lekin ab aur nhi ...chahe kisi ko bhi chhodana pad jaye , chahe kisi bhi had se gujarna pad jaye ..ab mujhe tumse koi zuda nhi kar payega...mai apne sona ko chhodkar kahi nhi jaungi " aarti sahil ke pure chehre ko choomne lagti hai aur jor se uske sar ko apne seene me bheech leti hai mano aaj use puri duniya se chura kar sirf apna banakar apne dil me chhupa lena chahti thi .
sahil aarti ke kamar par apne baju dalkar us se bikul chipak jata hai aur yuhi sar ko uske seene me chhupaye neend ke aagosh me chala jata hai ...aarti sahil ke mathe ko choom leti hai aur use khud me samete huye sone ki kosis me lag jati hai.
subah aarti ki neend pahle khulti hai ...sahil abhi bhi us se chipak kar soya hua tha ...aarti se chipka hua ..uski gale me bahe dalkar usko aise pakde huye mano ab use kabhi bhi khud se alag nhi hone dega , mano wo usne chhod diya to wo us se fir kahi door na chali jaye ...aarti ko sahil par bahut pyar aa rha tha ...wo puri tarah se sahil ki ho jana chahti thi lekin wo janti thi ki abhi is me kuchh samay lagega ....
sahil ne rat me jo kaha tha wo neend ki halat me kaha tha aur aarti chahati thi ki ek bar wo pure hosh me us se bol de ki maine tumhe maf kar diya aarti ...wo janti thi isme kuchh samay lagega lekin use bharosa ho chala tha ki ab wo din jyada door nhi h.