Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
User avatar
Fuck_Me
Platinum Member
Posts: 1107
Joined: 15 Aug 2015 09:05

Re: Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

Unread post by Fuck_Me » 18 Oct 2015 14:34

Update 6

Raat kareeb 2 bajkar 17 minute...... Rohan Darwaje par pairon ki aahat sunkar chounk gaya.. uski ummeed ko poori tarah pankh lagey bhi na the ki kamre mein roshni chha gayi.. hulki si narajgi jatati huyi Neeru uski aankhon mein aankhein daale usko ghoor rahi thi.. houle houle chalti huyi wo uske pairon ke paas aakar uske palang par baith gayi..

"ye koun hai?" Neeru ne jhukte huye dheere se nitin ki aur ishara karte huye poochha..

"Mera dost hai.. mere bhai jaisa hai.. kyun?" Rohan ne bhi usi ke andaj mein jawab diya..

"isko kyun lekar aaye..? maine akele aane ko bola tha na..?" narajgi ab bhi Neeru ki naak par baithi thi..

"kamaal karti ho? aisi khatarnaak jagah par akele.. jaan lene ka iraada tha kya?" Rohan ne lete lete hi jawab diya...

"jaan toh main tumhari loongi hi.. ek baar samay aane do" kahkar Neeru katil ada se muskurane lagi.. uski isi ada ka toh Rohan deewana tha," chalo theek hai.. tumhari ye baat maan leti hoon.. isko lekar aa jao.. par isko door hi khada kar dena.. mujhe tumse jaroori baatein karni hain.. jane kab se tumhare liye tadap rahi hoon.. tumhe toh ahsaas bhi nahi hoga, meri mohabbat ka.."

"tumhari yahi baat meri samajh mein nahi aa rahi.. kahti ho mujhse pyar karti ho.. par aaj tak kabhi chhoone ki ijajat nahi di.. main bhi tumhare liye pagal ho chala hoon.. pls ek baar.. ek baar mujhe tumhe chhoo kar mahsoos kar lene do.. kitni pyari ho tum.. tumhare liye main yahan tak bhi aa gaya.. ek baar mere aagosh mein aa jao na.. pls!" Rohan uske shareer se utsarjit ho rahi youvan bayar ko apne andar tak mahsoos karne ko tadap utha...

"main bhi toh utni hi tadap rahi hoon dev! tumhe kya pata, mera ek ek pal kaise beet'ta hai.. uss pal ke liye jab main aur tum 'hum' honge.. ye faasle kitna tadpate hain, mujhse jyada koun samjhega.. bus intzaar karo... " Neeru ki aankhon se uske liye be-inthaa jajbaat jhalak rahe the...

"kitni baar bataaun ki main Rohan hoon.. agar tum kisi dev ke dhokhe mein mere pichhe padi ho toh maafi chahta hoon.. par fir bhi yahi kahoonga ki ab main tumhare bina rah nahi paaunga.. tumhare pyar mein jane.... tumne mujhe pagal sa kar diya hai.."

"duniya ke liye tum chahe kuchh bhi ho.. par mere liye toh mere dev hi ho.. mujhe tumhara yahi naam achchha lagta hai.. main toh yahi kahoongi.." Aankhon mein gahri pyaas aur madak ahsaas liye Neeru uski aur taktaki lagakar dekhti rahi...
"tum mujhe poori tarah pagal bana kar hi chhodogi.. mujh Rohan ko tum dev kahti ho aur apna naam Neeru bata rahi ho jabki tumhare pitaji tumhe shruti kahte hain.. main kya samjhoon aur kya nahi.." Rohan naam ke chakkar se abhi tak bhi nikal nahi paya tha..

"wahan aaoge toh sab samajh aa jayega.. ab yahan main tumhe kya bataaun?" Neeru ne bebas najron se usko dekhte huye kaha..

"Ajeeb ladki ho.. yahan mere saamne baithi ho.. uss waqt najar utha kar bhi tumne nahi dekha.. aur ab ye chhoti si baat batane ke liye mujhe wahan bula rahi ho.. itni khatarnaak aur darawani jagah maine aaj tak nahi dekhi.. pata hai.. ?" Rohan ke chehre par uss ajeebogareeb jagah ki darawani yadon ki tees chha gayi..

"kya? tum wahan gaye the? par maine tumhe 12 baje ke baad aane ko kaha tha na.. ruke kyun nahi wahan par..." Neeru adheer hote huye boli...

" kaise rukte..hum wahan gaye toh hamein wahan ek bachcha mila.. itna khoufnaak manjar tha ki meri toh jaan hi nikal gayi hoti.. aur tumhe pata bhi hai.. wahan bhoot rahte hain.. tumhare pitaji ne hi bataya tha.." Rohan ne spast kiya...

"asamay gujar chuke logon ko bhoot kahkar unka majak na banao dev.. tumhe ham... unki peedaaon ka ahsaas nahi hai.. har pal kis vedna aur dard ki bhatthi mein tapte rahna padta hai.. ye tumhe kya maloom.. tum toh aajad ho.. kahin bhi aa ja sakte ho.. par wo har tarah se ek dayre mein bandhe hain.. harpal usi dardnaak manjar ko aankhon mein liye tadapte rahte hain.. jis ghadi jindagi ne badi kroorta se unke sir se apna hath hata liya.. wo har pal isi intzaar mein rahte hain ki kab koyi rahnuma aayega aur unko wahan se, uss jahannum se mukti dilayega.. Aa jao na dev.. sirf ek baar aa jao.. main har pal tumhara intjaar karti hoon.. ek baar wahan aa jao meri jaan.. mujhe jahnnum se nikal kar jannat mein le chalo.." Neeru bolte bolte bhawuk hokar gidgidane si lagi..

"aise kyun kar rahi ho.. mujhse tumhari ye bechaini dekhi nahi jati.. par aisa kya hai jo yahan nahi bata sakti.. wahin jana kyun jaroori hai Neeru..?"

"wahan jana jaroori nahi hai dev.. par mujhe darr hai.. maine yahan bata diya toh tum wahan shayad kabhi nahi aaoge.." Mayoos Neeru ki aankhon se aansoo chhalak uthhe..

"iska matlab tumhe mere pyar par bharosa nahi hai.. iska matlab kuchh aisa jaroor hai jo tum mujhse chhipa rahi ho.. jab tum mujh par vishvas nahi karti toh main tum par kyun karoon..?" Rohan baat jaan'ne ko lalayit lag raha tha..

"tumhare andar ke Dev par mujhe poora visvas hai.. par bahar ke Rohan par nahi.. waqt jaane kitni karwatein badalta hai.. iss darmiyan jaane tum kitni baar badle hoge.. main isiliye darr rahi hoon.." Neeru apna hath badhakar uske chehre ko chhoone ko huyi par kuchh yaad aate hi turant wapas kheech liya...

"dekho Neeru ya shruti, tum jo bhi ho.. tumne apne pyar mein toh mujhe pagal kar hi diya hai.. ab asliyat mein pagal hona nahi chahta.. paheliyan mat bujhao.. par itna jaan lo ki jab tak tum mujhe sab kuchh sach sach nahi batati, main wahan wapas nahi jaaunga.. hargij nahi.." Rohan ne do took jawab diya..

"aisa kyun kah rahe ho dev.. kya main yunhi tadapti rahoongi..? tum meri baat samajhte kyun nahi ho.. aa jao na pls..." Neeru ki halat dayneey ho chali thi..
"main toh sab samajh raha hoon.. agar samajhta nahi toh yahan tak aata hi kyun.. achchha chalo.. main wada karta hoon ki agar tum abhi sab kuchh bata doge toh tum jahan kahogi, wahan aane ke liye taiyaar hoon.."

kuchh der sochte rahne ke baad Neeru boli," ye Rohan ka wada hai ya fir Dev ka.."
Rohan jhalla utha..," kya hai yaar.. dev.. rohan.. dono ka wada raha.. Dev ka bhi.. aur Rohan ka bhi.. ab toh bata do..."

"soch lo.. dev ke wade sooli par jakar bhi nahi toot'te.." Neeru ko kuchh ummeed si bandhi..

"humm.. soch liya... wada raha.. Dev ka!" Rohan ne kahte huye apna hath badhaya par Neeru ki taraf se koyi pratikriya na mili....

Neeru ne lambi saans chhodte huye chhat ki aur dekha.. aur achanak hi bolna shuru kar diya..," Wo bachcha.. jiski tum baat kar rahe ho.. mera chhota bhai hai..

"kyaaaa?" Rohan Neeru ki iss baat ko pacha nahi paya aur neend mein hi andar tak kaanp gaya.. hadbada kar lagbhag cheekhte huye wah uth baitha.. cheekh ke sath hi Nitin ek pal mein hi uth kar palang se khada ho gaya..," kya hua?"

"ye.. ye light kyun band kar di.. Neeru kahan gayi.." Rohan ka sir chakra raha tha.. band aankhon mein jahan usko ujala hi ujala dikh raha tha.. aankhein kholte hi.. andhere ke siva usko kuchh najar na aaya.. wahan toh pahle se hi andhera tha.. ujaala toh sapne mein Neeru sath lekar aayi thi...

To be continued...
.......................................

A woman is like a tea bag - you can't tell how strong she is until you put her in hot water.

User avatar
Fuck_Me
Platinum Member
Posts: 1107
Joined: 15 Aug 2015 09:05

Re: Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

Unread post by Fuck_Me » 18 Oct 2015 14:35

Update 7

"Neeru, Yahan? saale tu pagal ho gaya hai kya? sapna dekh raha tha ya?" Nitin ne Rohan ko kandhe se pakad kar hila diya...

Rohan ne jaise taise khud ko sambhala," haan bhai.. sapna hi tha.. sorry.. so ja.."

"Ab thodi bahut raat bachi hai.. usmein toh chain se so lene de tu.. kya ho gaya hai tujhe.. bata na.. tu khulkar kyun nahi batata..?" Nitin ne uske kandhe par hath rakh kar pyar se poochha...

"kuchh nahi yaar, so ja.. subah baat karenge..!" Kahte huye rohan munh dhak kar late gaya..

"dekh.. koyi baat man mein nahi rakhni chahiye.. ganth ban jati hai.. aur fir mujhse chhipa kar tujhe milega kya? baki teri marzi hai.. subah ka intjaar karoonga.." Nitin ne kaha aur dusri aur karwat lekar so gaya...

Rohan ki samajh mein kuchh nahi aa raha tha.. pichhle kareeb 2 mahine se uski raaton ki neend aur din ka chain haram tha.. karan Neeru hi thi.. har raat ko wo uske sapno mein aati aur din bhar wo uske sapno mein khoya rahta.. jindagi achanak kitni badal gayi thi uski.. hamesha mast kalandar ki tarah jeene wala rohan shuru shuru mein toh inn sapno ka anand leta aur raat ko uske paas aakar usko pukar rahi iss haseena ke baare mein din bhar soch kar aanandit hota rahta.. Nitin ki baat sach hi thi.. Neeru ke jitni pyari ladki usne bhi aaj tak nahi dekhi thi.. par jald hi ye anand bechaini mein aur fir wo bechaini ek anjaane se lagaav mein badal gayi.. aakhir yahi ladki roj uske sapno mein kyun aati hai.. kya rishta hai iss ladki ka uske sath.. ladki ka sirf sapne mein aana bhar hi hota toh baat alag thi.. par wo toh usko dono ke pyar ki duhayi deti thi.. apne paas bulati thi.. sapne mein uski aawaj yun lagti thi jaise kisi gahri khayi se bol rahi ho.. ruk ruk kar kahi gayi uski baatein pratidhwanit hokar baar baar uske kaanon mein goonjti rahti thi.. raat bhar.. din bhar...

apne mast andaj ka malik Rohan doston mein uske hansi majak aur ladkiyon ko bahv na dene ke karan hamesha chhaya rahta tha.. par achanak hi wo gumsum sa rahne laga.. poochhne ki koshish bahuton ne ki.. par batata bhi toh kya batata Rohan.. ant mein jab uski bechaini aur apne aapko Neeru kahne wali ladki ke prati uska lagaav charam ko paar kar gaya toh usne ek baar uske paas jaane ki than li.. par Neeru ki ek shart ne usko Nitin ka sahara lene par majboor kar diya.. ek toh sirf raat ko hi mil pane ki bebasi aur dusra uske paas aane ke liye bataye gaye raaste ki geography..

Nitin uske sabse najdeeki doston mein se ek tha.. wo agyaat jagah par jane, ghumne firne aur beehad aur door daraj ke ilaakon mein jakar wahan ke logon ki din charya jaan'ne ka shoukeen tha.. infact, adventure uski life ka ek hissa tha...

Rohan ne Nitin ko ek kahani banakar sunayi.. usko yakeen tha agar sapne wali baat usko batayega toh sath dena toh door.. ulta doston kein uski kirkiri karne mein bhi kasar nahi chhodega.. usne Nitin ko bataya ki bahut pahle ek ladki se wo mila tha aur ab usko pata chala hai ki wo ladki uss'se be-intha pyar karti hai.. aur usko milne ke liye bula rahi hai.. pahle pahal toh Nitin ne usko inn khamkha ke chakkaron se door rahne ki hidayat dekar saaf mana kar diya.. par jab usko kayi dino tak lagataar Rohan ka chehra utra hua dikhayi diya toh ek din usne khud hi Rohan ko tok diya," kahan hai wo ladki.. chal mila lata hoon.."

"yaar.. unka ghar gaanv se door hai.. kafi aage chalkar.. " Rohan iss baat ko kha gaya ki ladki ne usko bataya tha ki usko kafi door paidal chalna padega....

"achchha.. fat'ti hai teri.. isiliye mujhko bola.. hai na.. nahi toh tu mujhe batata bhi nahi ki tu Majnoo ban gaya hai aajkal..." Nitin ne majak kiya...

"kuchh bhi samajh le yaar.. par mujhe uss'se ek baar milkar aana hai...!"

"hummm.. chal fir kal hi chalte hain..!" Nitin taiyaar ho gaya uske sath jane ko...

aur wo kal 'aaj raat' hi thi...
---------------------------------------
par jo kuchh bhi aaj raat ko unhone dekha.. usne uski vyakulta kam karne ki bajay aur badha di.. khas tour se tab, jab usne sapno mein roj aane wali ladki ko saakshat apni najron ke saamne dekha.. Shruti ke roop mein.. uss waqt tak toh teeley se wapas aate huye wah yahi soch raha tha ki ye sab mehaj uske dimag ke feetoor ke alawa kuchh nahi tha.. par ab; ab toh wo katayi aisa nahi soch sakta tha.. uske sapno ki rani yatharth bankar uss'se rubaroo ho chuki thi.. bhale hi uska andaaj berukha raha ho.. bhale hi uska naam shruti raha ho.. kuchh na kuchh toh baat jaroor hai.. warna isi gaanv ki ladki uske sapne mein kyun aati...

par ab.. aaj raat ke sapne ko wo kaise le.. kahin 'Neeru' sach mein koyi bhoot toh nahi.. usne teeley par milne wale bachche ko 'apna bhai bataya.. chakkar kya hai.. aur fir bhoot toh daraate hain.. pyar thode hi karte hain.. fir bhoot bhi maane toh kaise maane.. ladki toh uske saamne thi hi.. Rohan ko lag raha tha jaise wo bhi uss ladki ke pyar mein buri tarah jakda ja chuka ho.. wo fir se usko apne sapne mein lana chahta tha.. apne anginat sawaalon ke jawab lene ke liye.. uss'se uska sambandh kya hai.. ye jaan'ne ke liye... isi udhedbun mein wo kab kho gaya aur kab khud ko neeru batane wali shruti fir uske sapne mein aa gayi usko pata hi nahi chala...

"kya ho gaya tha.. tum chale kyun gaye the, beech mein hi.." Neeru wahin baithi thi.. uske pairon ke paas..

"main kahan gaya tha.. chali toh tum gayi thi.. mere sapne se.." Rohan neend mein badbadaya...

"haan.. magar sapna toh tumhara hi tha na.. tumne wo tod diya.. mujhe jana pada..!"

"tum sapne mein hi kyun aati ho..? uthkar aa jao na.. barabar wale kamre mein hi toh ho..." Rohan ne jawab diya...

Neeru ne yahin par usko sab kuchh batane ka iraada kar liya tha.. uske Dev ne wada jo kiya tha.. iss janam mein uska sath dene ka... " samajhne ki koshish karo dev.. main wo nahi hoon.. jo tum samajh rahe ho.. wo toh shruti hi hai jise tum apne saamne baithi dekh rahe ho.... main Dev ki priyadarshini hoon.. aur iss janam ke tumhari Neeru.."

Rohan kisi tarah apne aap par kabu paye raha.. usko sab kuchh jaan lena tha.. aaj hi,"matlab hamara pichhle janam ka koyi sambandh hai?"

"pichhle janam ka nahi.. pichhle kayi janmo ka.. Priyadarishini ke har janam mein maine tumhara intjaar kiya.. par main tumhe isi janam mein dhoondh saki.." Neeru ne jawab diya..

"par tum mujhe pahle bhi toh dhoondh sakti thi.. matlab pichhle janmon mein.." Rohan ne tark diya...

"haan.. aur maine bahut dhoondha bhi.. par meri ek seema hai... hum ek daire se bahar nahi nikal sakte.. 2 mahine pahle tum iss gaanv ke paas se gujre.. aur maine tumhe pahchan liya.. tab se main iss baat ka intjaar kar rahi hoon ki tum kab aaoge mere paas.. matlab Neeru ke paas.. kab hamara milan hoga.. isi wajah se maine iss ghar mein rahne wali ladki ka roop churaya.. taki tumhe iske aakarshan mein bandh kar apne paas la sakoon... kyunki iss'se sundar koyi aur ladki mujhe aaspaas dikhayi nahi di.." Neeru lagataar bol rahi thi ki Rohan ne usko tok diya..

"par agar tum aatma ho toh hum kaise mil sakte hain.. batao.."

"nahi main aatma nahi hoon.. main bhi janam le chuki hoon.. kayi baar.. iss baar bhi.. Neeru ke roop mein.. sirf uska dil uss locket mein atak kar wahin mahal mein hi rah gaya tha jo Dev ne Priyadarshani ko diya tha.. yani tumne mujhe.. pyar ki pahli aur aakhiri nishani ke roop mein.."

"ye locket ka kya chakkar hai?" Rohan ne usko fir toka..

"wo ek lambi kahani hai.. hamare pyar ki.. hamare milne ki aur milan poora hone se pahle hi hamari judayi ki.. kabhi fursat mein bataaungi.." Neeru ab uska jawab sun'ne ko utaawali thi...

Rohan ko kuchh kuchh palle pad raha tha.. par bahut kuchh nahi," aur ab asli Neeru ko koun dhoondhega? kahan kahan bhatkoon main.. aur kyun bhatakoon?"

To be continued...
.......................................

A woman is like a tea bag - you can't tell how strong she is until you put her in hot water.

User avatar
Fuck_Me
Platinum Member
Posts: 1107
Joined: 15 Aug 2015 09:05

Re: Horror Story Dead Never Lie ~ A Love Story

Unread post by Fuck_Me » 18 Oct 2015 14:35

Update 8

"tumhe bhatakne ki jarurat nahi hai.. har janam mein wo mere sampark mein rahi hai.. aakhir main bhi uska hissa hoon.. Amritsar se 50 km door Batala kasbe mein rahti hai wo.. Govt. college ke aaspaas ghar hai uska...mujhe iss baat par garv hai ki har janam mein wo anjaane mein hi sahi par kunwari hi rahi.. tumhare alawa maine kisi ke baare mein socha tak nahi Dev.. tumhare alawa mujhe koyi chhoo bhi nahi paya.." Neeru ka gala bhar aaya..

"oh.. aur main..?" Rohan ko uski ajeeb magar meethi si kahani mein maja aane laga tha...

"tumhara mujhe nahi pata.. aur iss janam ki toh tum khud hi jaan'te hoge..." Neeru ne usko pyar se dekhte huye kaha...

"toh kya wo mujhe dekhte hi pahchan legi..?" Rohan ke man mein sawaalon ki jhadi lagi huyi thi....

"bus yahi ek samasya hai.. uske liye tumhe usko wahin lana hoga.. mahal mein.." Neeru ke chehre par udasi chha gayi..

"ab ye mahal ka kya chakkar hai?" sawaalon mein se hi itne sawaal nikal rahe the ki purane sawaal Rohan bhoolta ja raha tha...

"jahan tum gaye the.. wahan ek peepal ka ped hai.. uske neeche hi hamara mahal hai.. tumhe Neeru ko wahin lekar aana hoga.."

"ek minute.. ek minute.. jo ladki mujhe jaanti nahi, pahchanti nahi.. usko main kaise la sakta hoon.. aur wo bhi aisi jagah par jahan ke bachche bhi itne khatarnaak hain.." Rohan ka sir chakra gaya..

"iska jawaab mere paas nahi hai.. par agar tum uske dil mein pyar jagaoge toh wo aa sakti hai.. tumhare sath.. tumhe uska pyar bhi jeetna hoga aur bharosa bhi... ye kaam tumhe apne tareeke se karna hoga...."

" Mujhe nahi pata ki ladkiyon ka dil kaise jeet'te hain.. iss maamle mein ekdum anadi hoon... tum hi kuchh batao!" Rohan ki samajh mein kuchh nahi aa raha tha..

"tum jab Dev the, tab bhi aise hi the.. sharmile aur jhenpoo.. par tumhe kuchh na kuchh toh karna hi hoga..." Neeru apne Dev ki yadon mein khokar muskurane lagi....
" sorry Neeru.. ye sab main nahi kar sakta.. kisi anjaan ladki se maine aaj tak baat bhi nahi ki hai.. aur tum usko yahan lane ko kah rahi ho.. ye nahi ho sakta.. aur fir usko bhi raat ko hi lana hoga.. hai na?"

"haan Dev.. ye meri majboori hai.."

"shit.. never possible.. aisa kabhi nahi ho sakta.. aur fir tum hi batao.. main tumhari baaton par kyun visvas karoon.. aur visvas kar bhi loon toh main itni badi tension mol kyun loon..? ye jaan'ne ke baad ki tum koyi bhatakti huyi aatma ho; mere dil mein tumhare liye sahanubhuti ke alawa kuchh nahi hai.. par fir bhi main maafi chahta hoon.. meri jindagi se nikal jao.. tumne meri hansti khelti jindagi barbaad kar di hai.. main pagal sa ho gaya hoon.. tumhari baat ko sach maan bhi loon toh mujhe ab kuchh yaad nahi hai.. fir main toh kisi bhi ladki se pyar kar sakta hoon.. shadi kar sakta hoon.. sach boloon toh main subah Shruti ke papa se apne rishte ke baare mein baat karna chahta hoon.. maine apni jindagi mein isi ladki ke sapne dekhe hain, jiska chola pahne abhi tum mere saamne baithi ho.. mujhe iss'se pyar ho gaya hai.. toh kyun na main Neeru ke aage pichhe bewajah chakkar lagane ki bajay shruti par hi dore daal loon..? pls.. mera pichha chhod do.. aaj ke baad meri jindagi mein mat aana.. main tang aa gaya hoon tumhari baatein sunkar... main aur kuchh jaan'na nahi chahta.." Rohan ne seedhe aur nirdayi shabdon mein apni baat kah di...

Neeru ka chehra safed pad gaya.. Rohan ko iss baar pakar bhi kho dene ke bhay aur gusse ke wo kaanpne si lagi," Dev.. tumhare wade ka kya hoga..?" Neeru ke munh se kahte hi siski si nikli...

"bhad mein gaya wada.. i dont care.. mujhe marna nahi hai abhi.. jeena hai.. apne liye.. ghar waalon ke liye..!"

Neeru khadi ho gayi," theek hai Dev.. main ja rahi hoon.. aainda kabhi nahi aaungi.. maine toh ye sochkar tumhe kabhi khud ko hath bhi nahi lagane diya ki mere dwara dharan ki gayi deh kisi aur ki hai.. usko hath lagwakar main tumhe dushit karke khud ko paap ka bhagi nahi banana chahti thi.. agar tumhe yahi pasand hai toh lo, noch daalo abhi isko, kar lo apni hawas poori..." kahte huye Neeru ne gusse se apna gale se pakad kar apna kameej kheench kar taar taar kar dala.. Shruti bani Neeru ardhnagn awastha mein najrein jhukayein siskiyan le rahi thi..

Rohan ki aankhein sharm se jhuk gayi.. Usko yun najrein jhukaye dekh Neeru ne khade khade hi bolna shuru kar diya," kash tumhe ahsaas karwa sakti ki tum kya the, kash tumhe Dev aur Priyadarshini ki mohabbat se rubaroo karwa pati.. tumhe Dev ke waade ki keemat ka ahsaas hota toh tum kabhi aisa na kahte, jaan par khel jate apni Neeru ko apne gale se lagakar usko kum se kum iss janam mein poorn nari banane ke liye.. beshak uske paas priyadarshini ka dil nahi.. fir bhi usne Dev ko kiya wada har janam mein nibhaya hai.. beshak wo tumhara intjaar nahi karti.. par kisi ka bhi intjaar nahi karti wo.. iss janam mein bhi aise hi jayegi.. aur mera kya hai? kash mujhe tumhare diye gaye locket se bhi utni hi mohabbat na hoti jitni ki tumse hai.. toh meri aatma mere dil ko bhi sath lekar nikal jati.. yun na tadapta rahna padta mujhe.. janam janam tumhare aane ke intzaar mein... " Neeru ne bharbharate gale se kaha aur chupchap siskiyan leti uske sapne se gayab ho gayi.....

To be Continued...
.......................................

A woman is like a tea bag - you can't tell how strong she is until you put her in hot water.

Post Reply