love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip
Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip
UPDATE 61-
Sahil kamre ke bahar hi rook jata hai ...aarti ki baten sun ne lagta hai ...
" yar tumhari bat sahi hai ...lekin jaroori to nahi ki har wo sapna jo insan dekhe wo pura hi ho jaye " aarti ko itna seriously bat karte huye dekhakr sahil aur dhyan se uski baten sun ne lagta hai ...use lag rha tha ki wo shayad galat kar rha hai..aarti ki baten chhupkar sun na galat tha ...lekin wo ye bhi jan ta tha ki bat kuchh aisi hai jo aarti us se nhi batana chahti thi aur us bat ne aarti ko behad disturb bhi kar rkha tha ...ab itni vajah kafi thi sahil ke liye uski baten chori se sun ne ko ..agar ye galat tha to galat hi sahi...wo aarti ke liye kuchh bhi kar sakta tha.
" nhi aditi ,,,mera sapna to MBBS ban ne ka hi hai ..lekin har sapna pura ho jaye ye jaroori to nhi ...kal maine mummy papa ki baten suni thi ..wo dono chahte hai ki mai BDS me admission le lu...aur mai kya karu unhe manaa bhi nhi kar paa rhi ...kyuki mujhe khud bhi confidence nhi hai ki mai entrance clear kar paungi ...mujhe chemistry bilkul nhi aati ...ab agr mai admission na bhi lu to bhi mai next year MBBS nhi qualify kar paungi ..."'
"nhi yar , puri life ye pachhtawa rah jayega ki mera sapna sapna hi rah gya ...lekin mai kuchh nhi kar sakti ...mummy papa bhi mujhe jyada time nhi denge mai janti hu ...aur maine khud ko parakh liya hai ...chemistry mujhe bikul nhi aati aur botany bhi jyada samjh me nhi aati ..ab do subjects ke bina mai kaise entrance nikal paungi"
“ ab mai kya kar sakti hu ..coaching kar ke bhi dekh liya …mere basics hi nhi clear hai..tujhe to pata hai ki ghar par bhi koi guide karne wal nhi hai aur chemistry to mera weak point rha hai …kya karu ..papa ko nhi bol sakti jab mai khud hi confident nhi hu “’
Aarti ne thodi der aur baten ki aur fir phone rakh diya…sahil apne kamre me wapas aa gya …aarti ki baton se saf jahir tha ki wo kitni disturb thi ..aur use apne sapne ke tutne ka dukh bhi tha ..sahil ne apne man me kuchh nischay kiya aur fir subah didi jeeja se direct bat karne ki sochne laga.
Dusre din sahil jaldi hi fresh hokar niche aaya..jeeja news paper padh rhe the aur didi kitchen me thi ..sahil bhi jeeja ke pas aakr baith gya ..
"Aur sale saha …kab shift karne ki sochr rho ho “ jeeja ne ek nazar us par dali aur fir newspaper dekhte huye bole .
“ wo jeeja mai....... kuchh bat karna tha aap se”
“ ha ha bolo” jeeja ne paper ek taraf rakhte huye kaha.
Aur sahil ne aarti ki suni huyi sari bat unhe bata di .
“ ab yar hamara man to yhi hai ki wo admission le le…aakhir kab tak taiyari karegi …fir clear karne ke bad bhi 4-5 sal padhna hota hai…ladki hai …shadi byah ka bhi dekhna padta hai “
“jeeja aap ki bat thik hai …lekin kya aap ko nhi lagta ki use uska sapna pura karne ke liye pura samay milne chahiye…ab wo ladki hai to isme uski kya galti …aur agar aap logo ne uspar jor dala to wo admisiion to le leghi lekin puri zindagi uska adhura khwab use dasta rahega …ek kasak rah jayegi man me ki kash ek bar aur try kiya hota ..kash ki mummy papa mujhe ek mauka aur dete ..aur tab wo khud ko kosegi aur aap logo ko bhi “
“ jeeja ji mai aapse bahut chhota hu aur agar meri baten aapko galat lage to maf kar dijiyega lekin ye galat hai …aarti ko pura haq hai apne sapne ko pura karne ka har sambhav prayatn karne ka “
Jeeja ji sahil ki baton se kafi sahmat nazar aa rhe the …
“’ chalo thik hai …ham use dete hai mauka ..is sal nhi agle sal bhi …lekin jaisa ki tum khud kah rhe ho ..use khud bhi apne aap par bharoa nhi hai..to agr uska self confidence itna low hai to wo kaise taiyari kar payegi ….batao .?????.agar use hi khud par bharosa nhi hai to ….???”
Jeeja ne sahil ko katghare me khada kar diya tha ..
“ mai dilaunga use wo self confidence “ sahl ne dridhta se kaha.
Sahil ne botany , zoology aur chemistry se BSc kiya hua tha aur in subjects me kafi achchha tha .
“par beta tum to jar he ho ?“ didi bhi aa chuki thi aur apne bhai par behad garv mahsoos ho rha tha unhe jo apne ladli ke haq ke liye lad rha tha .
“ nhi didi main nhi ja rha ..ab mai yhi rah kar padhunga “
“ pushpa ,mujhe lagta tha ki aarti ko mujhse jyada pyar koi nhi karta ..lekin mai galat tha …tum thik kahti h ki aarti sahil ki ladli hai “ jeeja bhi sahil ki baton se kafi prabhavit huye the aur muskurate huye bole .
Sahil jhenp gya unki bat par .
Aaj aarti kafi der se jagi thi aur fresh hokar niche aayi to sab logo ko ek sath baithe huye paya ...didi jeeja aur sahil teeno kuchh bat kar rhe the aur aarti ko aata dekhkar chup ho gaye...
Aarti ko thoda ajeeb sa laga ..aisa pahle kabhi nhi hua tha .....
" aao beta baitho " papa ne pyar se aarti ko apne pas bithya.
"aarti ! sahil nhi ja rha ..yhi rahega ..hamare pass ..hum sabke sath " didi ne muskurate huye kaha.
"par q???" aarti ko samjh me nhi aa rha tha ki kaise react kare isliye ulte seedhe sawal kar rhi thi .
" areee...ye kaisa swal hai ???" didi hairan hote huye boli .
tabhi sahil ka mobile baj utha aur wo muskurata hua uthakar bahar chala gya.
" nhi mummy mera matlab us din to aap bol rhi thi fir bhi mama rukne ke liye taiyar nhi the ..fir achanak ? " aarti ko sachmuch kuchh samjh me nhi aa rha tha .
"beta usne rat me teri sari baten sun li thi ...aurr aaj subah se hamse bahas kar rha hai.."
aarti ke jehan me rat ki sari baten kisis sapne ke tarah aane lagi .... jab wo apni friend Aditi se bat kar rhi thi ..

UPDATE 62-
Aarti samajh gayi ki sahil ne uski bate sun li thi aur ab wo wha uski wajah se rookna chahata tha.
Sahil phone par bat smapt karke jaise hi kamre me pahuchata hai aarti ko apni or dekhta pata hai…aarti ki aankho me nami bhi thi aur khusi bhi .
Sahil janta tha ki aarti ka sapna MBBS banne ka tha aur wo chahta tha ki aarti ek bar apne pure aatm-bal ke sath apne us sapne ko puri karne ki kosis kare aur iske liye ab use aarti ko mentally prepare karna tha .ye bat to sahil khud bhi mahsus kar chukka tha ki aarti ko khud par bharosa nhi hai ki wo MBBS ka entrance clear kar payegi aur jab tak insane ko khud par bharosa na ho wo koi bhi kam puri lagan se nhi kar sakta .use pta tha ki rasta bahut kathin hai,lekin manjil bahut hi sundar.
Jeeja ji par bhi bhi sahil ki bato ka asar behad gahera pada tha aura b unhe bharosa tha ki sahil aarti ke liye jo sochega behtar hi hoga.aur ab sara kam sahil ko karna tha .
“mama aapko yha rukne ki koi jarurat nhi hai…mai admission lene wali hu basss….” Aarti ne bahut rudely kaha.
“ aarti ye koi tarika hai bat karne ka …” jeeja ,jo ki aarti ko kabhi nhi dan te the, use aise bolte dekhkar thode gusse me bole.
“ koi bat nhi jeeja ….aarti mai tumse is bare me bad me bat karunaga…aur mai kahi nhi ja rha bas itna jan lo” sahil bolta hua chhat par chala gya.
Rat ko sab log khana khakar apne apne room me pahuch chuke the ..sahil ne didi jeeja ko bol diya tha ki wo aarti se bat kar lega aur use smjha lega.shayad sahil ko pta tha ki aarti use rukne se q mana kar rhi thi .aur use arti ke man me ho rhi kisi bhi shanka ko door karna tha…..rat ko sahil aarti ke room me jata hai…
“andar aa sakta hu kya ?” sahil aarti ke room ke darwaze par khada muskura rha tha.
“ aa jaiye,,,jaisi ki mai mana kar dungi to aap bada man jaoge” aarti tunak kar boli ,aur sahil ko uska aise ruthe ruthe se bolna kafi achchha lagta tha. Wo muskurate huye aarti ke roo me chala jata hai aur whi rakhi chair khichkar baith jata hai.
“ ab batao ..ye subah se angaare kyu chaba rhi ho???? kya ho gya????” sahil ke puchhne ka andaj hi aisa tha ki aarti aur tap gayi.
“achchha mai angare chaba rhi hu…aur aapke muh se to jaise phool baras rhe hai???” Wo kaun sa pichhe rahne wali thi fauran hisab pura kar diya.
Sahil jor se hasne laga..use aarti ko chidhane me hamesa hi mja aat tha aur aaj uske dil me ek khusi thi,ek sukoon tha …pahli bar wo apni ‘ LADLI’ ke liye itna bada kuchh karne jar ha tha.
“achcha baba sorry…ab meri bat suno ..tum kahi admission nhi le rhi …ek bar fir se taiyari karna hai aur sirf MBBS hi karna hai….mai yhi rahunga aur tumhe chemistry padhaya karunga …aur bhi jo difficult lagega tum puchh liya karna…samjhi…. ab is bat par koi behas nhi hogi…ye mera aakhiri faisala hai”
sahil ne behad apne pan se kaha. Lekin aarti shayad abhi bhi thodi gusse me thi ya fir shyad isi ko juban fisal jana kahte hai…uske muh se nikle alfaj teer ban kar sahil ke seene me ja lgae….
“aapka faislaaaaaa?? Admission mujhe lena hai…aap kaun hote ho faisla suna ne wale” aarti jhat se ek lahje me bol gayi .
Sahil ek tak aarti ki aankho me dekhta rah gaya….use laga jaise kisi ne garamaa garam sheesa uske kano me udel diya tha …aaj tak sahil ko kisi ki kisi bat se itna dukh nhi pahucha tha jitna aarti ki is bat se ….
“ aap kaun hote ho faisala lene wale” sahil ko apne kano par yakeen nhi ho rha tha ki aarti kabhi usko aisa bol sakti hai ….wo aarti jise wo is duniya me sabse jyada pyar karta tha…wo aarti jiske sapne ko pura hota dekhne ke liye usne apne carreer ki parwah nhi ki thi….wo aarti jise bachpan se lekar jawani tak sahil ne kabhi ek kadwi bat tak nhi boli thi…aaj us aarti ne use se puchha tha ki “wo kaun hota hai uski zindagi ke faisel lene wala’…kya jwab deta sahil ,jab swal us sakhs ne puchha tha jise wo apni zindagi ke har sawal jawab se bahut upar manta chala aaya tha ???????….
Sahil ki aankho me kab aansu aa gaye use khood pata nhi chala,pata chal jab aansu ki ek boond aankho se nikal kar galo ko bhigo gayi. Sahil kisi hare huye juwari ki tarah utha aur ladkhadate kadmo se wapas uske room se bahar nikal gya.
Aarti sahil ki halat dekhkar samjh gayi ki usne kya bol diya….use ahsas ho gya tha ki sahil uske liye kya soch rha tha…usne kya sila diya tha …
Lekin aarti sahil ko manane nhi ja rhi thi …jane kya tha uske man me….is samay rat ke 11.30 baj rhe the aur sahil apne room me bed par leta hua tha ….aankho se aansu beh rhe the aur dil aarti ke sath bitaye dino key ado me vicharad kar hr a tha …sahil ki aankho se neend koso door thi..inhi sab yado me rat ke 2 baje gaye aur sahil se jab dil ka dard bardash nhi hua to usne aarti ke number par kuchh sms send kiye ….
“ dear aarti….tumahara sawal shayad thik tha ‘ mai kaun hota hu tumhari zindagi me koi faisala lene wala’ ….bahut socha maine…. lekin jab tumne ye sawal puchha hai to fir mere pas iska koi jawab nhi hai..ha agr kisi aur ne ye sawal puchha hota to mere pas iska jwab jarur tha … mai tumhara kya hu ye to duniya janti hai lekin tum meri kya ho ye koi nhi janta,,aur kisi aur ke jan ne se koi fark bhi nhi padta,jab tum hi nhi jan payi to .
Mai tumhara jo hu us riste se shayad mai itna bada faisal nhi le sakta ..khaskar ke tab jab tumne hi puchh liya ki mai kaun hota hu….”
Dusra sms…
“ kal hi yha se chala jaunga..bas ek kasak rah jayegi dil me ki tumhare liye kuchh kar nhi paya ..qki tum lakh puchho ki mai tumhara kaun hu koi faisalaa lene wala…lekin mere dil me ye sawal kabhi nhi aayega ki tum meri kaun ho jo maine bina tumse puchhe apna failsla suna diya......qki mera dil jan ta hai ki tum meri kaun ho".
3rd sms me sahil ko kisi shayar ki likhi ek behad pyari si nazm yad aa gayi…..
"Koi tumse puche kaun hoon main, keh dena koi khaas nahi.
Ek dost hai kaccha pakka sa, Ek jhooth haiaadha saccha sa.
Jazbaat ko dhake ek parda bas, Ek bahana hai Acchha sa.
Jeevan ka ek aisa saathi hai, Jo pass ho ke bhi pass nahi.
Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh dena koi khaas nahi.
Hawa ka ek suhana jhonka hai, Kabhi nazuk toh kabhi tufaano sa.
Chehra dekh kar jo nazrein jhuka le, Kabhi apna toh kabhi begaano sa.
Zindgi ka ek aisa humsafar, Jo samandar hai,par dil ko pyaas nahi.

Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai,
Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh jaata hai.
Yuh toh uske na hone ka kuch gam nahi,
Par kabhi kabhi aankho se ansu ban ke beh jaata hai.
Yuh rehta toh mere tassavur me hai, Par in aankho ko uski talaash nahi.
Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh dena koi khaas nahi!!! "
(ek aisi nazm jo sahil ke dil ke behad karib thi )
" aarti tum apne dil par koi bojh mat rakhna ...mai tum se naraz nhi hu ..achcha hi kiya tumne ...dil ne ek galatfahmi pal li thi..jo ab shayad door ho jayegi ...thank you.
bas ek aakhiri bat ...ek din maine kaha tha ki mere liye mera carreer sabse jyada important hai ...wo jhooth kaha tha ...bsa itna hi batana tha...aur sorry agar tumhari neend meri vajah se kharab huyi ho to ....aj ke bad kabhi tumhe disturb nhi karunga.....reply karne ki jarooart nahi hai .Good Night"
sahil ne sare sms draft me save kar rakhe the aur fir ek ke bad ek sare aarti ke number par send kar diye .
Sahil ka dil ye soch kar aur ro rha tha ki aarti ne agar galti se wo bol diya tha to fir use manane kyu nhi aayi ...kyu nhi ek bar aakr boli ki sahil i m sorry.
sahil ne soch liya tha ki ab wo yha se chala jayega...hamesa hamesa ke liye.

UPDATE 63-
Sahil ko aaj bahut akelapan lag rha tha .......mai itna gair huuuuu ????? Aarti ke liye bhi???? Jab mera koi haq nhi uspar to mai yha kiske liye rukunga ???? Sahil ka man inhi sab socho me gum tha ki achanak uske room ki light jal gyi .......aarti uske room me uske aankho ke samne khadi thi.........
Sahil ne ek nazar uthakar uski or dekha ...aarti ke chehre par bhi neend ke koi bhav nhi the ...bas ek hi bhav tha us masoom chehre par-- paschatap ka bhav .
Aarti chalti hui sahil ke karib aa gyi ...sahil aadha leta hua sa bistar par pda tha aur kuchh der pahle tham chuki aansuo ki badh fir se aankho me bhar aayi thi jise chhalakne se rokne ki wo puri kosis kar rha tha ......
Aarti uske pas baith jati hai ....dono me se koi bhi kuchh nhi bol rha tha ...sahil aarti se nazre chura rha tha aur aarti uski aankho me jhankne ki kosis kar rhi thi .
"Sorry ,, mera kahne ka wo matlab nhi tha ......mai basyhi chahti thi ki meri vajah se aap ka nuksan na ho .....aap yha rahoge to aapki study thik se nhi ho payegi "
Aarti ka chehra uski baton ka sath nhi de rha tha ......chehre se saf lag rha tha ki use apni galti par bahut afsos hai lekin wo bat aise kar rhi thi ki mano sirf sahil ka dil rakhne k liye bol rhi ho
........
"Tumhe sorry bolne ki koi jarurat nhi hai .....tumne to mere liye achchha hi socha hai .....sahi hi hai yha rahkar mai nhi padh paunga ....mai chala jaunga yha se ......"" sahil ne bhi usi ke se lahje me kaha .