Dark magic.. story of two sisters. - thriller story
Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story
Update 22
APRAJITA ke aadesh par balraj kapaltantar ko first floor par le gaya, ek kamrey ka darwaza kholkar usmein enter hota huya bola - "aap iss mein reh saktey hain maharaj, yeh pasand na ho toh....
"rehne ka kya hai balraj, jahan kahogey reh laingey!" kapaltantar ka swar byang se sarobar tha - "pehle yeh batao, hamari kaisi rahi ?"
uska bhaw samjhtey he balraj ke jism mein jhurjhuri dhod gayi , bola - " mai main soch bhi nahi sakta tha ki.....
"ki hum yahan pohanch jayeingey!" baat kapaltantar ne poori ki!
balraj ke halak se yeh he ek lafaz foot saka - "jee!"
"isiliye thaga ja raha tha humein?" kapaltantar ne uski aankhon mein jhanka!
"thagga ja raha tha?"
"tumne humse 10 lakh mein na kewal gudiya ko bimar karwaya balki beech beech mein rahat dilane wali dwaian bhi lete rahe or unn dawaon ke bootey par aise logon ko hero bana dala jinko tantar ki a.b.c.d tak nahi aaty!"
jawab dene ki barpoor koshishon ke bawjoo balraj ke moonh se bol na foot saka!
jubaan taalu se ja chipki!
kapaltantar ne ek or bumb fodh diya - "markandey jaise juaari gundey ko kya payment kar rahe ho tum ?"
balraj uchhal padha!
kapaltantar ke honthon pe zehreeli muskaan fail gayi -"hum yeh bhi jantey hai , yeh charon iss city ke ek flop juaaghar ke malik hain!"
balraj kapaltantar ko iss tarha dekhta reh gaya jaise zameen pe utar aaye chaand ko dekh raha ho - "aap kaise jantey hain maharaj!"
"jahan aane ke baad woh sab jaan gaye hain jo tum humein nahi jan-ney dena chatey the!" uski aankhon mein jhankta kapaltantar ek ek shabad ko chabata chala gaya - " yeh ki tum or yogesh - MOHAK TAYRE UDHOG - ki beshmaar daulat ko hadapne ki sazish par kaam kar rahe ho - yeh bhi ki yeh sazish hamrey dowara bimar kiye gayi - kiran gudiya - pe base hai.... or ab tumko bhi jaan lena chahiye ki hum jiss pal chahein tumhari sazish ko mitti mein mila saktey hain!"
aatank ki lehar current ki trha balraj ke poorey jism mein gardish kar rahi thi!
"ab bolo !" kapaltantar ne poocha - " kya payment kar rahe ho markandey ko?"
balraj ke moonh se bol na foot saka!
janta tha, suntey he kapaltantar na kewal uchhal padeyga balki badhak bhi jayega!
"jawab do balraj!" kapaltantar ne shabdhon ka hunter uske jehan par raseed kiya - "or jawab dene se pehle iss baat ka poora khyaal rakhna ki humko behkaya nahi jasakta, jo tum kahogey uski pushti markandey and party se kar li jayegi, uss waqt woh 1% bhi jhooth bolne ki position mein nahi hongey, jab hum samjha daingey ki aprajita ko unki asliyat bata saktey hain!"
"1 crore" balraj dartey huye bola!
"1 crore ?" kapaltantar ko mano bichoo ne dunk maara !
BALRAJ bolta bhi tau kya ?
"kamaal ho gaya - jiss ka sab kiya dhara usko 10 lakh or jinko acting ke ilawa kuch nahi karna unko 1 crore - dhnay ho balraj - dhnay ho tum !"
"maaf kardo maharaj !" balraj or keh bhi kya sakta tha - " galti hogayi !"
"galti sudharni hogi balraj tumein"
"kaise maharaj?"
kapaltantar ka lehja baraf ki trha sard ho utha - " inn kutton ko villa se bahar fainko!"
"magar..!" balraj ke halak se cheekh nikal gayi - "ab yeh kaise hosakta hai?"
"woh tum jano - tumhara kaam jane!"
"main samjha nahi maharaj?"
"tau samjho !" kapaltantar kehta chala gaya - hum gudiya ko theek bhi kar saktey hain, or uss anjaam tak bhi pohancha saktey hai jiss par tum chahtey ho - jitna tum gudiya ko marne k liye de saktey ho , uss se kai guna jiyada aprajita gudiya ko theek karne ke liye de sakti hai!"
"yeh yeh aap kya keh rahe hain maharaj ?" balraj ka halak sookh gaya !
"hum gudiya ko bachane ke mission par bhi kaam kar saktey hain!"
"naaahiiiiiiiiii!" balraj ke halak se cheekh nikal gayi - "aaaapppp aisa nahi kar saktey !"
"kiun?"
"kiunki aap ke or hamarey beech mein sauda hochuka hai!"
"woh sauda nahi thaggi thi!" kapaltantar gurraya - "thagga gaya tha humein!"
"b bhoool hogayi maharaj!" balraj uske pairon mein girr gaya - "chhoty si bhool ki itni badhi saza na diziye!"
kapaltantar vijeta waley andaaz mein muskuraya, bola - tumne thaggi ki - iske bawjood humne sath diya - sabke samney 2 2 takkey ke gunndon ko apna chela mana - uss drame ko chalne diya - jo tum chaalaye huye the - jara socho, agar hum keh dete woh hamara kbhi bhi chela nahi raha balki ek juaari hai, gunda hai, unka or tumhara kya haal hota?"
"aap mahaan hai maharaj , kripalu hain aap!"
"magar hum bewkoof nahi hai balraj!"
"y yani?"
"tum samjh saktey ho, humein gudiya ko bachane ke mission par kaam karne se jiyada fayda hai - uss faaydey ka laalach chhodhkar jo tumharey haq mein kaam karne ka faisla kiya hai uska ek matarr karan yogesh ka hamara purana client hona hai!" ek ek shabad par jor deta kapaltantar kehta chala gaya - " lekin agar tumne inn laafangon ko rukhsat nahi kiya tau hamein apna faisla badalna hoga - hum gudiya ko theek kar daingey balraj, aprajita se moonh maangi daulat lekar apne aashram chaley jayeingey - tum or tumharey gundey taaptey reh jayeingey!
"aisa anarth mat karna maharaj - sochiye tau sahi , ab woh kaise..........
"hum fir kaheingey balraj , yeh tumein sochna hai........... hamara faisla atal hai!"
balraj kapaltantar ke chehrey par naach rahi dridta ko dekta reh gaya!

Update 23
aisi andhadhund driving yogesh ne pehle kbhi nahi ki thi...... jaisi aaj ki - mohak villa se aadha kilomiter idhar he tha ki sunsaan sadak ke beecho - beech balraj ko khadha dekhkar bhonchka reh gaya! woh usko rukne ka ishara kar raha tha!
yogesh ka dil pehle se kahin jiyada jor se dhadhkane laga!
pair apneaap braek pe kass gaye or jab car taayron ki tej cheekh chilahat ke sath BALRAJ ke najdeek ruki tau malik ke chehrey pe udhti hawaiyon ko dekhkar khud uska apna chehra peela padh gaya, driving seat pe baithe he baithey tej swar mein swaal kiya - kya huya malik, aap yahan kiun khadhe hain?"
balraj bola - "tumein kapaltantar aashram mein nahi mila hoga!"
"kya woh villa mein mein pohanch gaya?"
"haan"
"ohh .... my god!" jogeshwar ne maatha peet liya - " ab kya hoga?"
"batein bohat hain car ko ek traf laga do!"
yogesh ko pehli baar ehsaas huya ki woh sadak ke beecho - beech car rok ke khadha hai! - start car ko giyar mein daalne ke sath usne sadak se utari or kachhey mein khadhi balraj ki car ke najdeek rok di - abhi driving door khol kar utar bhi nahi paaya tha ki balraj pichla darwaza khol kar ussi mein aata huya bola - "baithe raho, or meri baat suno!" balraj or yogesh ki baatein chalti rahi kya kya huya kaise huya !!!
balraj - "kapaltantar ke aagman ne sab ghadbad kar diya"
yogesh " ab kya chata hai woh ?"
ekaant mein miltey he bola mujhse - "ab draame mein chandaal chowkdi ki koi bhumicka nahi hai, inko jahan se chalta kro!"
"kuch dair baad yogesh sochta raha, fir bola - mere khyaal se woh theek kehta hai!"
"tum murakh ho!" balraj jhunjla utha!
yogesh ne azeeb swar mein poocha - "aachanak mujhe yeh mahan tamga kiun maalik ?"
"ab woh villa se kiun talne lagey ?" balraj kehta chala gaya - "samjhne ki koshish kro yogesh, unke moonh khoon lag chuka hai - agar humne aisi koshish ki tau woh aprajita par sari poll khol saktey hain !"
"haan - yeh samsya tau hai !" yogesh ke mastak par ball padd gaye, fir ekka ek chutki bajakar keh utha - "ek kaam hosakta!"
"kya?"
"hamara thoda nuksaan tau hoga lekin saamsyaa hal hojayegi!"
"hal tau bolo!"
"unko saude ki rakam do or garat karo!" yogesh ne chutki li!
"ya ya yani 1 crore rupya ?" balraj ki saans atak gayi!
"pehle focat mein ya kamm rakam mein tarkane ki koshish ki jani chahiye, na mane tau majboori hai!"
"lekin ek crore aayega kahan se ?"
"aprajita ke samne jholi faila lo!" makhol udhane k jaise bola yogesh!"
"nahi........ iss tarha tau main 'expose' hojaunga!"
"tau fir ek tareeka bachta hai!"
"woh kya?"
"gold ki shiv moorti banwane ki jimmeydaari tau aap par hai hee - maanlo 5 crore mein banty hai, aprajita ko 6 crore ki bata dena!"
"haan yeh hosakta magar......"
"ab kahan atak gaye malik ?"
"mujhe nahi lagta chandaal chowkdi jaane ko sehmat hogi, laalach unko jaane nahi daigi!" khair jo hoga dekha jayega!!
BALRAJ ne jaib se kagaj ka ek purja nikaal kar ussey pakdaya - " yeh address kapaltantar maharaj ne diya hai - yeh vaisi moortiyan banata hai jaisi unhein chahiye - chaar paanch din mein ek moorti tyaar kar leta hai, tum delhi jakar isko order de aao!"
"ohhh!" yogesh ne kagaj ka tukda lekar address padha!
"tum nikal jao yogesh!" balraj ne usko samjhane ke andaaz mein kaha - "fikar mat karna, idhar ka main sambhaal lunga - advance dene ke liye money tumharey paas hai he!"
balraj ke car se nikaltey he yogesh delhi ke liye nikal jata hai!!!!!!!!!!
balraj vapas villa jata hai chandaal group ke paas!!!!!!!!!!
[/size]

Update 24
"yeh kaise ho sakta hai hai balraj ?" markandey badhak utha - "nahi, hum iss trha nahi jayeingey, kyun dosto ?"
"sawaal he nahi uthta !" rustam ne drirta poorvak kaha !
"balraj bola - "mere khyaal se tumein koi nuksaan nahi hai - tum log kal he tau aaye the, khaas kuch kiya bhi nahi or woh 25 lakh mil he rahe hain jo tumhare pass hain - iss se jiyada kamai ka kaam tumne kbhi kiya bhi nahi hoga!"
"balraj hum yahan 1 crore kamane aaye hai!!!" maheesh ne kaha!
"woh tau tabhi milta na jab kaam hota?"
"nahi huya tau hojayega, tab chaley jayeingey !" rustam bola!
"tum baat ko samjhne ki koshish kyun nahi kar rahe ho?" balraj bola!
"baat hamari samjhdaani mein kuch jiyada he achhi trha fitt horahi hai balraj!" markandey ek ek shabad ko chbaatey chala gaya - " woh sala kapaltantar nahi chahta ki hum yahan rahein ussi ne tumharey kaan bharey hain magar hum talne waley nahi hai !"
"talna tau padeyga he - jab tumhara kaam he nahi raha tau....
maheesh ne uski baat kaat kar ghoshna kar di - "hum 1crore liye bina nahi hileyingey!"
balraj ne ek ek karke sab ko ghoora, kuch time chup reh kar balraj bola - "theek hai tumein 1crore mileyingey - tab tau jaogey?"
charon chownkey - uski traf dekha,fir.... fir ek dusrey ki taraf or rustam ne uski aankhon mein aankhein daal kar kaha - "jaroorat se jiyada majboor lagtey ho balraj!"
"matlab ?"
"ek crore rupya koi iss trha pani mein nahi bahata !" rustam balraj ko samjhatey huye bola!
"tumein iss se kya ?" balraj ne bura sa moonh banaya - "tumein tau saudey ki poori rakam mil rahi hai na ?"
"baat apun ki samjh mein aagayi !" markandey ne rustam se kaha - " pehle balraj kapaltantar ko bewkoof bana raha tha - sastey mein ussse dawayein lekar yahan croron ka hisaab kitaab faila rakha tha - kismat ka mara RUDRA uske paas pohanch gaya or woh suntey he yahan aa dhamka ki uski dawaion se ke bootey par arbon kharbon ki sampati hadpane ka natak chal raha hai - oor ab balraj uski unglion ke ishaarey par naachne wali kathputli bana huya hai - usne humein yahan se rukhsat karne ka hukam diya or yeh 1crore ki bhaint chadhane ki sharat par bhi humein rukhsat karne par aamada hai !!"
"tumein iss se koi matlab nahi hona chahiye main kiss ke hath ki kathputli bana huya hu, kiski nahi!" balraj ki aawaz thoda unchi hogayi - "apne 1crore lo or footo yahan se, palat kar villa ki traf dekhogey bhi nahi !"
"main 1 salaah du!" rustam ne kaha!
"mujhe kisi ki salaah ki jaroorat nahi hai!" khade hotey huye kaha mamla tay ho chuka hai, tum log 1 crore logey or yahan se.....
"kisne kiya tay ?" markandey atka - "abhi kuch tay nahi huya hai !"
"kya matlab ?" balraj uchhal padha - "maheesh ne abhi abhi done kaha hai!"
"yeh hum sab se kamm dimaag rakhne wala susat insaan hai!" markandey ne jawab diya!!!
"suno balraj!" rustam shuru huya - halaanki tum humein or hamari fitrat ko achhi trha jantey ho, yyad kro balraj , apne chaaku se kisi ka ilaaz kartey waqt mera kaleza jarra sa bhi nahi kanmpta!!!
"mujhe kya kisi ka katal karwana hai? balraj hakla gaya!!!
"kara dena chahiye !" rustam bola!
"kisko katal karwa du?"
"balraj ki tau matti mari gayi markandey!" rustam ne markandey se kaha - "isharey ke bawjood nahi samjh pa raha ki iski sabhi dushwarion ka hall kya kra daalne mein hai?"
"paheliyan kyun bhuja rahe ho?, jo kehna saaf saaf kaho !" balraj bola!
rustam smjhatey huye bola - "samjhne ki koshish karo balraj - "tumhari sari musibatein kapaltantar ke kriya kram ke sath khtam hojayeingi !!"
"nahi !" balraj cheekh utha - "villa mein koi khoon khrabanahi hoga !"
markandey bola - " abhi tum darey huye ho - thandey dimaag se sochna, tumhari problems ka hall hamein yahan se nikaalne mein nahi balki rustam ki salaah maan lene mein hai kyunki jitni taqat kapaltantar ki mutthi mein pohanch chuki hai uske rehtey hamarey jane ke bawjood woh tumein apni kathputli banaye rakheyga !"
"tum pagal hogaye ho, mujhe aisa kuch nahi karana !" balraj ne aagey poocha - "yani, tum ek crore lene ke bawjood yahan se jane ko tyaar nahi ho ?"
"filhaal jao !" - rustam bola - " tab baat kareingey jab tumharey dilo dimag par chhaya uss tantrik ke bachey ka aatank kamm hojayega - mujhe maaloom hai, uss waqt tumein meri salaah jancheygi kyunki ussse behtar tumharey haq mein kuch ho he nahi sakta !"
________________
___________________
______________ kapal tantar marr gaya tau gudiya ka kya hoga ?
____________