Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Horror stories collection. All kind of thriller stories in English and hindi.
User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1587
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 28 Jan 2016 15:11

Update 25 udhar balraj bahar nikla idhar,maheesh badhak utha - "tum dono saaley apne aap ko samjhtey kya ho - meri baat ki koi value hai ki nahi, ek min ke andar balraj samney meri kirkiri kar di - kya soch raha hoga woh ?"


markandey gurraya - "tujhse aagey aagey bolne ko kisne kaha tha ?"


Maheesh bola - "kya ghata hai iss mein?" mufat mein 1crore mil rahe hai, kahin koi lafda he nahi !"


"tu akal se paidal hai maheesh!" rustam ne kaha !!


"tum dono aajkal bohat bohat ek - dusrey ke sur se sur mila rahe ho ?" Maheesh daant bheench kar ek najar monicka par daali or kehta chala gaya - "main chahu tau tumharey sur taal ek mint mein bhigad sakta hu !"


rustam samjh gaya woh kahan bol raha hai ! aakhir samjhta bhi kyun nahi markandey ki biwi monicka se samband jo the rustam ke !


kamrey mein khamoshi si chha gayi !!


markandey ne bolna shuru kiya - "azgar ko tau aap sab jantey ho, woh jo hamesha chhotey mottey kaam humein deta rehta hai, kal raat bhi aaya tha, woh bhi chahta hai hum iss mamle se hatt jayein, 1 crore woh bhi dene ko tyaar hai"


rustam or maheesh uchhal padey ! azgar or jahan ? ((unko dono ko yaad aaya kal raat baat kartey huye kisi darwaze pe dastak hui thi ! par jb woh balcony mein aaye tab koi na tha!))


markandey ne bataya - " humein jhamele se door karne ke hetu jahan AZGAR or BALRAJ alag alag ek crore dene ko tyaar hain, wahin, kapaltantar bhi villa se nikaalne ke liye mara ja raha hai - harek ko apne rastey ka rodda najar aa rahe hai hum!"


rustam bola - "kapaltantar ko jab balraj batayega ki hum kisi keemat par talne ko tyaar nahi hai tau uske pairon taley se zameen khisak jayegi, or hosakta hai kuch time baad woh bhi 1 crore ka offer lekar aajaye shayad!"


" iss waqt yahan chal rahe khel ki saari doriyan ussi ke hath mein hain!" MARKANDEY KEHTA chala gaya - " woh chahe jiss ka mahatav badha de, chahe jisko zero kar de - APRAJITA KO dhan ki gangotri kaha ja sakta hai - woh udhar he baheygi jidhar usko lageyga ki woh uski gudiya ko theek kar sakta hai!"


rustam bola - "kapaltantar ko hamare sath milkar khana hoga!"


monicka boli - " par yeh baat ussey samjhayein kaise ?"


"aapas mein chonch ladaane se behtar hai, ussse baat kar li jaaye!" rustam ne kaha - " yahan first floor he par tau hai woh?"


monicka ne bataya - "uska kamra kone wala hai!"


"chlo!" rustam khadha hogaya - "uski akal durusat karna iss waqt sabse jaroori hai !!"

___________
_________ bechara kapaal tantar aaj villa mein aaya aaj he na marr jaye..
_______________
___________________
______________________________[/size]

User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1587
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 29 Jan 2016 20:38

Update 26"AAO... AAO......" unnsab ko dekhtey he sofey par baitha kapaltantar uth kar khadha hogaya ,bola - "BAITHO!"


charon khamosh rahe !


najrein kapaltantar ke chehrey par tikki thi , lekin uske honthon par mojood muskurahat mein laish matar antar nahi aaya - theek vaise jaise mandir mein sthapit devi devta ki muskan!


chandal chowkdi sofey pe baith gayi !


kapaltantar ne he pucha "kaho, kaise aana huya ?"


markandey ne baat shuru ki - "humne tumharey piyaadey ko bairang vapas bej diya!"


"kon sa piyaada ?"


"balraj........" rustam ne kaha - " or kon ?"


"ohhh.. achhaa, tum uski baat kar rahe ho....." kapaltantar hansa - "haan patta laga tha.... bataya tha usne !"


"ussey hamarey pass tumne he beja tha na ?" markandey ne seedha swal kiya !


"haan........" kapaltantar ne ussi muskaan ke sath jawab diya !


charon chonkey - ek dusrey ki traf dekhne lagey ! - sab ko yakeen tha sachai se mukreyga kapaltantar!


rustam ne goortey huye poocha - "tumne balraj ko hamarey pass kyun beja tha?"


kapaltantar ne seedha jawab diya- "socha , ab tumhara yahan koi kaam nahi raha!"


"kahan hamara kya kaam hai , yeh apne baarey mein hum tay kareingey ya tum ?" rustam ke halak se gurrahat nikli !!


"jahir hai aap he tay karogey ......!"


"tau fir tumne ..... kya soch ke beja balraj ko ..?"


"aap nahak naraj ho rahe hai !" kapaltantar ki muskurahat mein baal brabar bhi parak na aaya - "ladne ka mood bana ke aaye ho kya ...?


rustam garaj he padh - "balraj ko uss offer ke sath hamarey paas bejne ki tumhari himmat kaise hogayi ?"


"achha bhai , maafi maangtey hai !" woh muskurata raha "mujhe ilam nahi tha tum charon ko itna bura lageyga !"



ek baar fir charon ko saanp soong gaya, himmat kartey huye rustam ne kaha - "tumharey khyaal se iss mein burra lagne ki baat nahi thi ?"


"bilkul bhi nahi !"


"agar hum kahein , tumhara yahan koi kaam nahi hai , foot lo ... tau......?"


"jab koi humein 1crore rupya dene ke sath yeh baat kaheyga tau foot laingey !"


charon ghoortey reh gaye ussey, RUSTAM bola - "bakwas kar rahe ho tum !"


"1crore nikalo!" kapaltantar ki muskaan gehri hogayi - "tab dekhna !"


"theek hai !" markandey ne kaha - "hum abhi balraj se ek crore lekar tumein dete hain !"


"O....k"!


kamrey mein sannata chha gaya ! kehne ke liye kisi ke pass kuch bacha nahi tha !


kapaltantar ne he kaha - "kab de rahe ho 1 crore ?"


"tum jaroorat se jiyada smart banney ki koshish kar rahe ho mr kapaltantar !"


" na hum nahi kar rahe " kapaltantar unki samjh se bahar ki cheez tha , bola - "aap log yeh he batein karne aaye the tau ja saktey ho - hamari sandya ka samya hogaya hai , koi baat reh gayi ho tau usko bhi keh diziye !"


"hum tumein yeh samjhane aaye hai ki aprajita se jo bhi mileyga, woh chahe gold ki moorty ho ya caish milkar bantna hoga !" rustam ko saaf saaf dhamki dena he sahi laga -"sab kuch akele hadap jane ka vichar tak dimag mein mat lana !"


"nahi moorti ko bhikhandit nahi kiya ja sakta !" kapaltantar ne kaha - "kisi ek ke pass reh sakti hai moorti "!


"or woh tum rakhogey ... aisa kya?"


"hamari aisi koi zidd nahi hai - agar tum mein se koi rakhna chahe tau shok se rakh sakta hai !" kapaltar muskuratey huye bola !




ek baar fir sab ke dimag chakra gaye, rustam ko bolna padha - " theek hai - moorti humein de dena !"


"jaroor de daingey , magar yaad rakhna - bhool kar bhi bhikhandit mat karna "!


"kyun?" !


"kyun ki kaal bhairvi iss waqt uss gudiya ke andar hai , gaaytri anushthan ke baad uss moorti mein raheygi - moorti bhikhandit hone par woh bahar nikal aayegi - or chun chun kar aisa karne walon ko maut ke ghaat utar daigi "!


chandal chowkdi ke chehrey peeley padd gaye .....


markandey ne bomb fodtey huye kaha - "theek hai moorti main rakh lunga "


teeno doston ne palat kar ussey chakit bhaw se dekha !


rustam ko markandey se kehna padha - "tera dimaag khrab hogaya hai kya ?"


"nahi dost , jhamela apunko samjh aagaya hai , yeh tantrik ka bacha hum sab ko darra rahai hai !"


"matlab ?" rustam chownka !


"jara socho !" markandey ne kaha - gudiya jiss kisi ke bhi kabze mein hai - kapaltantar sirf maya lootne aaya hai - jab yeh gudiya ko theek he nahi kareyga tau moorti shrapit kaise hojayegi ?


baat sabki samjh mein aarahi thi !


jabki kapaltantar ussi muskaan ke sath bola - "yeh disscution apne room mein jakar karein tau behtar hoga !"


rustam ko bhadhkna tha tau bhadhdak utha - " tum tantrik hogey apne ghar ke - yadi tantar kr bal par fir kabhi utt-patang baaton se daraane ki koshish ki tau main tumein cheer faad kar sookha dunga !"


"iss trha ki dhamkiyan dena uchit nahi vatas" kapaltantar ne muskuratey huye kaha !



"yeh kori dhamki nahi balki sachaai hai !" rustam apni poori form mein aa chuka tha - " tumein apne tantar mantar se kisi ko koi nuksaan pohanchane hetu samadhi lagane ke karan thoda bohat waqt lag sakta hai magar mujhe aadmi ki aantriyan nikaal kar zameen par bhikhra dene mein waqt nahi lagta !"


"humein maloom hai !" kapaltantar ab bhi muskura raha tha - "tum ek achhey chakubaaz ho !"


rustam garjtey juye bola - "tau yaad rakhna agar humein kaatne ki koshish ki tau tum bhi kuch nahi kar paaogey jo karne aaye ho - jiss pal humne aprajita ko bata diya ki gudiya ko tumne bimaar kiya hai, uss pal na kewal tumhara patta saaf hojayega, BALKI APNI GUDIYA KE PYAAR MEIN ANDHI WOH BEHAN NOCH NOCH KAR KHA JAYEGI !"



kapaltantar jor jor se hass padda jaise rustam ne chutkla sunaya ho - ha... ha... ha.... !


:devi2:


"THODHI UTHA-PATAK JAROOR HOGI - PAR HAMARI HAISIYAT MEIN BAAL BARABAR FARK NAHI AAYEGA JABKI TUM SAB JAIL KI CHAKKI PEES RAHE HONGEY!" kapaltantar garja !


"bohat khoob!" markandey yeh soch kar muskuraya ki rustam kapaltantar ko utezit karne mein kaamyaab ho he gaya - "ab tum bhi dhamkiyan dene lagey?"



kapaltantar chup raho tum sab ab hamari suno sab bohat uchhal liye ho suno kahani or btao kya hasiyat hai tumhari iss kahani mein ------


kapaltantar ne ek lambhi saans li or shuru hogaya -- " KAHANI iss villa ki maalkin ke chacha ((BALRAJ)) OR 9-9 factrion ka karobar dekhne wale manager ((YOGESH)) ke sanyukat saazish se shuru huyi - woh tantar-mantar vidya ke jariye pehle gudiya ((kiran)) ko, baad mein uski behan ((aprajita)) ko maarne ki saazish tyaar kartey hain - tantar-manter vidya ke jariye issliye taanki unke katal hatya sidh na hosakey balki simple mrityu kehlaaye ttanki baad mein jayadaad ka malik ban-ney mein BALRAJ ko kanooni paichdagi ka samna na karna padhey - YOGESH hamara purana bhakat hai hamarey pass pohncha , aadhoora maksad bataya - uss waqt humein maloom na tha ki kisaa itna mota hai - isiliye sauda kafi kamm mein huya - humne apni vidhya se gudiya ko bimar kar diya - fir plan ke mutabik BALRAJ tumhare flop juyaghar pohancha !"


yeh sochkar charon ki aankhon mein hairat ke bhaw ubhar aaye ki woh unki asliyat se parchit tha!!!


saans lene ke liye kapaltantar ruka!!


"aagey?"markandey gambhir tha!!!!


"((RUDRA)) KO tantar vidhya par vishwas na tha - magar hamarey dowara diye gaye GILHERI KI MOONCHH KE BAAL ne jo thelka (hungama) machaya - rudra apne dimag mein upzi guthi ko suljhane woh kisi tantrik ki khoz mein nikla or mukaddar ka mara hum tak pohanch gaya - yeh sunkar hamara bhadhkna swabhik tha - ki hamari dawai ke bootey par koi markandey naam ka tantrik yahan apna sikka jama raha hai - vaise bhi humei maloom tha ki iss naam ka tantrik door door tak koi nahi hai - saazish ki gandh soonghne yahan aagya main - naatak mein tumhara sath diya parantu jab ekaant mein balraj par kupit huya tau usne hamarey pair pakad liye - maafi mangi , kaha ki maharaj jaisa aap chaho vaisa karo - sath mein tumhari hakiqat or sara kissa sunaya usne!!!!!!!"


"mari samjh nahi aaraha !" maheesh bhadhka - " yeh raam kahani sunakar tum kehna kya chahtey ho ?"


"SOCHO ......... TUM SOCHO MARKANDEY kyunki tum he sabse jiyada DIMAGDAAR hone ka dum bhartey ho?" kapaltantar majak udhatey huye aagey bola - - " YEH SAB APRAJITA KO BATA BHI DOGEY TAU KYA HOGA, YEHI NA KI WOH BALRAJ,YOGESH, OR TUM CHAARON KO JAIL BEJ DAIGI???"


"or tum bachey reh jaogey ??"


"haan !" kapaltantar muskuratey huye atamvishwas se bola - "hum bachey reh jayeingey !"


"kaise hoga yeh chamatkar ?" rustam ne byang poorvak pucha!



"jo kahani tumein sunai APRAJITA ko samjha daigi ki AGAR USKI GUDIYA KO ISS DUNIYA MEIN KOI THEEK KAR SAKTA HAI TAU WOH HUM HAIN KYUNKI HUM NE HE USSKO BIMAR KIYA HAI !" kapaltantar apne ek - ek shabad par jor deta chala gaya - jara socho jo APRAJITA APNI GUDIYA ki khatir caroron -arbon ki jaydaad swaah karne ko tyaar hai , KYA WOH EK MATAR SHAKSH KO baal brabar bhi nuksaan phunchane daigi jo uske bete ko theek kar sakta hai ?"


baat samjh mein aatey he charon chandaalon ke chakkey chhoot gaye , cherey piley padh gaye!!! hawaaiyan udhne lagi unn par!!


ek dusrey ke chrey pe udhty khaak ko dekhtey reh gaye woh charon chandaal!!!!!


iss mein shak nahi ki kapaltantar ke shabdon ne charon ko chittt kar diya tha - unmein se koi bhi uss-se uljhna tau door ..... brabari ke satar par baat tak karne mein khud ko sakhsham nahi paaraha tha fir bhi markandey ne antim teer chalana chaha - "shayad tumein yeh nahi maloom ki hamare, balraj or yogesh ke ilawa bhi ek shakhsh aisa hai jo iss jhamele mein kaafi gehrey tak fansa hai ?"


kapatantar - " AB TUM --AZGAR-- KI BAAT KARNE LAGEY NA ?"


" mmm mmm matlab!" ek sath charon uchal padey - "tumein uski bhi jankaari hai"?


"humein yeh jankaari bhi hai ki tum uske baarey mein kaise jantey ho ? azgar he tum logon ko paise de kar chori-hatya ya chhotey mottey kaam karwata hai"


aawaakk reh gaye woh!!!!!!!!!


markandey hanstey huye bola - "fikar mat karo, humko maloom hai AZGAR se kaise niptna hai?"


"aaa... apko yeh jankaari kaise hai?" markandey hakla utha!!!!!!!


"har sawaal ka jawab paane ki koshish na karo, na chakar mein padho!" pehli baar kapaltantar ka lehja karkash huya -"chakar itna gehra hai ki tumharey chhotey chhotey dimag uska bajan nahi sambhaal payeingey , blaast hosaktey hain!"


charon ki zubaan par aisa taala latak gaya jiski chabhi kewal kapaltantar ke paas thi !!!!


shikast khaye khilaadi ki trha markandey ne pucha - yaani tum chahtey ho hum balraj se 1carore lekar yahan se rukhsat hojayein ?"


"ahmiyat hamare nahi tumhare chahne ki hai!" kehtey kehtey kapaltantar ne iss trha aankhein band kar li jaise dilo-dimag ko aaram dena chahta ho, or bola - " laalach mein fansey tau footi kaudi nahi hath lageygi, ya tau jail jaogey ya praano se hath dhona padeyga!" [/size]

User avatar
admin
Site Admin
Posts: 1587
Joined: 07 Oct 2014 07:28

Re: Dark magic.. story of two sisters. - thriller story

Unread post by admin » 29 Jan 2016 20:39

Update 27 markandey ke kamrey mein pohanchtey he dhamm dhammm karke lashon ki trha chanda chowkdi soffon par ludak gaye!!!


aisa lag raha tha jaise dimagi he nahi - kapaltantar ne unhein jismaani taur par bhi todd kar rakh diya ho !!


monicka ne himmat ki - " ab tum sab kya soch rahe ho ?"


"socheingey kahan se ? maheesh ne byang kiya - " inke dimag nark ki taraf kooch kar chuke hain !"


"kyun rustam ?" markandey ne pucha - "kya vichaar hai tera ?"


"mera kya vichar hoga, dimag ka theka tau tu liye baitha hai ?"


"kyun wahan chalne or uski akal daarusat karke aane ka idea tau tera he tha !" markandey bol kar gehri soch mein dhoob gaya!


"ultey usne hum sab ki akal theekane laga di !" maheesh bola - "main kehta hu, uski salaah durusat hai - balraj se 1crore jhatko or apne juyaghar mein kirtan karo ki - "RAM NAAM DHOLAK BAJAYE, LOTT KE BUDHU GHAR KO AAYE"!


"kamaal hai" kamrey mein paanchvi aawaaz ghoonji- "maine markandey pehli baar vivash dekha hai !"


"aaa AZGAR ?" chaaron uchhal padey !


woh bathroom se nikla tha !


jisam par kal raat wala liwaas !


charon ne naqab se jhankti aankho ko iss umeed se dhyaan se dekha ki shayad usko pehchaan sakein parantu iss baat ki lesh matar parwah kiye bina alag padhi chair pe baithtey huye bola - " or rustam, tum bhi apni chaaku ki taqat bhool gaye lagtey ho !"


"tum yahan kab se ?"


"pehle monicka ko bahar bejo taanki kisi ke aajane ka khtra na rahe - or main tab se yahan hu - jab tum balraj se baatein kar rahe the, kapaltantar ki or tumhari sab baatein suni"!


"meri samjh mein nahi aata, tum log achanak itne haatash kyun hogaye ho?"


"tau kya karein ?" rustam jhunjhla utha - "vikalap kya hai ?"


"uss viklap ko kyun bhool gaye jiska jikar balraj se kar rahe the ?"


yani kapaltantar ka murder ?" markandey ne kisi ko bolne na diya or kaha - 1crore lageyga ! full advance ! sauda hotey hotey 75 lakh mein huya !!


" ok !" AZGAR ne kaha - "1crore se bhra bag rustam ke kamrey mein hai ! 25 lakh tum vapas kar do!


rustam ne pucha - "kya tumein pehle se maloom tha jo rakam sath lekar aaye ho ?"


azgar "yeh 1crore vaadey ke mutabik tumein rukhsat karne ke liye laya tha magar ab halaat he ultey hogay

"khair...." azgar ne poocha - "aaj raat uski laash lene kitne baje aau?"


"aaj nahi, kal kaam hoga !" markandey bola - " aaj ki raat uske gayab hojane ki back-ground tyaar karne mein khrach hojayegi!"
____
______
_________

AZGAR 25 lakh lekar andhere mein gayab hochuka tha!!!


monicka yeh suntey he khushi se pagal houthi ki kamrey mein mojood 25 lakh poorey 1crore mein tabdeel hochuke hain!!!!


maheesh , monicka tau note gin-ney mein busy hogaye!!!


markandey rustam ko plan samjhne laga!!!


raat k 3bje!!!


plan ke mutabik maheesh kapaltantar ka trishool gayab kar chuka tha !!!


markandey apni biwi monicka se " orr ab tumharey kaam karne ka waqt aagaya hai monicka!"


monicka "haan haan .... main tyaar hu. bolo kya kaam karna hai?"


"inkaar tau nahi karogi ?"


"inkaar ka sawaal he nahi uthta !"


"tau theek hai ! markandey zehreeli hansi ke sath bola - "marne ke liye tyaar hojao!"


"tum majak kar rahe ho, mujhe maloom hai darling ki tum majak.....kar rahe ho"


"majak tau itne din se tu kar rahi thi ****!" chehrey par hinsak bhaw liye rustam uski taraf badha - "hum dono se ek sath khel rahi thi - taanki teri baaton mein aakar ek dusrey ke khoon ke pyaasey hojayein !" ot tu jeetne walon ki bahaon mein sama jaye, kehta huya rustam fir hansa!!


"nahi tum log mujhe nahi maar ................


aagey ke shabad monicka ke halak mein ghut ke reh gaye! cheekhne se pehle he rustam ne baaz ki trha jhapat kar apna hath uske moonh par jama diya - chehrey par shakshat maut ka aatank liye monicka ghoo-ghoo karti reh gayi!!!


maheesh trishool liye aagey badha!!!!!!!!!!!

_______
____________ gayi monicka , kapaltantar ka kya hoga ?
_______________ hehe mareyga ya bacheyga kal dekhtey hai...

God evening :siso: :bhai: [/size]

Post Reply