Unread post
by novel » 16 Oct 2015 20:58
Update 1
Mumbai se ravaanaa huyi us Private Bus ke driver, Dayaaram ne highway par dur ek caar ke paas hathon kaa ishara karnewale us vyakti ko dekh kar apni bus ki gati kam ki, aur gaadi raaste ke kinare rok di. Waise Dayaaram aise andheri raat ko kisi ke liye bhi gaadi nahi rukaata tha, par band giri gaadi aur suit boot mein khade vyakti ko dekhkar uske man mein koyi sandeh paida nahi huva aur usne gaadi rok di.
"Saahab, gaadi band ho gayi hai, aage kisi bhi gaanv mein chhod doge kya...? kisi garage se kisi ko toh leke aato hun aisa socha...", woh vyakti Dayaaram se bola.
"thik hai... chalo chhod deta hun, andar jagah rahegi toh dekh lo, nahi toh idhar cabin mein hi baithna padega..." Dayaaram ne us vyakti ko kaha.
Us vyakti ka nasib achcha tha, gaadi mein use ek seat khaali mili. Usne bagal mein kaun baitha hai yeh dekhne ke liye bus mein ke deam light mein dekhne ka prayas kiya. Bagal mein ek laghbagh 22 ya 25 baras ki ek yuvati apni aankhen munde baithi thi.
Handbag se usne apni shawl baahar nikali aur pure sharir ko lapetkar woh wahin par baith gaya, baahar ki thand se achcha andar ki garmaahat use achchi lag rahi thi.
Thodi hi der mein bus ne apni puri raftar pakad li. khidki se baahar ki thandi hawayein aa rahi thi, us yuvati ke baal us haawaon se baarbaar uske chehre par aa rahe the. Jab thandi jyada sehan nahi ho payi tab 'usne' 'us' yuvati se kaha, "kripaya, khidki jara band kardein toh meharbani hogi...? bohot thand lag rahi hai..."
Us yuvati ne uski taraf dekhe bagair khidki band ki aur wapas so gayi.
Bus ke lights abhi purnatah band ki gayi thi. Laghbagh bus ke sabhi yaatri so gaye the. gaadi kaa aawaz, bich mein se hi jalad gati se jaanewale Truck kaa aawaj, aur unke Headlights ki roshni, ekdam halki si khuli huyi khidki ke daararon se aanewaali thand haawaon kaa aawaj sab kaise ek taal se taal milaakar chal rahe the.
Bus mein abhi ekdam mast garmaahat nirmaan ho gayi thi. Woh vyakti bhi apne sharir par shwal ekdam tight lapet kar so gaya.
3 se 4 ghante ho gaye rahenge usko soye huve, itne mein uske haath ko thandaa sparsh lagne ki vajah se achanak uski nind tut gayi . Uske haath par bagalwaali yuvati ka haath tha.
Usne dhire se uskaa haath uthaakar side mein rakh diya.
Thodihi der baad punhah uske ungliyon ko uske thand haathon kaa sparsh huva. Usne apni aankhen kholkar uski taraf dekha, woh abhi tak soyi huvi hi thi.
Usne apna haath baaju mein kiya.
Thodi der baad fir se wohi sparsh, usne fir se uski taraf dekha, bagal se gujaranewaale ek gaadi ki roshni uske chehre par padi aur woh ek kshan ke liye achambit huva.
'woh' uske taraf hi dekh rahi thi.
Matlab yeh sparsh jaanbujh kar kiye jaa rahe the toh...
Isbaar woh vyakti pich hatnewaala nahi tha, usne apne haath uske haath ke niche sarkaya aur uska haath pakad liya, dono ne ek dusre ke haath majbuti se pakad liya aur haathon ki garmaahat mehsus karne lage.
Thodi der baad us yuvatine apne haath ki pakad dhili ki, us yuvati ne apne haath se us vyakti ke haath ke niche se lekar shoulder tak halkse firaa rahi thi.
Uske sparsh se us vyakti ke andar ek romanch aur, pure sharir mein kaante aane lage, uske kaan garam ho gaye the, uski ungliyon ke sparsh se uske sharir ka har ang ang uttejit ho utha tha.
Achanak bus ko ek jordaar jhatka laga aur ek ajib saa aawaj karti huyi gaadi raste ke kinaare aakar khadi huyi.
Bus kaa akseltryk tut gaya tha.
Bus ki saari lights prakashit huyi toh uski tandraa bhang huyi, usne apna haath turant khinch liya.
Cleaner ne bus mein aakar ghoshnaa ki, 'Bus repair hone mein samay lagega...'
Apni aadhi nind se jaage huye yaatri waapas so gaye, aur baaki ke yaatri 'bidi-cigaratte' ke liye niche utar gaye.
Bagalwaali yuvati baahar nikli, baahar nikalte samay uske sharir ka usko huva sparsh uske sharir par uttejana ki lahar de gaya, uske sharir se aa rahe mand sugandh se uska man prafullit, romanchit ho utha.
Woh khidki se jhuk kar baahar dekhne laga ki woh yuvati kidhar jaa rahi hai.
Raaste ke side mein kuch duri par kuch roshniyaan chalak rahi thi. 'Samarpit Lodge' tube lights ki roshni se usne board par ke akshar padhe.
Us yuvatine ek baar piche mudkar uski taraf kuch kshan dekha, aur waapas piche mude bagair woh aage chalne lagi.
Us vyakti ke man mein hadbaadahat utpann huyi... woh apni jagah se uth ke khadaa raha.
'takriban kitna samay lagega...?' usne cleaner se pucha.
'ek ghantaabhar toh jarur lag jayega...' cleaner ne jawab diya.
'thik hai... mein idhar hi hun...' itna kahkar woh vyakti us yuvati ke piche piche chalne laga.
Baahar thand jyaada thi parantu haawaayein maatra band thi, usne upar aakash mein ek najar daali. Chaand baadal ke piche chupaa huva tha. kale ghane baadal ghir aaye the, jaisa ki use lagne laga tha ki abhi barsaat shuru ho jayegi aur usko bhigo degi.
Woh yuvati abhi bhi piche dekhe bina aage aage chal rahi thi.
Lights ki roshni mein uski najar us yuvati ke purn sharir par se fisal rahi thi, waah kyaa figure thi, ekbaar dekhnewaalon kaa dil lalchaa jaye, sharir ke yogya jagah par ekdam satik aakar uska man uski taraf khinch rahe the. woh khinchaa saa uske piche piche chala jaa raha tha, jaise ki koyi lohchimbak ho.
Woh yuvati lodge mein ghusi aur counter ke saamne khadi ho gayi.
Kaan-topi, maflar lapetkar counter par baitha huva yuvak usko dekh kar muhn tedhaa kar ke utha.
"bhaiyya, meri bus band ho gayi hai aur aisa mujhe nahi lagta ki ek do ghante mein shuru ho jayegi. Meri tabiyat bhi thik nahi hai, kuch ghante ke liye room chahiye..." dur band gire apni bus ke taraf ungli kar ke ishara karte huye woh yuvati boli.
Us counter boy ne drawer mein se ek chaabi nikali aur uske saamne fenk di. Uski adhik information lene ke liye usne saamne kaa register apne saamne khola hi tha ki uski najar darwaaje se andar aanewaale vyakti par padi. Woh counter boy gaalon gaalon mein hi muskuraya aur usne waapas register band karke punhaa rakh diya aur apne chehre par shawl odhkar so gaya.
Woh yuvati sidhiyaan chandhne lagi, woh vyakti bhi uske piche piche upar gaya.
'103', woh darwaje ke saamne hi khadi thi aur usne apne paas ki chaabi se darwaja khola.
Donohi andar aane par us vyakti ne darwaja andar se band kar diya, us room ki roshni mein woh pahili baar use dekh raha tha. Us yuvati ki aankhon mein ek kasak thi, ek ajib saa nasha tha, woh bhi itna ki us vyaki ko apne sharir mein ka aatma uske sharir ko faad kar us yuvati se baahar milne ko aaya huva ho aisa lag raha tha. Uska gala sukh chuka tha, dil ki dhadkane badhne lagi thi…, us yuvati ne apna haath aage kiya.
---------------------
"chalo... fataafat baitho gaadi mein... aa gaye kyaa sab ke sab...?" cleaner ne ek baar aawaj de kar andar najar ghumayi... nikal ne se pahile usne ekbaar sab logo ko gina... seat number D 5-6 khaali the.
"abhi yeh dono kidhar gaye...?" khijtaa huva cleaner waapas bus se utar gaya, yahan wahan sab jagah par dhundaa lekin use woh dono kahin bhi dikhayi nahi diye.
'are... woh log thodi der pehle us lodge mein jaate huve dikhe... jara dekho udhar hi honge..!!', ek yaatri bich mein hi bol pada.
Cleaner khijtaa huva man hi man gaali badbadataa huva lodge mein ghusa, counter boy ekdam gehri nind mein soya huva tha.
"iski maa ki aankh... mar gaya kyaa ye...?" cleaner ne jor jor se hila hila kar use jagaya.
"idhar ek ghantebhar pahile koyi aaya tha kya...?" cleaner ne us 'yatri' ka varnan bataya.
'haan, woh aaya huva tha aur uske saath ek ladki bhi thi... upar hi honge dekho room no. 103 mein' sidhiyon ki taraf haath dikhakar woh fir se apni aankhon par shawl odhkar so gaya.
'lo kar lo baat... udhar andheron mein hum inko dhund rahe hai aur yeh dono idhar mauj masti kar rahe hai...' cleaner badbadata huva do-do sidhiyan chadh kar upar aa gaya... room no. 103 ke andar ki lights abhi bhi jal rahi thi.
'o saahab.. agar ho gaya rahega toh chalo, gaadi taiyyar hai...!' cleaner ne aawaj lagakar darwaja thapthapaya.
Lekin andar se kuch aawaj ya pratiuttar, aur halchal nahi mehsus ho rahi thi.
'o saahab.. aa rahe ho kya...? yaa fir chhod du gaadi...?'
'o maadam... aa rahi ho kya...? ki jaayen yahan se... aakhri baar puch raha hun...!' cleaner nikal ne ke hi taiyyari mein tha.
'maro tumhari maa ki aankh... jaata hu mein' aisa bolkar cleaner jaane ke liye nikla.... usi waqt counter boy khijtaa huva upar aaya... aur bolne laga, ' kyaa huva...? kyun chillaa rahe ho...? aap jaao naa nahi aane kaa rahegaa unko...'
usne dhire se darwaje se kaan laagakar dekha... andar se koyi bhi aawaj sunayi nahi de rahi thi, aur halchal bhi mehsus nahi ho rahi thi.
usne bhi do-tin baar darwaja pit pit kar dekha... fir baad mein uske man mein shak paida hone laga.
'iski maa ki... bhaag gaye kyaa jab mein so raha tha...?' us counter boy ne apne maathe par haath maarte huve bola.
'aise kaise jaayenge... bus toh idhar hi hai..!!', cleaner bola.
'kuch toh gadbad hai...' itna bol kar woh counter boy niche bhaagta huva aaya aur drawer mein se room ki duplicate chaabi nikal kar wapas bhagta huva saa upar aaya.
Dur se Bus ke horn kaa aawaj sunaayi de raha tha...
Counter boy ne laaye huve duplicate chaabi se room khola. saamne kaa drushyaa dekh kar dono ki hi saans upar ki upar aur niche ki niche ruk gayi... hum jo dekh rahe hai woh sahi hai ki dusraa kuch hai aisa unko kuch kshano ke liye laga.
Saamne ki bed par ardhnagn dhang se us yuvati ka mritdeh pada huva tha... uske sharir ki chirfaad ki gayi thi...jaise ki ek takiya faad diya ho...
To be continued…