love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip
Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip
UPDATE 49-
aarti ek bar uthana chahti hai ..par uske uthane se sahil bhi jag jata yhi sochakar wo wapa s kambal odhakr sahil se chipak kar biasta par let jati hai ..lagbhag 10 abje sahil ki neend khulti hai ...sahil khud ko aarti ke pas soya hua pakar hadbada kar uth jata hai ..sahil ke chehre par hairani ke bhav the whi aarti ka chehra bikul shant tha ..aarti dhyan se uski aankho me dekh rhi thi mano andaza lagana chah rhi ho ki sahil kya soch rha hai ..aur ye andaja sahil ke chehre se ho rha tha ...uske chehre par sharmindagi ke bhav the ..
"good morning ' aarti ne muskura kkar kaha.
"good morng" sahil ne sapat lahje me jwab diya aur fir bina uski or dekhe bistar se nikal kar washroom me ghus gya .
sahil kafi halka fulka mahsoos kar rha tha ...aarti ki baho me use badi sukoon ki neend aayi thi ...lekin rat ki sari bate ab dhhere dheere use yad aa rhi thi aur uska man vichalit ho rha tha ...
" kaise mai ek lamhe ke liye itna kamjor pad gya ...jo bat 5 sal me nhi boli thi ab kya jaroorat thi bolne ki ...jee leta kisi tarah ...jab itna sab kuchh sah liya to uska kisi aur ka hona bhi sah leta ...aye uparwale kya khel khel rha h mere sath ..kya chata hu tu mere se...ab jaldi hi mujhe yha se jana hoga ..kuchh din aur uske sath rha to jane kya hoga "" sahil yhi sab sochate huye fresh hokar washroom se baher nikalta hai ..aur joging ke liye jane ko taiyar hota hai ..
"ab aapki tabiyat kaisi hai " aarti use baher aata dekhakr puchhati ahi .
"hmm ..thik hu...woo..wo..rat ko jo kuchh hua uske liye sorry ...actually bukhar ki vajah se mai jane kya anap shanap bol gya "
"koi bat nhi " aarti muskura deti hai ...aur sahil joging ke liye bahar nikalne lagta h aur apna cell phone utha leta h aur baher chala jata hai .
""aaj bhi vaise hi akdoo hain...seedhe se nhi bol sakte ki aarti aaj bhi tum se hi pyar karta hu ...mai bhi dekhti hu ...ekdin aapse bulwa kar rahungi ..dekh lena aap ...janti hu mai aaj bhi aap mujhse hi pyar karte ho ...muh se nhi bolte to kya aaj bhi aapki aarti aapki aankhe padh leti hai " aarti uske jane ke bad sochati hai aur muskura deti hai .
sahil baher nikalte hi rahul ko call karta hai ..
kya DSP saheb hamre aane ka farmaan aay ki nhi abhi ???" rahul ke phone uthate hi sahil pahli bat yhi puchhata hai .
""abe na salaam na dua ye kya tarika hai dosto se bat karne ka ??"" rahul bhi use chhedne ko taiyar hi tha .
""kamine jo puchh rha hu wo bta ???" sahil chidh kar bolta hai ...jise sunkar rahul hasne lagta ahi ..
"nhi ... aapki doctor ne abhi kuchh aur time maanga hai... kis stage par hai tera ilaaj is samay ...vaise teri doctor jab sath hai to hame chinta karne ki koi jaroorat nhi ??"" rahul ab sahil ke maje le rha tha .
"sale tu nhi sudharega .."" sahil bhi ab samjh chuka tha ki wo kya kah rha hai .
thodi der bad wo phone rakh deta hai ...use pta tha ki jab tak aarti nhi kahegi rahul uska ticket nhi karwayega ..aur ab wo yha rukna nhi chahta tha ..sahil ne ek travel agency ke owner ko phone kiya aur kal ke flight ke do tickets book karwayi delhi ke liye .
rahul joging karke laut rha tha ki uske phone par renu ka phone aa gya ..
"kaise ho bhai ...tabiyat thik hai ab...kab aa rhe ho??? "
"thik hu renu ...tu kaisi hai ..kl aa rha hu ""
renu se kuchh der bat karke sahil phon rakhta hai aur room ki or chal deta hai .
sahil andar phuchata hai to dekhta hai ki aarti table par breakfast lga rhi thi...sahil par nazar padte hi wo thode gusse me uski or dekhti h ...
"aapne kal ki ticket karwayi hai ?"
"ha" sahil ko ascharya hota hai ...ye renu ki bachchi na ..wo apne man me sochta h ki jaroor renu ne aarti ko phone kya hoga .
"thik hai ,,,kariye apne man ki mere se puchhna bhi jaroori nhi samjha ...???"' aarti naraz hone lagi .
"office jana jaroori ho rha tha ab " sahil jhoothi safai pesh karta hai ..
thodi der bad sahil kapde change karke breakfast karne table par aata hai ...aarti wha nhi thi aur washroom se pani girne ki aawz aa rhi thi ....aarti washroom me thi
sahil baith kar nashta krne lagta hai tabhi uska dhyan pas rakhe aarti ke cell phone par jata hai aur wo yu hi use uthakar dekhne lagta hai..sahil aise hi aarti ki call list check karta hai ...uska dimag bahut confuse ho jata hai ...last call rahul ke number se thi aur uske pahle aarti ki kuchh dosto ki call aayi thi ...renu ka nam kahi nhi tha call list me ..
""agar renu ne aarti ko phone nhi kiya tha fir use pta kaise chala...ye to sirf renu ko pta tha ..iska matlab renu ne rahul ko ...aur fir rahul ne aarti ko ...par renu rahul ko kyu batayegi ...unki to bate bhi jyada nhi hoti hongi...kahi rahul aur renu ....o god ...kya sach me.??..nhi nhi ...mai hi galat soch rha hu ...lekin koi ladki to hai rahul ki life m...jab mai hospital me tha tab bhi kai bra phone aate the to rahul ya to cut kar deta ya bad me phone karne ko bolta tha ...to kya rahul ne meri hi behan ke sath ....???? kya rahul ne bhi mujhe dhokha diya ....????aur aarti usne bhi...??? mere bharosa ka kya khub sila diya hai har insan ne meri zindagi me .....
"lekin renu mere sath aisa nhi kar sakti ...........ek bar usne galti ki aur maine aaj tak pucha tak nhi ..nhi nhi wo dubara aisa kuchh nhi karegi ...aur agar aisa hua to mai samjh lunga meri koi behan hi nhi hai ......aur rahul tu ????...mai teri puri history janta hu ...mujhe to lga tha tu sudhar gya ....lekin tu ???...tune achchha nhi kiya rahul...renu behan hai meri jan se jyada pyar karta hu mai use ...agr tune uske sath kuchh ulta sidha .....rahul umeed karta hu ki mera andesha galat hoga ...qki agar ye sahi hua to anjaam achchha nhi hoga ...."' sahil ki muththiya bandh gyi thi aur uska chehra gusse me bhabhak rha tha .

UPDATE 50-
sahil ke man me baht sare sawal aa rhe the ..saath hi uske dil me fir se ek dard utha tha....
""har kadam pr mujhe dhokha kyu mila hai ?? maine to kbhi kisi ka bura nhi chaha ...hamesa yhi kosis ki kki meri vajah se kisi ko dukh na ho ..jitna ho saka dusro ke liye kiya ...fir kyu har insan mera bahrosa tod deta hai..kyu mere hi sath aisa hota hai ???
"renu! agar mera shak sahi hua to aaj ke bad se har rishta tod lunga mai is duniya se ....aur mai bhi sirf apne liye jiyunga ""sahil aaj sachmuch emotionally bahut toot chuka tha .
aarti ko uska udas chehra dekh kar kuchh gadbad hone ki aashanka ho rhi thi par usne kuchh nhi kaha ...waise bhi wo sahil ke wapas jane ke faisle se khus nhi thi lekin wo janti thi ki ab sahil nhi manega ...rat me fir sabkuchh pahle jaisa hi rha bas aaj aarti fir se apne bed par soyi aur sahil apne.
Aarti ko is bat ki khusi jarur thi ki sahil ko yha aane se swasthya ka labh hua hai aur ab wo lagbhag pahle ki hi tarah fit lagta tha ...in dino me kahi na kahi sahil aur aarti ke bich ki doori bhi kuchh kam jaroor ho gyi thi ....dono ko hi pta chal gya tha ki wo ab bhi ekdusre se hi pyar karte hai ...antar bas itna tha sahil abhi us pyar ko apna bnane ki nhi soch paa rha tha jabki aarti ab us se door kisi hal me nhi hona chahti thi ...sahil ko abhi bhi akeen nhi tha ki aarti kabhi uski ho payegi. aarti ne use khud se 5 sal door rakha ye kasak abhi bhi uske dil me thi .
dusre din aarti aur sahil dophar ke 12 bje tak delhi aa chuke the ...kal sham se lekar aaj delhi pahuchane tak sahil gumsum sa hi tha ...aarti se bahot jyada baten to pahle bhi nhi hui thi lekin us ghatna ke bad se uske chehre par ek aur udasi ka rang aa gya tha .
Delhi me aarti ke ghar par is samay uski mummy yani sahil ki didi hi bas thi ...sahil ke jeeja gujarat gaye huye the jabki rohan pune gaya hua tha ...usne bhi apne papa ka hi business sabhal liya tha .
Sahil aur aarti ko dekhkar uski didi bahut khus huyi aur sahil ko gale se laga liya ...sahiln ne unke pair chhuye aur sofe par bag rakhkar baith gya ...sahil aarti ya didi ki bato ka hu ha me hi jawab de rha tha ...abhi uske dimag me sirf rahul aur renu ki baten chal rhi thi ...use bar bar lag rha tha ki kahi mai galat to nhi soch rha lekin fir ek aur dhokha milne ki bat se hi sihar jata ...wo bhi us behan se jise jaan se jayada chaha aur us dost se jise bhai ke barabar mana.
Sahil thoda thaka hua sa feel kar rha tha so usne bath liya aur fir khana khakar sone jane laga ....
"didi mera wala kamra khali hai ya koi hai usme...???"""
"ha ...maine jab tum delhi aaye the tabhi saf karwa diya tha ..jao aaram karo ...mai abhi coffee bhijwa deti hu " didi ne pyar se uski or dekhte huye jwab diya .sahil ko didi par bahut pyar aaya ...aaj bhi didi ko yad hai ki mai khane ke bad coffee pita hu ...
"thanx di" sahil jab bahut pyar se bat karta tha to didi ko di bolta tha .
"chal pagle didi ko thanku bolta hai ??"
sahil halka sa muskurata hai aur fir apne room ki or badh jata hai .
sahil aaj panch salo bad us room me ja rha tha jaha usne apni zindahi ke sabse achche do sal gujare the .

UPDATE 51
sahil ka room seconda floor par tha ...scond floor par teen room the ..ek sahil ko diya gya tha jab wo delhi aaya tha aur uske bagal wala room aarti ka tha (( dosto abhi ye sari baten detail me story ke aaage ke parts me aayengi )).aur third room guests ke liye tha ...us se niche ke floor par did jija ka bedroom tha aur do aur room the jisme se ek rohan ka tha aur dusra aise hi common room ki tarah use hota tha .
sahil apne room ka darwaja kholkar andar jata hai ..room achchi tarah se saf kar diya gaya tha ..sahil ko ye dekh kar kafi hairani hoti hai ki aaj bhi room bikul vaisa hi tha jaisa uske padhne ke samay me tha ...do chair ek table ..ek bed aur ek table fan aur ek chhota sa lakadi ka bana hua mandir ....jab sahil yha padhta tha tab kcuhh aur chije thi jaise ki cooler vagairah lekin wo sb hata di gyi thi .sahil room ko dekhkar thoda emotional ho jata hai ....achanak use kuchh yad aata hai ....
sahil teji se aage badhta hai aur bed par bichche bisatr ko ek taraf kar ke bed ke sirhane ki or bani patli si darar me kuchh dhundhane lagta hai ....uski ungali us patle hole me nhi ja paa rhi thi ....usne aas pas dekh...fir manidr me padi machis ki dibbi se ek tili nikalakar us se andar dalkr kuch dhundane lagta hai ...thodi der ki kosis ke bad ek kagaz ka tukda sahil ke hatho me tha aur uski ankho me the aansu............
kagaz ke us chhote se tukde par kuchh panktiya likhi thi ............
"Kachchi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh Ko
Apni Nazron Mai Basa Ker Na Giraana Mujh Ko
Tum Ko Aankho Mai Tasawwoor Ki Tarah Rakhti Hoon
Dil Mai Dharkan Ki Tarah Tum Bhi Basana Mujh Ko
Baat Karnay Main Jo Mushkil Ho Tumhein Mehfil May
Main Samajh Jaaongi Nazron Se Bataana Mujh Ko
Waada Utna Hi Karo Jitna Nibha Saktay Ho
Khuwab Pura Jo Na Ho Wo Na Dikhana Mujh Ko
Apne Rishtey Ki Nazaakat Ka Bharam Rakh Lena
Main To mashooq Hoon Deewane Na Banana Mujh Ko.""
ye ghazal aarti ne sahil ke liye likhi thi ...sahil ko aarti ka wo pyar yad aa jata hai ...jan chhidakti thi aarti sahil par ...lekin fir......??????
"kyu kiya aarti tumne aisa ....mujhe to lagta tha ki jitna pyar tum mujhe karti ho utna koi kisi se nahi kar sakta ...apni jan se jyada chahti thi tum mujhe ...aisa kyu kyu kar diya tumne ...tum to kahti thi tum meri aankhe padh leti ho fir in aankho ka dard kyu nahi dikha tumne ...maine to apna har vada nibha diya fir tumne apna vada akyu nhi nibhya.....maine to hamesa tumhe seene se lagakr rakhna chaha fir tumn mujhe thokar kyu laga diya ...????? ""
sahil ko aaj is kamre me wapas aakar aarti ki kahi ek ek bat yad aarhi thi ..aur ek bar fir se aarti ke chahat me bilakh padta hai ..
"".kay ho gya hu mai ...kyu itna kamjor ho gya hu ??? ...aarti mai tumko kahta tha na ki tum bahut roti ho ..dekho aaj mai bhi bahut rota hu ...tum sach kahti thi ...jab tak tum sath thi mai kabhi nahi roya...kaise rota ....mere hisse ke aansu to sach me tum baha leti thi ...lekin ab mai rota hu ....bahut rota hu .....kyu aarti??????? ...kya ab mere aansu tumhari aankho se nhi niklte ...kya ab mai tumhara kuchh nhi lagta ???""
aarti jo abhi abhi us kamre me sahil ki coffee lekar aayi thi. thik sahil ke pichhe khadi thi ...sahil ke hatho me wo kagaz dekhkar sab samjh jati hai...sahil ko is tarah toot ta dekhkar wo bhi tadap uthati h....wo teji se coffe ko table par rakhti hai aur sahil ko apne seene se laga leti hai ...
"nhi sahil ...nhi jan...aaj bhi aap hi mere sab kuchh ho ...kitn bar aapko ye batau ...aaj bhi mai aapki aankhe padh sakti hu ...aapki aankho ka dard padh sakti hu ....mujhe maf kar do ....mai aap ko is tarah tadapta nhi dekh sakti ...thik h ..mai aapko sab bataungi ...sabkuchh batungi ...bas mujhe thoda time de do ...plzzz rowo mat...aapke aansu dekhkar hazaro maut marti hai aapki aarti ..plzz...sona mat rowo ..."" aarti teji se sahil ke aansu ponchh rhi thi aur use apne seene se lagaye bolti ja rhi thi ..
thodi der sahil yuhi aarti se lage khada rhata hai aur fir aarti use sath lekar bed ki or jati ahi aur dono bed par baith jate hai ....
sahil ab dhhere dheere apne aap ko sambhal chuka tha aur aarti ki aankho me dekh rha tha ...ek sawal tha uski nazro me ...
"ha sahil mai aapko sab bataungi ...plz mujhe kuchh time de dijiye...pllzzzz" sahil kuchh nhi bolta bas ha me sar hila deta hai ...
"thik hai ab aap coffee pee lo aur aaram karo " aarti uth kar kahdi ho jati hai ...
""auur sun lijiye -ab kabhi mat royiyega aap ....mai aapko ab kabhi nhi rone dungi ....aap jan ho hamari ...samjhe ....aapki aarti aapke pas hai na ab ....aapke hisse ke aansu bhi bahaa legi ...ab aapko hamse koi nhi alag kar sakta sahil ...koi bhi nhi ..."" aarti ne sahil ke mathe par ek kiss kiya aur baher jane lagi ...ye 5 sal bad pahli bar tha jab aarti ne sahil ko uske pure hosh me hote huye kiss kiya tha .
sahil bhi kahna chahta tha ki aarti mai bhi tumhari ankho me kabhi aansu nhi aane dunga lekin kah nhi pata ..
wo aarti ko bahar jata dekhta rhata hai ..aur coffee khatm karke bistar par let jata hai..sahil us kagaz ko abhi bhi hath me pakde tha ..aur ek tak use dekhe ja rha tha ...5 sal...kitna lamba waqt hota hai ..aur us se do sal pahle ..matlab lagbhag sat sal pahle aaya tha sahil pahli bar dilli ...apni didi ke ghar aur apni aarti ke pas .....sahil ko wo sari bate aur wo din yad aane lagte hai ...jab pahli bar wo yha aay tha ......................