love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

romantic stories collection, all English or hindi romantic stories, long romantic stories in English and hindi. Love stories collection. couple stories..
User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 18 Nov 2016 12:23

UPDATE 64-


Jane kyu aarti jee tod kosis kar rhi thi ye show karne ki sahil ke rahne se ya jane se use koi khas fark nhi padta .......leki isme kamyabi use bikul nhi mil rhi thi ..


"Jao aarti , so jao bahut rat ho chuki hai ...good night " sahil ne aarti ko chup dekha to dil par patthar rakhkar kaha ...



Aarti chup chap wapas jane ke liye mudi .....thodi door jakar usne wapas mudkar sahil ki or dekha ...sahil ki aankhe dabdabaa aayi thi ........



"Bye aarti "sahil ne rundhe huye gale se kaha ...



Aarti ko use lga kisi ne kaleje se uski jan nikal li ho ...itni tadap thi us alwida me ki aarti ko lga sahil use nhi uski dosti ko alwida kah rha tha ......wo to kahi nhi ja rhi thi .....good night sahil bol chuka tha ...to fir ??????? Sahil ke dil me shayad sach me whi tha ....?????




Aarti ke sabra ka bandh toot gya ......wo bhagati huyi sahil ke gale se lag gayi ......



""I m soryy.......i m really sorry......mujhe maf kar do mama....mai bahut buri hu .....bahut der se kosis kar rhi hu bahut normal dikhne ki ...bahut majboot bane rahne ki .....lekin sach to ye hai ki mai bahut kamjor pad gyi hu.....kuchh samjh nhi aa rha ....apne sapne ko pura hota dekhne ke liye aapke sapno ko dav par to nhi lga sakti ......aap ne mere liye itna socha is jyada khusi aur kya hogi .....mai janti hu agar ye bat mai aapko samjhati to bhi aap na mante...isliye mujhe ye sab karna pada ........i m sorry ...plz mujhe maf kar do aur jao yha se ...jao aap apne lakshya ko pura karo .." aarti ne jaise taise apne dil ki bat kah hi di ...aakhir wo patthar to n thi jo sahil ki halat ko nazar andaz kar deti ..



" ha chala jaunga ....vaise bhi mai kaun hota hu tumhari zindagi ke faisle lene wala ......"



aarti sahil ke seene se lagi thi aur sahil uski aankho me dekhte huye bola ...uffffff jheel se gahri kali bhawra si aankhe....un aankho me tairate moti sahil ka karar loot lete the aur uske sare mansoobo aur irado par pani fer dete ....wo moti jinki keemat sahil ka dil hi janta tha ....



" plz aap aisa mat kaho .....aap se behtar mere liye kaun soch sakta hai ...aap ko pta hai aapke sms padh kar kitna royi hu mai ....maine ek bar bol diya ki aap kaun hote ho ,,,aur aap ne sach me man liya ki aap koi nhi ho ???? Aapke sms ke ek ek sabd ek teer ki tarah chubhe hai mujhe.......aur kya likha tha aapnne ????--- kachcha pakka sa dost ??? Hmmmm batao to zara .....aapke aur meri ladai ke bich me hamari dosti kaha se aagyi.....mai manti hu ki meri galti hai ......leki agar ek dost galti kare to dusra dost use chhodkar jane ki bat nhi karta ...balki use kan khichkar seedha kar deta hai ...samjhe ....ab agr mai bolungi ki hum dost nhi hai ...ya aap mujhse bat mat karo .....to kya aap man jaoge...hmmmm...bolo ????




"Aarti , tumhari kasam agar kabhi dil se bol dogi ki mujhse bat mat karna ...to zindagi bhar tumse bat nhi karunga....mere liye sabse badi tumhari khusi hai ...aur agar mujhe ykeen ho gya ki wo khusi mera bina hai ....to yhi sahi ." Sahil ko aarti ke bate samjh me shayad nhi aayi thi lekin ye samjh me aa gya tha ki aarti ke kahne ka intention kya tha aur ab usne aarti ko apne dil ki ek gahree sachchhai bata di thi ...ki aarti ki khusi uske liye kya mayne rakhti hai ...



Aarti sahil ke aankho me dekhti rah jati hai ...kitna sachcha tha sahil ...chhal kapat se pare...nispap, nischhal..aarti is bar kuchh nhi bolti aur sahil ke seene se aur jor se chipak jati hai ....



"Aap mat jao ,,,kahi mat jao...yhi mere pas rho ...mere sath... " aarti jane kis bhawna ke aavesh me bol gyi .



Sahil ke dil ka sara dard aarti ke uske seene se lagne ke sath hi gayab ho chuka tha ....uska man bahut halka feel ho rha tha ....aur aarti ki is bat ne ek gudgudi si ki thi uske man me .



Par mai kaun hota hu tumhara . " sahil ne ab aarti ko chhedte huye kaha .


Aarti buri tarah lajaa gayi , jane kyuuuu???



"Mama , enough is enough,, ab ho gya na .....aap nhi jaoge na?????? ""

User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 18 Nov 2016 12:24

UPDATE 65-


"Tum nhi chahti ki mai jau .....dil se batana ??????" Sahil ne aarti ko balo me hath pherte huye puchha .

aarti ne uski aankho me dekhte huye bas naa me sar hila diya .



"To phir nhi jaunga ....hm dono ke sapne pure honge dekhna .......aur ham sath sath pure karenge " sahil ne pyar se kaha aur badi himmat karke aarti ke mathe par ek chumban kar diya.....


Aarti ka chehra gulabo sa lal ho gya ...sahil uske khwabo me rang bharte bharte uske dil ke rangeen galiyaro me utarta ja rha tha aur use khabar bhi nhi ho rhi thi ...


"Achcha chhodo mujhe ...jane do ab " sahil ko pta hi nhi chala kab aarti ke gale me uski bahe lipatti chali gayi .


"Oh....sorry " sahil aise alag hua jaise kisi ne spring ka gudda uchala ho .


Aarti muskurate huye uthi aur apne room mr jane lagi aur ek aakhri bar palatkar boli ....

" thanx "


"Anytime " sahil bas itna hi bola .....ab dono ke dilo me itminan tha aur dono ka rishta majboot hone ke sath sath nayi shakl leta ja rha tha .

User avatar
rajkumari
Platinum Member
Posts: 1095
Joined: 22 May 2016 09:23

Re: love story-TUNE MERE JANA,KBHI NHI JANA-xossip

Unread post by rajkumari » 19 Nov 2016 15:28

UPDATE 66-


Agle kuchh mahine sahil ki zindagi ke kuchh sabse mathvapoorn mahine the aur thode muskil bhi ...aur in dino me uska sabse bada sahara bani thi aarti .....


Sahil ke wha rookane se do log bahut jyada khus nhi the ek sahil ke bhaiyya dheeraj aur dusra aarti ka bhai Rohan ...aur iski vajah ya to unhe pta thi ya atit ke garbh me chhupi huyi.....lekin sahil ko achchhi tarah se pta tha ki wo kya kar rha hai ....isliye zindagi me first time dheeraj ki bat na mante huye unhe apne wha rookne aur study ke nuksan na hone ka ykeen dilaya ...Dheeraj ko uski baton par kitna yakeen hua ye kahna bahut muskil tha .



Sahil ka main exam november me tha aur aarti ka next year march ke bad se ....is samay june chal rha tha ...to sahil ke pas 4 months the preparation ke liye ....kul 9 paper hone the aur sare subjective ....civil services exam ko har exam ki janani kaha jata hai aur ab sahil ke samne chunouti thi us exam ko clear karne ki aur apne nirnay ko sahi sabit karne ki .....



Use achchhi tarah se pta tha ki class aur college top karna aur bat thi kintu is exam ko clear karna behad alag aur kayi guna difficult .....yha uska samne all india ke best competitors se the jo us se kahi achchhe aur mahnge schoolo se padhkar nikle the aur us se achchhi sukh suvidhawo me pale badhe ......lekin sahil ka jajba hi uski sabse badi daulat tha .....ek aur daulat thi is samay uske pas thi - Aarti ka sath.



Sahil behad dridh tarike se apne aim ko pane ke liye jut gaya tha ......main exam ke form bharne aur document submit karne ke bad usne apne aap ko is taiyari ke jhonk diya tha ....



Didi sahil ke khane peene ka behad khyal rakh rhi thi ....sahil rat me 9 se 11 aarti ko padhata tha ....jyadatar wo aarti ko uske room me hi padhata tha .......din me bhi aarti us se kuchh kuchh puchhti lekin use ye hamesa lagta ki wo sahil ko disturb na kare .......sahil der rat tak padhta tha .....aur aarti generally 12.30 tk so jati ....



Isi tarah din beet rahe the ....october ka month suru ho chuka tha......


Ek din rat me Sahil aarti ko padhakar apni padhai kar rha tha ...lagbhag 1.00 baj rhe the rat ke ....sahil padhte padhte bahut thak gya tha .......tabhi uske chair ke pichhe aarti aa khadi huyi ...uske hatho me ek cup tha...



"Coffee " usne sahil ki table par cup rakhate huye muskura kar kaha ..



"Hainnnnnnn ...???? aarti tu aur coffee???? Maine jyada pdhai kar li ya fir mai koi sapna dekhrha hu " sahil ne usko coffe lekar aaya dekha to ek anjani si khusi ka ahsas hua ...lekin arti ko tang karna aur fir us se pyar wali ladai ab sahil ki aadat ban chuki thi ....usne muskurate huye banvati aascharya ke bhav chehre par late huye use chheda .



Aarti ghar ke kam nhi karti thi to sahil ka kahna thoda zayaj bhi tha .....




" jyada nautanki karne ki zarrorat nhi hai ....mujhe laga padhte padhte thak gye hoge so aap ke liye coffee bana di ...mujhe koi shauk nhi hai kisi ki khatir dari karne ka ....aage se khud hi bana lena " wo jo muskurate huye aayi thi ab pair patakte huyd wapas ja thi thi...



Sahil ne jaldi se lapakar uska hath pakad liya .



" are..are..re...mai to majak kar rha tha " sahil ne bade muskil se use apne pas bed par baithate huye haste huye kahaa.




Aarti uske sath baith gyi par chehre par abhi bhi gussa aur narazgi thi...lekin ye ruthna wo roothna tha jabki roothne wale ko pta hota hai ki samne wala use manayega jaroor ...aur hua bhi aisa hi .....



"Wow kya mast coffe banayi hai ...... " sahil ne ek sip liya aur coffee wakai bahut achchhi bani thi .....sahil ko ab lga tha ki aarti ghar ke kam karti bhale na ho lekin aata use sabkuchh hai .



Aarti ne kankhiyo se use dekha ....." koi jaroorat nhi hai jhoothi tarif karne ki "




" nhi yar ...sach me coffee bahu badhiya bani hai .....achchha sorry ..plzzzzz"
Sahil ne vishwas bhari nazro se uski aankho me dekhte huye kaha .



" aap mujhe itna tang kyu karte ho " aarti ne narm lahje me puchha ...


" bina tujhse lade jhagde mera din hi nhi gujarata...kuchhh adhura sa lagta rahta hai " sahil ne dil ki sachchai bayaa kar di ..


Aarti kuchh nhi boli ...sahil ko laga shayad wo kuchh aur hi samajh rhi hai ...



" achchha ab nhi tang karunga tujhe , agar tujhe bura lagta hai to ??? "" sahil bola .

" ye maine kab kaha ki mujhe bura lagta hai " aarti ne muskurate huye kaha ...


" mujhe pta tha ,,, mujhe aadat ho gyi hai tujhse ladne ki " sahil bhi muskurate huye bola .



" achchha aur jab mai aapke sath nhi rahungi tab kise tang karoge aur kisse ladoge ???? vaise jab asp IAS ban jage to bahut sari mil jayengi aap ko mujh jaisi " aarti ne pta nhi kya soch kar ye topic chhed diya ...


Aaj pahli bar sahil ne aarti ke muh se ye bat suni thii ki jab ham sath nhi honge ...uska chehra thoda udas ho gya .....



" aarti tumhari jagah meri life me kabhi bhi koi bhi nhi le sakta ...chahe mai kuchh bhi ban jau " sahil ne seedhi bat sheedhe tarike se bol di .


Post Reply